Wo ik bholi si larki thi (by vb)

by vb on July 21, 2011, 04:51:13 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2172 times)
vb
Guest
Reply with quote

Wo ik bholi si larki thi
Buhat maasoom si, jaisay koi chanda say utra ho
Magar andar say bikhraa ho
Najaanay ku tamanna thi usay baadal pay chalnay ki
Zamaanay bhar k har aansoo ko khushiyon main badalnay ki
Na banenay ki, sanwarnay ki
Magar khaahish usay kuchh thi
Parindon ka sa urnay ki
Na jaanay konsi duniya say is duniya main aai thi
Buhat hayraan si aankhen
Buhat baytaab sa chehra
Nigaahen chup, magar dil main samandar sa samaaya ho
Wohi zulfen, lagay jin say, koi baadal sa chhaya ho
Haseen aariz shafaq ki roshni sa rang deta thaa
Gulon ko maand karta thaa

Nahi! Aisa nahi logo
Nahi!
vb tu ik bay-kaar say mad-hoshe shaair thay
Usay maaloom tha vb ki duniya main andheray hain
Usay maaloom tha sub us k hain, jitnay saveray hain
So ye achha huva k apnay dil ko sun liya us ne
Kisi ko chun liya us ne.........
Jo us larki k kaabil thaa
Wo saagar thi, Wo saahil tha
Khayaalon main hamaaray yak-nafas wo timtimaati hay
Har ik pal yaad aati hay
Samandar main kahin jaisay koi moti chamakta hay
Hamesha dil main rehta hay.............

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bholi si surat........ by Princess21 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Bholi si surat..! by nishita in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 6 7 »
Bholi Surat by nishi gahlaut in Shayri for Khumar -e- Ishq
Juein jab teri gayab hongi sar se bholi nadan by nandbahu in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Bhole bhaale Kanhaiya ki bholi har ada hai by @Kaash in Shayari-e-Parastish
life
Guest
«Reply #1 on: July 21, 2011, 06:38:45 PM »
Reply with quote

bohat achay, par aisy lagta hai ke poori nahii likhi gay but achi koishish, bohat achi rachna
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: July 21, 2011, 06:43:42 PM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoobsurat peshkash Vb ji.  Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #3 on: July 21, 2011, 07:29:50 PM »
Reply with quote
hmmmmm.........dil ko chhuti aapki kalam se nikle moti...behad keemtii hote hain VB ji.....ye unme se ek hai....
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #4 on: July 21, 2011, 08:24:10 PM »
Reply with quote
bhot umdaaa
Logged
vb
Guest
«Reply #5 on: July 22, 2011, 08:19:44 AM »
Reply with quote
life jee! is poem k two parts hain.. koi dono he adhooray chhore gaya hay.. kya kejay...

first part ko tu hum likhtay jaain tu kabhi khatam na ho... lakin lolz... jis aariz ki hum baat kartay hain.. usay dekha tak nahi hum ne... tasavur bhe bus dhuvaan hay.. jisay faqat mehsoos kar saktay hain..
second part ka mukamal hona hamaray bus main nahi... na itni himmat hay hum men.. k koshish he kar len...

khair.. thanx for your comments...
Logged
vb
Guest
«Reply #6 on: July 22, 2011, 08:20:16 AM »
Reply with quote
madhuwesh jee! buhat shukriya aap ka..
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: July 22, 2011, 08:22:54 AM »
Reply with quote
*KasaK*....Dil Ki jee! hamaray qalam aur motiyon ka sambandh koi kya samjhay ga...

thanx for your nice comments...
Logged
vb
Guest
«Reply #8 on: July 22, 2011, 08:23:24 AM »
Reply with quote
Shihab jee! shukriya aap ka...
Logged
vb
Guest
«Reply #9 on: July 22, 2011, 08:23:57 AM »
Reply with quote
chitralsony jee! shukriya aap ka..
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #10 on: July 22, 2011, 12:14:44 PM »
Reply with quote
VB jee Aadaab!

Janab ahsaas to behad khoob lafzoN meiN piroye hai
aapne... aapki is kalaam par kia kaheN kuch kah nahi
paa rahe haiN....

Aisa lag raha hai ke shayad aapki yeH kalaam bahut kuch
kahna chahti thi par aapne apni kalam ko rok kar uska muH
mod diyaa.. Usual Smile

Khair achchi kalaam par dil se daad hazir hai..
Likhate rahiye... Aate rahiye...
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez Usual Smile
Logged
vb
Guest
«Reply #11 on: July 23, 2011, 07:20:18 AM »
Reply with quote
ParwaaZ jee! buhat shukriya aap ka... Qalam ki noke par khanjar ki noke koi nai baat tu nahi...
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #12 on: July 23, 2011, 08:23:19 AM »
Reply with quote

Wo ik bholi si larki thi
Buhat maasoom si, jaisay koi chanda say utra ho
Magar andar say bikhraa ho
Najaanay ku tamanna thi usay baadal pay chalnay ki
Zamaanay bhar k har aansoo ko khushiyon main badalnay ki
Na banenay ki, sanwarnay ki
Magar khaahish usay kuchh thi
Parindon ka sa urnay ki
Na jaanay konsi duniya say is duniya main aai thi
Buhat hayraan si aankhen
Buhat baytaab sa chehra
Nigaahen chup, magar dil main samandar sa samaaya ho
Wohi zulfen, lagay jin say, koi baadal sa chhaya ho
Haseen aariz shafaq ki roshni sa rang deta thaa
Gulon ko maand karta thaa

Nahi! Aisa nahi logo
Nahi!
vb tu ik bay-kaar say mad-hoshe shaair thay
Usay maaloom tha vb ki duniya main andheray hain
Usay maaloom tha sub us k hain, jitnay saveray hain
So ye achha huva k apnay dil ko sun liya us ne
Kisi ko chun liya us ne.........
Jo us larki k kaabil thaa
Wo saagar thi, Wo saahil tha
Khayaalon main hamaaray yak-nafas wo timtimaati hay
Har ik pal yaad aati hay
Samandar main kahin jaisay koi moti chamakta hay
Hamesha dil main rehta hay.............

achchhi nazm hai vb sahab

achchchi nazm hai VB.SAHAB Applause Applause Applause
Logged
vb
Guest
«Reply #13 on: July 25, 2011, 12:28:27 PM »
Reply with quote
adil bechain jee!   thanx...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 04:29:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer