wo shayad ab nahin honge

by Dr.Roy on August 20, 2009, 01:49:22 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 960 times)
Dr.Roy
Guest
Reply with quote
Kitaabein jhaankti hain band almaari ke sheeshon se
badi hasrat se takti hain
mahino ab mulakaatein nahin hoti
jo shaamein inki sohbat mein kata karti thi
ab aksar
gujar jaati hai computer ke parde par

badi baichen rehti hain kitaabein
inhein ab neend me chalne ki aadat ho gayee hai
badi hasrat se takti hain

Jo kadrein wo sunaati theen
ki jin ke Cell kabhi marte nahin the
wo kadrein ab nazar aati nahin ghar mein
jo rishte sunati theen
woh saare udhade udhade hain

koi safahaa palat-ta hoon to is siski nikalti hai
kai lafzon ke maane gir pade hain
bina patton ke sookhe tund lagte hain wo sab alfaaz

jin par ab koi maane nahin ugte
bahut si istalaahein hain
jo mitti ki sikoron ki tarah bikhri padee hain
gilaason ne unhein matrook kar daala

zubaan par jaaika aata tha jo safahe palatane ka
ab unglee click karne se bas ik
jhapkee gujarti hai
bahut kuchh tah-b-tah khulta chala jaata hai parde par

Kitaabo se jo jaati raabta tha, kat gaya hai
kabhi seene pe rakh ke let jaate the
kabhi godi mein le lete
kabhi ghutno ko apne rihal ki surat bana kar
neem sajde mein padha karte the, chhote the zabeen se
wo saara ilm to milta rahega baad mein bhi
magar wo jo kitaabo mein mila karte the sookhe phool
aur mahke hue rukke
kitaabe mangne, girne, uthane ke bahaane rishte bante the
unka kya hoga
wo shayad ab nahin honge.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
OH AUR HONGE by ali_246 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ronde honge..... by sharma.reema@yahoo.com in Pain in Love : Punjabi poetry
kabhi toh honge 1 by Guest in Other Languages
Sambhle Honge, Bikhar Gaye Honge....!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Jab Hum Na Honge, Tab Shayad Yeh Baat Ho..!!...Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
javedarshad
Guest
«Reply #1 on: August 22, 2009, 01:53:25 PM »
Reply with quote
bahut khoob janab




javed
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #2 on: August 23, 2009, 06:30:12 PM »
Reply with quote
Topic moved to appropriate Section !
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #3 on: August 23, 2009, 08:13:18 PM »
Reply with quote
Wah g..

Dr. Roy ji, kya baat hai. Maza aa gaya. Bohot sahi farmaya aapne.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: August 24, 2009, 11:41:12 AM »
Reply with quote
Kitaabein jhaankti hain band almaari ke sheeshon se
badi hasrat se takti hain
mahino ab mulakaatein nahin hoti
jo shaamein inki sohbat mein kata karti thi
ab aksar
gujar jaati hai computer ke parde par

badi baichen rehti hain kitaabein
inhein ab neend me chalne ki aadat ho gayee hai
badi hasrat se takti hain

Jo kadrein wo sunaati theen
ki jin ke Cell kabhi marte nahin the
wo kadrein ab nazar aati nahin ghar mein
jo rishte sunati theen
woh saare udhade udhade hain

koi safahaa palat-ta hoon to is siski nikalti hai
kai lafzon ke maane gir pade hain
bina patton ke sookhe tund lagte hain wo sab alfaaz

jin par ab koi maane nahin ugte
bahut si istalaahein hain
jo mitti ki sikoron ki tarah bikhri padee hain
gilaason ne unhein matrook kar daala

zubaan par jaaika aata tha jo safahe palatane ka
ab unglee click karne se bas ik
jhapkee gujarti hai
bahut kuchh tah-b-tah khulta chala jaata hai parde par

Kitaabo se jo jaati raabta tha, kat gaya hai
kabhi seene pe rakh ke let jaate the
kabhi godi mein le lete
kabhi ghutno ko apne rihal ki surat bana kar
neem sajde mein padha karte the, chhote the zabeen se
wo saara ilm to milta rahega baad mein bhi
magar wo jo kitaabo mein mila karte the sookhe phool
aur mahke hue rukke
kitaabe mangne, girne, uthane ke bahaane rishte bante the
unka kya hoga
wo shayad ab nahin honge.

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Dr. roy,
bahoot hi behtreen likha hai aapne kavita bilkul nirbaadh bhav se aage badhti jaati hai aur kab khatm hui pata hi nahi chalta....bahoot hi khoobsoorat andaz-e-bayan
daad kabool ho sarkaar....
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #5 on: August 24, 2009, 12:02:33 PM »
Reply with quote
Sarvpratham to aapka vishay hi bahut shaandaar aur alag hut-kar hai, uskey liye badhai. Doosri baat-kavita bahut khoobsurat hai aur aakhri ki chaar panktiyon ne dil gad-gad kur diya!
Behtareen rachna Dr. Roy. Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:35:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer