wo teri awaaz hai... Intezar !

by Intezar on December 08, 2010, 01:56:53 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 6032 times)
Intezar
Guest
Reply with quote


Milna tera ik ittefaaq lagaa,jaane is mulaakat ka kya raaz hai
Jo zehen mein samaaya hai ek khayal bankar wo teri awaaz hai

Neend se mujhe jagaa jaati hai,jaagti aankhon ko sula jaati hai
Jo sukun de jaati hai tanha raahon par mujhe wo teri awaaz hai

Jise main sunta rahaa bheed bhari raaho par bhi har baar aur
paaya saath  jise har pal khamoshi mein bhi wo teri awaaz hai

main khud ko mehsoos kar liya karta hoon tere hontho par kahin
ki jo mera zikra karte karte mujhe chhu jati hai wo teri awaaz hai

ki mujhe roothne bhi nahin deti, koi manaaye bhi to kaise hume
mere khamosh hone par jo mere lab chhu jati hai wo teri awaaz hai

hai shukriya  jo tumne di awaaj ki hum to ab bikhar hi chuke the
baad bikharne ke bhi jo samet laayi hume yahan wo teri awaaz hai

rooh kaanp jaati hai meri jab sunta hu tujhe mai khud me kaheen
jo mere dil se zehen tak roz ek safar tay karti hai wo teri awaaz hai

na kuch de paaya na kuch sanjo ke rakh saka main is duniya me
jo reh gaya paas mere banke jaise ek khazaana wo teri awaaz hai

yahaan aakar bhi tujhe bahut kareeb hi paaya hai maine 'Intezar'
ki mujhe lahad mein bhi jo aakar bulaa jaati hai wo teri awaaz hai... !



Shukriya
Intezar !
[/color][/font][/size]
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 08, 2010, 02:14:14 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Intezar Ji
Logged
Intezar
Guest
«Reply #2 on: December 08, 2010, 02:15:25 PM »
Reply with quote
Shukriya Rajesh ji... shukriya... shukriya..

Intezar !

Bahut khoob Intezar Ji
Logged
kritika sharma
Guest
«Reply #3 on: December 08, 2010, 02:34:44 PM »
Reply with quote
bahut shandar likha hai!! nice !


Milna tera ik ittefaaq lagaa,jaane kya is mulaakat ka raaz hai
Jo zehen mein samaaya hai ek khayal bankar wo teri awaaz hai

Neend se mujhe jagaa jaati hai,jaagti aankhon ko sula jaati hai
Jo sukun de jaati hai tanha raahon par mujhe wo teri awaaz hai

Jise main sunta rahaa bheed bhari raaho par bhi har baar aur
paaya saath  jise har pal khamoshi mein bhi wo teri awaaz hai

main khud ko mehsoos kar liya karta hoon tere hontho par kahin
ki jo mera zikra karte karte mujhe chhu jati hai wo teri awaaz hai

ki mujhe roothne bhi nahin deti, koi manaaye bhi to kaise hume
mere khamosh hone par jo mere lab chhu jati hai wo teri awaaz hai

hai shukriya  jo tumne di awaaj ki hum to ab bikhar hi chuke the
baad bikharne ke bhi jo samet laayi hume yahan wo teri awaaz hai

rooh kaanp jaati hai meri jab sunta hu tujhe mai khud me kaheen
jo mere dil se zehen tak roz ek safar tay karti hai wo teri awaaz hai

na kuch de paaya na kuch sanjo ke rakh saka main is duniya me
jo reh gaya paas mere banke jaise ek khazaana wo teri awaaz hai

yahaan aakar bhi tujhe bahut kareeb hi paaya hai maine 'Intezar'
ki mujhe lahad mein bhi jo aakar bulaa jaati hai wo teri awaaz hai... !



Shurkiya
Intezar !
[/color][/font][/size]

Logged
Intezar
Guest
«Reply #4 on: December 08, 2010, 02:36:40 PM »
Reply with quote
Shukriya kritika ji... aap ka bahut bahut shukriya...

Intezar !
bahut shandar likha hai!! nice !
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: December 08, 2010, 04:23:58 PM »
Reply with quote
jo awaaz ki maanind gunj rahi hai teri ruuh me
wo awaaz nahin hai meri, mere pyaar ka ehsaas hai

har waqt jo tujhe tujhse chura ke sanjo leta hai khudme
wo awaaz nahin hai meri, mere pyaar ka ehsaas hai...!!!

bht khubb intezar ji..kya mastam mast likha hai aapne....mazaa aagaya ji padhkar...
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #6 on: December 08, 2010, 04:26:28 PM »
Reply with quote
Bahut khub janeman Intezaar ji--- aapki yahi to khasiyat hai
jo hume lubhati hai:)
***
so gaye meri khabon ko neend se jaga de jo
    wo teri awaz hai
khud me hi nahi hum aajkal
mujhe khud se hi mila de jo
    wo teri awaz hai
***Inqalaab Zindabaad***
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: December 08, 2010, 04:29:26 PM »
Reply with quote


Milna tera ik ittefaaq lagaa,jaane kya is mulaakat ka raaz hai
Jo zehen mein samaaya hai ek khayal bankar wo teri awaaz hai

Neend se mujhe jagaa jaati hai,jaagti aankhon ko sula jaati hai
Jo sukun de jaati hai tanha raahon par mujhe wo teri awaaz hai

Jise main sunta rahaa bheed bhari raaho par bhi har baar aur
paaya saath  jise har pal khamoshi mein bhi wo teri awaaz hai

main khud ko mehsoos kar liya karta hoon tere hontho par kahin
ki jo mera zikra karte karte mujhe chhu jati hai wo teri awaaz hai

ki mujhe roothne bhi nahin deti, koi manaaye bhi to kaise hume
mere khamosh hone par jo mere lab chhu jati hai wo teri awaaz hai

hai shukriya  jo tumne di awaaj ki hum to ab bikhar hi chuke the
baad bikharne ke bhi jo samet laayi hume yahan wo teri awaaz hai

rooh kaanp jaati hai meri jab sunta hu tujhe mai khud me kaheen
jo mere dil se zehen tak roz ek safar tay karti hai wo teri awaaz hai

na kuch de paaya na kuch sanjo ke rakh saka main is duniya me
jo reh gaya paas mere banke jaise ek khazaana wo teri awaaz hai

yahaan aakar bhi tujhe bahut kareeb hi paaya hai maine 'Intezar'
ki mujhe lahad mein bhi jo aakar bulaa jaati hai wo teri awaaz hai... !



Shurkiya
Intezar !
[/color][/font][/size]

Kisi ki geybat mein bhi uski maujudagi ko tassavur kar k behad umda ehsas likhe hai apne apni rachna mein..bahut khoob intezaar ji.
Logged
yasmeen khan
Guest
«Reply #8 on: December 08, 2010, 05:11:19 PM »
Reply with quote
dil ko chho liya aap ki peskash ne  such m aapki peshkash ka intezar rahta h
Logged
Intezar
Guest
«Reply #9 on: December 08, 2010, 05:55:48 PM »
Reply with quote
Shukriya Kasak ji... shukriya... aapne jawaab diya uska bhi shukriya ji...

Intezar !
jo awaaz ki maanind gunj rahi hai teri ruuh me
wo awaaz nahin hai meri, mere pyaar ka ehsaas hai

har waqt jo tujhe tujhse chura ke sanjo leta hai khudme
wo awaaz nahin hai meri, mere pyaar ka ehsaas hai...!!!

bht khubb intezar ji..kya mastam mast likha hai aapne....mazaa aagaya ji padhkar...
Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: December 08, 2010, 05:56:55 PM »
Reply with quote
Killbill ji Shukriya ji shukriya aur itni hausla afzaayi ke liye bhi bahut bahut Shukriya... !

Intezar !
Bahut khub janeman Intezaar ji--- aapki yahi to khasiyat hai
jo hume lubhati hai:)
***
so gaye meri khabon ko neend se jaga de jo
    wo teri awaz hai
khud me hi nahi hum aajkal
mujhe khud se hi mila de jo
    wo teri awaz hai
***Inqalaab Zindabaad***
Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: December 08, 2010, 05:58:25 PM »
Reply with quote
Geet ji aapka shukriya... jo kareeb se padha aapne... aapka bahut bahut shukriya...

Intezar !
Kisi ki geybat mein bhi uski maujudagi ko tassavur kar k behad umda ehsas likhe hai apne apni rachna mein..bahut khoob intezaar ji.
Logged
Intezar
Guest
«Reply #12 on: December 08, 2010, 06:06:26 PM »
Reply with quote
Yasmeen ji Shukriya aapka... aapne ise dil se mehsoos kiya... hume bhi to bas aap logo ka hi intezar rehta hai... Shukriya aapki Hausla afzaayi ka bhi bahut bahut shukriya...

Intezar !
dil ko chho liya aap ki peskash ne  such m aapki peshkash ka intezar rahta h
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #13 on: December 08, 2010, 06:11:24 PM »
Reply with quote
Intezaar ji--- wese mere pass jada shabd hote nhi ki mai thk se daad de sakun ya kuch achha likh sakun..
bas khus hokar comnt kr deta hu..
Aapka naam to bta do bhai--?
Logged
Intezar
Guest
«Reply #14 on: December 08, 2010, 06:20:12 PM »
Reply with quote
aray mera matlab wo nahin tha ki aapne kam hausla afzaayi ki hai balki main to ye keh raha tha... aap ki itni saari,  baar baar Hausla afzaayi ke liye main shukriya ada karta hun... Killbill ji... thik hai... aur aapne ek baar padh liya wahi bahut hai hamaare liye to thik hai bhai... check your personal message shortly...

Intezar !
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:06:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer