Woh Lautkar Phir Naa Aayenge "Khwaish"

by khwaish on September 23, 2011, 12:30:05 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2873 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Iss Topic Par Main Bahut Pehle Hi Kuch Likhna Chaahta Tha Par Main Shayad Iss Topic Ko Uss Hadd Tak mehsoos Naa Kar Saka Aur Isliye Iss Topic Ko Nazar-Andaaz Hi Karta Reh Gaya..Yeh Topic Hai "Budhaape" Pe..Jo Har Insaan Ki Zindagi Ka Bahut Eham Hissa Hai,Yeh Woh Daur Hota Hai Jisme Humein Sabse Zyaada Zaroorat Apno Ki Hoti Hai Jo Humara Dekhbaal Kar Sake,Humara Khayal Rakh Sake
Aur Aise Mein Gar Koi Apne Buzurgo Ki Sewa Nahi Karna Chaahta,Woh Apne Ghar Ka Maalik To Zaroor Rehta Hai Par Ek Aisa Ghar Jiski Deewarein Khokli Aur Be-Buniyaad Ho..Yeh Nazm Ek Aise Buzurg Ki Zubaani Hai Jo Apne Bacho Se Kuch kehna Chaahte Hain..Unki Majbooriyan,Aur Kuch Unke Dil Ki baatein..Yeh Nazm Dil Se Likhi Gayi Hai isliye Umeed Karta Hoon ke Yeh Dil Se Padhi Bhi jaaye..Shukriya


Mere Rehte Hue Mujhe Pyaar Karo
Mere Jaane Ke Baad Chahe Shhraad Naa Manao

Mujhse Mithe Do-Chaar Bol Hi karlo
Mujhe Akele Ghar Par Naa Chodd Jaao

Main Woh Darakht Hoon Jiski Chaau mein Tum Sab Pale Ho
Mera Haath Thaamkar Tum Sab Aage Ki Orre Chale Ho

Aaj Gar Main Naa Chal Sakoon To Mujhse Shikayat Naa karna
 Mera Sahara Bankar Mere Saath Tum Sab Chalna

Mere Raaye-Mashware Ki Shayad Ab Tumhe Koi Zaroorat Nahi!!!
Mere Bacho Mujhe Iss Baat Par Tumse Koi Shikayat Nahi

Guzarte Waqt Ke Mutaabik Soch Samaj Badalti Hai
Jab Naye Rang Bharte Hai jab jaakar Tasveere Nikharti Hain!!!

Mujhe Bas Yeh Ek Ehsaas Dilaate Rehna
Ke Yahan Sab Mere Apne Hain!!!!
Jisse Haqeqqat Ka Rang Diya Tha maine
Yehi Woh Mere Kuch Chandd Sapne Hain

Chandd Sapne,Chandd Umeedein, Chandd KhwaisheN....
Tumse Jodna Ka Mere Bacho Main Haq Rakhta Hoon
Mujhse Tum Sab kahin Door Naa Ho Jaao
Iss Baat Se Main Bas Darta Hoon...!!!!!!

Mere Bacho Mujhse Kuch Galat Ho bhi Jaaye To Sabr kar Lena
Meri To Har Soch mein Tum shaamil Ho,Meri Bhi Bas Kuch Fikar kar lena


"Khwaish" Aankhon Mein Ashq Bharkar Itna kehna Chahhta Hai
Mohabbat Karo Apne Buzurgo Se Varna Waqt Kaha Kaise Guzar jaata hai

Kal jab Apne Buzurgo Ko Yaad Karoge Woh Paas Naa Reh Paayenge
Jo Log Bichad Gaye So Bichad Gaye, Woh Lautkar Phir Na Aayenge....
            Woh Lautkar Phir Naa Aayenge

                   ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: September 23, 2011, 02:42:12 PM »
Reply with quote
khwaish ji......ankhein bhari hui hain aur shabd laapta..... samjh nahin aaraha apni kin kin galtiyon k liye kshama mangu apne badon se aur kis tarah unhe is dard se azaad karu...... jo chale gaye unki baatein aur jo hain unse judi khtayen sab aankhon se hokar guzarti gai har ek shabd padhte hue...... bar bar padhi aur bar bar apne gunaah yaad aaye........

thnxxxxx alot for makin us realize d value of our parents and grand parents ..jinhe na chahte hue bi hum kai bar avoid kar dete hain......

ek lajawaab aur behad sanvedanshil kavita....... hai ye aapki...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: September 23, 2011, 08:58:29 PM »
Reply with quote
Khwaish dost,
Sachayi ki bakhoobi bayani ki hai apne..
Behad dil choo ne wali peshkash hai yeh..
Sahi kaha kay woh laut kar naa ayenge..
Jitni jaldi hum yeh samaj le, behtar hoga..
Baghban, movie ki yaad agayi yeh kalam parrte parrte..
Main dhero daad dena chahta hoon apko iss par..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: September 24, 2011, 07:00:09 AM »
Reply with quote
khwaish ji......ankhein bhari hui hain aur shabd laapta..... samjh nahin aaraha apni kin kin galtiyon k liye kshama mangu apne badon se aur kis tarah unhe is dard se azaad karu...... jo chale gaye unki baatein aur jo hain unse judi khtayen sab aankhon se hokar guzarti gai har ek shabd padhte hue...... bar bar padhi aur bar bar apne gunaah yaad aaye........

thnxxxxx alot for makin us realize d value of our parents and grand parents ..jinhe na chahte hue bi hum kai bar avoid kar dete hain......

ek lajawaab aur behad sanvedanshil kavita....... hai ye aapki...

Anuji Sabse pehle, Thanks a Million Jo Aapne Iss Nazm Ko Apna Waqt Diya..Varna main Soch Raha Tha Ke Shayad Aisi Topic par Likh kar maine Koi galti Kar di hai, Yoindia mein Social issues par bahut kam hi log likhte hai varna Ishq aur dard Ke bahut Khareedar hai iss Mehfil Mein..Khair Anuji Aisa Kuch Vyaaka Mere saath Guzra Tha,uss vaakya Ne Zehan Par ek Gehra Asar Chodda Isliye Yeh nazm Likh gaya..Thankxxxxxxx a lotttttt to mujhe kehna chahiye aapko jo aapne iss nazm ke dard Ko Mehsoos Kiya...

 Thankyou ! Thankyou !
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #4 on: September 24, 2011, 07:41:08 AM »
Reply with quote
Iss Topic Par Main Bahut Pehle Hi Kuch Likhna Chaahta Tha Par Main Shayad Iss Topic Ko Uss Hadd Tak mehsoos Naa Kar Saka Aur Isliye Iss Topic Ko Nazar-Andaaz Hi Karta Reh Gaya..Yeh Topic Hai "Budhaape" Pe..Jo Har Insaan Ki Zindagi Ka Bahut Eham Hissa Hai,Yeh Woh Daur Hota Hai Jisme Humein Sabse Zyaada Zaroorat Apno Ki Hoti Hai Jo Humara Dekhbaal Kar Sake,Humara Khayal Rakh Sake
Aur Aise Mein Gar Koi Apne Buzurgo Ki Sewa Nahi Karna Chaahta,Woh Apne Ghar Ka Maalik To Zaroor Rehta Hai Par Ek Aisa Ghar Jiski Deewarein Khokli Aur Be-Buniyaad Ho..Yeh Nazm Ek Aise Buzurg Ki Zubaani Hai Jo Apne Bacho Se Kuch kehna Chaahte Hai..Unki Majbooriyan,Aur Kuch Unke Dil Ki baatein..Yeh Nazm Dil Se Likhi Gayi Hai isliye Umeed Karta Hoon ke Yeh Dil Se Padhi Bhi jaaye..Shukriya


Mere Rehte Hue Mujhe Pyaar Karo
Mere Jaane Ke Baad Chahe Shhraad Naa Manao

Mujhse Mithe Do-Chaar Bol Hi karlo
Mujhe Akele Ghar Par Naa Chodd Jaao

Main Woh Darakht Hoon Jiski Chaau mein Tum Sab Pale Ho
Mera Haath Thaamkar Tum Sab Aage Ki Orre Chale Ho

Aaj Gar Main Naa Chal Sakoon To Mujhse Shikayat Naa karna
 Mera Sahara Bankar Mere Saath Tum Sab Chalna

Mere Raaye-Mashware Ki Shayad Ab Tumhe Koi Zaroorat Nahi!!!
Mere Bacho Mujhe Iss Baat Par Tumse Koi Shikayat Nahi

Guzarte Waqt Ke Mutaabik Soch Samaj Badalti Hai
Jab Naye Rang Bharte Hai jab jaakar Tasveere Nikharti Hai!!!

Mujhe Bas Yeh Ek Ehsaas Dilaate Rehna
Ke Yahan Sab Mere Apne Hai!!!!
Jisse Haqeqqat Ka Rang Diya Tha maine
Yehi Woh Mere Kuch Chandd Sapne Hai

Chandd Sapne,Chandd Umeedein, Chandd Khwaishe....
Tumse Jodna Ka Mere Bacho Main Haq Rakhta Hoon
Mujhse Tum Sab kahin Door Naa Ho Jaao
Iss Baat Se Main Bas Darta Hoon...!!!!!!

Mere Bacho Mujhse Kuch Galat Ho bhi Jaaye To Sabr kar Lena
Meri To Har Soch mein Tum shaamil Ho,Meri Bhi Bas Kuch Fikar kar lena


"Khwaish" Aankhon Mein Ashq Bharkar Itna kehna Chahhta Hai
Mohabbat Karo Apne Buzurgo Se Varna Waqt Kaha Kaise Guzar jaata hai

Kal jab Apne Buzurgo Ko Yaad Karoge Woh Paas Naa Reh Paayenge
Jo Log Bichad Gaye So Bichad Gaye, Woh Lautkar Phir Na Aayenge....
            Woh Lautkar Phir Naa Aayenge

                   ~~~~~Khwaish~~~~~



ek khubsurat nazm hai. aur hum sab nawjawaan ko iss baat ko samajhna chahiye.apne vivek se........!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: September 24, 2011, 07:45:44 AM »
Reply with quote
 :icon_salut:Khwaish ji sach mein dil ko chu gayi aapke nazm,bahut sachai aur khoobsurat peshkash .jab mai pad rahi thi aapke nazm mujhe old people home mein jite maa baap hai sabke yaad aa gayi.sirf unke liye hum sab milke duaa kar sakte hai.really touching nazm.superb. icon_salut Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: September 24, 2011, 09:45:38 AM »
Reply with quote
Khwaish dost,
Sachayi ki bakhoobi bayani ki hai apne..
Behad dil choo ne wali peshkash hai yeh..
Sahi kaha kay woh laut kar naa ayenge..
Jitni jaldi hum yeh samaj le, behtar hoga..
Baghban, movie ki yaad agayi yeh kalam parrte parrte..
Main dhero daad dena chahta hoon apko iss par..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!

Bhai Rahim, Aapka Bahut Bahut Shukriya...

Bas Yeh Ek Koshish Thi Ke Kuch Aisi Baaton Pe Roshini Daali jaaye,aap sab ne padha,koshish kamyaab hui..waqt dene ke liye bahut bahut shukriya icon_flower icon_flower
Logged
sbechain
Guest
«Reply #7 on: September 24, 2011, 11:35:44 AM »
Reply with quote
Iss Topic Par Main Bahut Pehle Hi Kuch Likhna Chaahta Tha Par Main Shayad Iss Topic Ko Uss Hadd Tak mehsoos Naa Kar Saka Aur Isliye Iss Topic Ko Nazar-Andaaz Hi Karta Reh Gaya..Yeh Topic Hai "Budhaape" Pe..Jo Har Insaan Ki Zindagi Ka Bahut Eham Hissa Hai,Yeh Woh Daur Hota Hai Jisme Humein Sabse Zyaada Zaroorat Apno Ki Hoti Hai Jo Humara Dekhbaal Kar Sake,Humara Khayal Rakh Sake
Aur Aise Mein Gar Koi Apne Buzurgo Ki Sewa Nahi Karna Chaahta,Woh Apne Ghar Ka Maalik To Zaroor Rehta Hai Par Ek Aisa Ghar Jiski Deewarein Khokli Aur Be-Buniyaad Ho..Yeh Nazm Ek Aise Buzurg Ki Zubaani Hai Jo Apne Bacho Se Kuch kehna Chaahte Hai..Unki Majbooriyan,Aur Kuch Unke Dil Ki baatein..Yeh Nazm Dil Se Likhi Gayi Hai isliye Umeed Karta Hoon ke Yeh Dil Se Padhi Bhi jaaye..Shukriya


Mere Rehte Hue Mujhe Pyaar Karo
Mere Jaane Ke Baad Chahe Shhraad Naa Manao

Mujhse Mithe Do-Chaar Bol Hi karlo
Mujhe Akele Ghar Par Naa Chodd Jaao

Main Woh Darakht Hoon Jiski Chaau mein Tum Sab Pale Ho
Mera Haath Thaamkar Tum Sab Aage Ki Orre Chale Ho

Aaj Gar Main Naa Chal Sakoon To Mujhse Shikayat Naa karna
 Mera Sahara Bankar Mere Saath Tum Sab Chalna

Mere Raaye-Mashware Ki Shayad Ab Tumhe Koi Zaroorat Nahi!!!
Mere Bacho Mujhe Iss Baat Par Tumse Koi Shikayat Nahi

Guzarte Waqt Ke Mutaabik Soch Samaj Badalti Hai
Jab Naye Rang Bharte Hai jab jaakar Tasveere Nikharti Hai!!!

Mujhe Bas Yeh Ek Ehsaas Dilaate Rehna
Ke Yahan Sab Mere Apne Hai!!!!
Jisse Haqeqqat Ka Rang Diya Tha maine
Yehi Woh Mere Kuch Chandd Sapne Hai

Chandd Sapne,Chandd Umeedein, Chandd Khwaishe....
Tumse Jodna Ka Mere Bacho Main Haq Rakhta Hoon
Mujhse Tum Sab kahin Door Naa Ho Jaao
Iss Baat Se Main Bas Darta Hoon...!!!!!!

Mere Bacho Mujhse Kuch Galat Ho bhi Jaaye To Sabr kar Lena
Meri To Har Soch mein Tum shaamil Ho,Meri Bhi Bas Kuch Fikar kar lena


"Khwaish" Aankhon Mein Ashq Bharkar Itna kehna Chahhta Hai
Mohabbat Karo Apne Buzurgo Se Varna Waqt Kaha Kaise Guzar jaata hai

Kal jab Apne Buzurgo Ko Yaad Karoge Woh Paas Naa Reh Paayenge
Jo Log Bichad Gaye So Bichad Gaye, Woh Lautkar Phir Na Aayenge....
            Woh Lautkar Phir Naa Aayenge

                   ~~~~~Khwaish~~~~~


har mazhab, har ma'shra,hamein bado ki izzat karna sikhata hai aur khususi taur pe waaldain ki ...jab wo budhe aur kamzor ho jaaein....!!!! bahut ache andaaz mein aapne pesh kiya hai iss talluk se.
            daad kabul karein khawahish ji


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: September 24, 2011, 12:06:39 PM »
Reply with quote

ek khubsurat nazm hai. aur hum sab nawjawaan ko iss baat ko samajhna chahiye.apne vivek se........!!!


Aapka Bahut Bahut Shukriya M.b Ji Jo Aapne Apna Waqt Diya..

Aur Bilkul Durust Farma Rahe Hai Aap..Hum Sab ko Yeh Baaat samajhni chahiye icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: September 24, 2011, 12:35:22 PM »
Reply with quote
:icon_salut:Khwaish ji sach mein dil ko chu gayi aapke nazm,bahut sachai aur khoobsurat peshkash .jab mai pad rahi thi aapke nazm mujhe old people home mein jite maa baap hai sabke yaad aa gayi.sirf unke liye hum sab milke duaa kar sakte hai.really touching nazm.superb. icon_salut Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause

Thankyou Sooooooooooooooooo much For Reading This Madhu..

Aapne Iss Nazm Ke Ehsaaso ko Mehsoos Kiya Yeh jaankar Bahut Acha Laga..

Aur Bilkul Sach Hum sab Sirf yeh Dua Kar sakte Hai ke Har Ghar mein Buzurgo Ki Izzat Aur sewa Ho..Thanks a lottt for giving Your time icon_flower icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: September 24, 2011, 02:51:34 PM »
Reply with quote

har mazhab, har ma'shra,hamein bado ki izzat karna sikhata hai aur khususi taur pe waaldain ki ...jab wo budhe aur kamzor ho jaaein....!!!! bahut ache andaaz mein aapne pesh kiya hai iss talluk se.
            daad kabul karein khawahish ji


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Shebaji, Aapne Apna Keemti waqt diya..aapka bahuttttt bahuttttt Shukriya...Yuhi Saath Dete Rahiyega icon_flower icon_flower
Logged
drpandey
Guest
«Reply #11 on: September 25, 2011, 07:29:29 PM »
Reply with quote
Khwaish bhai bahoot khoob lika hai..!!
Nazm ke ehsaas aur riwayat ko aapne bakhoobi nibhaya hai..!
Bahot hi cachha ehsaas hai..!!

Aapki es nazm ke silsile per kuchh lines mujhe yaad aa rahin hain.. Jisme ek shyar apne shyar pita ki mazar dekh kar kahta hai..

…Tumhare maut ki sachchi khabhar jise sunai thi,
Wo jhutha tha, Wo tum kab they koi sookha hua patta,
hawa se hilke toota tha..
..Jab bhi mai likhne ke liye kalam kaghajz uthata hoon,
tumhe baitha hua apni hi kurshi me paata hoon,
…Tumhari kabr me main dafn hoon tum mujhme Zinda hoo..[NM]
Daad hazir hazir hai kabool farmayen..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: September 26, 2011, 07:10:38 AM »
Reply with quote
Khwaish bhai bahoot khoob lika hai..!!
Nazm ke ehsaas aur riwayat ko aapne bakhoobi nibhaya hai..!
Bahot hi cachha ehsaas hai..!!

Aapki es nazm ke silsile per kuchh lines mujhe yaad aa rahin hain.. Jisme ek shyar apne shyar pita ki mazar dekh kar kahta hai..

…Tumhare maut ki sachchi khabhar jise sunai thi,
Wo jhutha tha, Wo tum kab they koi sookha hua patta,
hawa se hilke toota tha..
..Jab bhi mai likhne ke liye kalam kaghajz uthata hoon,
tumhe baitha hua apni hi kurshi me paata hoon,
…Tumhari kabr me main dafn hoon tum mujhme Zinda hoo..[NM]
Daad hazir hazir hai kabool farmayen..



DrPandeyji, Waqt Dene ke liye aapka bahut bahut Shukriya..Yeh kalaam Dil se likhi gayi thi, aap sab ne iss koshish ko saraaha,inn ehsaaso ko izzat di,aap ka aur sab ka bahut bahut shukriya.. icon_flower icon_flower icon_flower

aur bahut hi jazbaati Lines share ki hai aapne..

Bahut Khooooob!!!!!
Logged
Talat Jabeen
Guest
«Reply #13 on: September 28, 2011, 10:29:20 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot bohot khoob Kitu Dost....bohot psand aayi aapki ye nazm. Us ghar main raunaq nahin hoti, jahan buzurg na hon. Hum sab apni zindagi main kho ke bhool jaate hain ki ek din hum bhi iss daur main aayenge jab hume sirf 2-4 pal pyaar ke apno se chhaiye honge. 

Iss topic pe likhne ke liye bohot bohot mubarakbad!  icon_thumleft

Talat
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #14 on: September 29, 2011, 04:32:40 AM »
Reply with quote
khwaish ji bahut khoob likha hai .
very touching and very sentimental.
wakai ye aaj ki zarurat hai.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 12:22:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer