Hum sab mohobat karte hai, aur shikayat bhi karte hai uss ashiq se..Aur ager woh haath chorr de ya dhoor chale jaye, toh usse bewaffa kehne lagte hai..Meri yeh nazm ek sawal hai khud se bhi aur unn tamam se bhi kay yeh kaisi mohobat hai??
Do dinn pehle fm par ek aurat ki dastaan sun raha tha..Woh keh rahi thi 'kay main blind hoon aur shaadi se pehle hi yeh baat mere husband ko pata chali thi..Uss shaks ne phir bhi mujse shaadi ki..Aj usse duniya chorre hue 12 saal hogaye hai aur main aj bhi ussi ki mehbooba hoon..koi bache nahin hai humare mager I still love him.."
Doston I was touched and speechless..Maine khudse sawal kiya kay kaisi mohobat hai teri kay usne haath kya chorra, tu usse bewaffa kehne lag gaya aur ek yeh aurat hai jo 12 saal se akele jee rahi hai aur aj bhi kehti hai kay I love him..
Meri yeh nazm uss aurat ko dedicated hai jiska main naam nahin janta na hi kabhi us'se mila hoon phir bhi usne mere dil main ek jagah bana li hai..Meri bahaut sari duaein hai uss aunty kay saath kay woh sada khush rahe aur unke husband ko Jannat naseeb ho..Ameen..Ager apke paas koi hai toh usse khone na dein aur ager nahin hai, toh usse khudse juda hone na dein..Mohobat barrni chahiye, bhoolani nahin..
Mohobat main shikayat ki koi jagah nahin,
Chahne wale bahaut hai, ashiq yahan koi nahin..
Woh do kadam dhoor chali gayi toh bhool gaya tu usse,
Wahan uska ashiq mar gaya mager woh ab tak usse bhooli nahin,
Chahne wale bahaut hai, ashiq yahan koi nahin..
‘Khamosh’ shukar man kay woh sirf bichrra hai, juda nahin hua,
Uska soch jiska mehboob iss duniya main hi nahin,
Chahne wale bahaut hai, ashiq yahan koi nahin..
Aj khudse sawal hai kay yeh kaisi mohobat ki hai tune,
‘Khamosh’ tujh main ashiq jaisi koi ada nahin,
Chahne wale bahaut hai, ashiq yahan koi nahin..
Yaaron mohobat main shikayat ki koi jagah nahin,
Jisse tum chaho woh kisi haal main bewaffa nahin,
Chahne wale bahaut hai, ashiq yahan koi nahin..
~..Rahim..~..A Silent Heart..~