"" ye kaisi bhookh humne pai hai ""

by nirala on February 08, 2011, 06:02:19 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2457 times)
nirala
Guest
Reply with quote
desh me aaj ghotaon ki baadh si ai hai
aur hum rote hain ki badhi mahangai hai!

har ek Huk-maraano ne desh ki sampati toot kar khai hai
saari janta ki bhookh to bs kuch logo ne hi pai he!!

hum rote hain ki badhi mahangai hai
desh me yaro ghotalo ki baadh si ai hai

kya sikwa ab gila kisi se
kuch na kuch to shayd humne bhi apni jeb me rakhwai hai!

kehne ko desh hamara gareeb hai
Loot te waqt khud ko--
kab ye baat humare hi dimaag me aai hai!!!

desh me yaaro ghotalo ki baadh si aai hai---!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #1 on: February 08, 2011, 07:56:38 AM »
Reply with quote
Niralaa jee!ek baar kaheeN paRhaa thaa...aaj imaandaar wahee kahlaataa hai jisko be-imaanee kaa mouqa nahee mil sakaa...kyaa haqeeqat me humaaraa naitik ppatan is had tak ho chukaa hai....desh me ho rahe ghotale or bhrashtachaar usi charitrik patan kaa aainaa hai...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: February 08, 2011, 08:05:48 AM »
Reply with quote
desh me aaj ghotaon ki baadh si ai hai
aur hum rote hain ki badhi mahangai hai!

har ek Huk-maraano ne desh ki sampati toot kar khai hai
saari janta ki bhookh to bs kuch logo ne hi pai he!!

hum rote hain ki badhi mahangai hai
desh me yaro ghotalo ki baadh si ai hai

kya sikwa ab gila kisi se
kuch na kuch to shayd humne bhi apni jeb me rakhwai hai!

kehne ko desh hamara gareeb hai
Loot te waqt khud ko--
kab ye baat humare hi dimaag me aai hai!!!

desh me yaaro ghotalo ki baadh si aai hai---!

Nirala Ji,Aapne Bahut kam Shabdon Mein Aaj K Yug Ki Sachai Saamne Rakhdi..Bahut Hi Khooooob!!!! har sher Sach Ka Aeana dikhaata hua..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Mamta Ji Aapne Bhautttttt Hi Achi Aur Sachi Baat Share ki, jo aapne kaha ke aapne kahin padha hai..
Logged
nirala
Guest
«Reply #3 on: February 08, 2011, 08:12:59 AM »
Reply with quote
Mamta ji --aapne sahi kaha aaj sirf wahi imaandaar hai jise beimaani ka mauka nahi mila. yahi sachh hai.
Khwahish ji --aapko bata du k mai aisi baate likhna pasand nahi karta. lekin aaj mujhe khud par hi laanat mehsoos hui kuch recent ghotala ko dekh ISRO ki. mai jab kuch kar hi nahi sakta to mujhe chillane ka bhi haq nahi ki ye bura hai ya wo bura hai.
bas gusse me aaj likh gaya.
wese bhi mai apne desh ka supporte hun.
lekin sach ko jhutlaya nhi jaata kabhi kabhi.
"
thanx aapdono ka
Logged
manjum
Guest
«Reply #4 on: February 08, 2011, 09:21:28 AM »
Reply with quote
bahut acha hai niralaji... badiya hai...
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #5 on: February 08, 2011, 02:50:41 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Nirala Ji
Bahut Hi Sunder Aur Haqiqat Ka Byan Kiya Hai
Padkhar Bahut Accha Lga Humein U HI likhte rahna
Aur Humesha Khush Rahna Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 01:40:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer