**Yeh kaisi duniya hai???** by Rahim

by dead heart on September 13, 2009, 06:22:00 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4907 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Ek ghareeb ko yahan janwar samjha jata hai,
Aur ek ameer ko yahan paigambar mana jata hai,
Khuda se zada hum paison ko pujte rehte hai,
Akhir yeh duniya hai toh kaisi duniya hai???

Ek besahara ladki ka yahan faeda uthaya jata hai,
Dil se nahin balke jism se mohobat kiya jata hai,
Imaan ko yahan kagaaz ke tukdon se khareeda jata hai,
Akhir yeh duniya hai toh kaisi duniya hai???

Yahan bhaiyon main paise ko lekar ladayi hoti hai,
Kahin kisi ghareeb ki behan tawaef hoti hai,
Aur hum shaan se kehte hai 'yeh duniya kitni khubsoorat hai'
Akhir yeh duniya hai toh kaisi duniya hai???

Ladka maa-baap se biwi ki wajah se alag hojata hai,
Kahin toh ladka maa ki wajah se biwi ke khilaf hojata hai,
Kya Khuda ne aise hi rishton ki tamanna rakhi thi humse,
Akhir yeh duniya hai toh kaisi duniya hai???

Khuda ki banayi duniya ko yahan lakeeron se toda jata hai,
Thodi si zameen ke liye insaanon ka khoon bahaya jata hai,
Kya jawab denge hum upar jakar uss Khuda ko yaaron,
Aisi duniya ki tamana nahin rakhta hai dil main Rahim,
Ek dukhi mann se yehi sawal puchta hoon sabse,
Akhir yeh duniya hai toh kaisi duniya hai???


~Rahim~
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: September 13, 2009, 07:02:19 PM »
Reply with quote
 :icon_salut:Aapke soch ke liye Rahim ji.bahut bahut khoob.touching n mindblowing creation,excellent. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ehsaas chahat ka
Guest
«Reply #2 on: September 13, 2009, 07:07:04 PM »
Reply with quote
be hadd pyara aur dil ko chune wali ehsaas hai
rahim ji
keep it up
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: September 14, 2009, 02:04:19 PM »
Reply with quote
bade bhai bahut bahut khoob kaha hai aapne har ek baat aankhon k saamne ghoomti huyyi humse yeh sawaal kartu hai kii wakai yeh kaisi duniya hai

kucch lines yaad aayi ek shayar kii likh raha hoon

Oh ri duniya, Oh ri duniya,
Aye duniya, aye surmayee aankhein ke pyaalo ki duniya oh duniya,
Surmayee aankhein ke pyaalo ki duniya oh duniya,
Satrangi rango gulalo ki duniya oh duniya -2 times

Alsaayi sejo ke phoolon ki duniya oh duniya re,
Angdaayi tode kabootar ki duniya oh duniya re,
Aye karwat le soyi haqeeqat ki duniya oh duniya,
Deewani hoti tabiyat ki duniya oh duniya,
Khwahish mein lipti zaroorat ki duniya oh duniya re,
Heyyy insaan ke sapno ki niyat ki duniya oh duniya,
Oh ri duniya, oh ri duniya, oh ro duniya, oh ri duniya,
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai? – 3 times

Mamta ki bikhri kahani ki duniya oh duniya,
Behno ki siski jawani ki duniya oh duniya,
Aadam ke hawaas rishte ki duniya oh duniya re,
Heyyy shayar ke pheenke labzo ki duniya oh duniya,
Ooooo…oooo…hoooo….hooo…ooooooooo…
[Gaalib ke maumin ke khawabo ki duniya,
Majazo ke un inqalabo ki duniya] – 2 times

Faize firako sahir umakhdum meel ki zoku kitabo ki duniya,
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai? – 3 times

Palchin mein baaten chali jaati hai hai,
Palchin mein raaten chali jaati hai hai,
Reh jaata hai jo sawera wo dhoondhe,
Jalta makaan mein basera wo dhoondhe,
Jaisi bachi hai waisi ki waisi, bacha lo yeh duniya,
Apna samajh ke apno ki jaisi utha lo yeh duniya,
Chitput si baaton mein jalne lagegi, sambhalo yeh duniya,
Katpit ke raaton mein palne lagegi, sambhalo yeh duniya,
Oh ri duniya, oh ri duniya, wo kahen hai ki duniya,
Yeh itni nahi hai sitaaro se aage jahan aur bhi hai,
Yeh hum hi nahi hai, wahan aur bhi hai,
Hamari hare k baat hoti wahin hai,
Hume aitraaz nahi hai kahin bhi,
Wo aayi zamil pe sahi hai,
Magar falsafa yeh bigad jaata hai jo,
Wo kehte hai…aalim yeh kehta wahan ishwar hai,
Faazil yeh kehta wahan allah hai,
Kabur yeh kehta wahan issa hai,
Manzil yeh kehti tab insaan se ki,
Tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya,
Yeh ujde hue chand baasi charago,
Tumhare yeh kale iraado ki duniya,
Ohh ri duniya, oh ri duniya…
Hoo ri duniya…



Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: September 14, 2009, 07:43:13 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut shukriya Madhu jee aur ehsaas chahat ka jee...

Bahaut shukriya Saahil bhaijan...Kahan bade bana rahe ho bhai...hum toh bas 17 saal ke hai...Hum toh khud ap jaiso ki shayari ke deewane hai...Too gud a sharing jee..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: April 09, 2010, 06:59:03 AM »
Reply with quote
Ek ghareeb ko yahan janwar samjha jata hai,
Aur ek ameer ko yahan paigambar mana jata hai,
Khuda se zada hum paison ko pujte rehte hai,
Akhir yeh duniya hai toh kaisi duniya hai???

Ek besahara ladki ka yahan faeda uthaya jata hai,
Dil se nahin balke jism se mohobat kiya jata hai,
Imaan ko yahan kagaaz ke tukdon se khareeda jata hai,
Akhir yeh duniya hai toh kaisi duniya hai???

Yahan bhaiyon main paise ko lekar ladayi hoti hai,
Kahin kisi ghareeb ki behan tawaef hoti hai,
Aur hum shaan se kehte hai 'yeh duniya kitni khubsoorat hai'
Akhir yeh duniya hai toh kaisi duniya hai???

Ladka maa-baap se biwi ki wajah se alag hojata hai,
Kahin toh ladka maa ki wajah se biwi ke khilaf hojata hai,
Kya Khuda ne aise hi rishton ki tamanna rakhi thi humse,
Akhir yeh duniya hai toh kaisi duniya hai???

Khuda ki banayi duniya ko yahan lakeeron se toda jata hai,
Thodi si zameen ke liye insaanon ka khoon bahaya jata hai,
Kya jawab denge hum upar jakar uss Khuda ko yaaron,
Aisi duniya ki tamana nahin rakhta hai dil main Rahim,
Ek dukhi mann se yehi sawal puchta hoon sabse,
Akhir yeh duniya hai toh kaisi duniya hai???


~Rahim~

Bahut khoob Rahim Ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: April 09, 2010, 12:08:05 PM »
Reply with quote
Shukriya Rajesh jee...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:15:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer