Yoindia hamaare diloN ki pukaar hai.(Special Nazm)

by Ghulam Haider on July 06, 2010, 12:26:16 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1320 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Yoindia hamaare diloN ki pukaar hai.
Yoindia se pyaar hameN be shumaar hai.

Rakhti hai apni saare zamaane pe ye nazar.
Har haadise ki deti hai laake hameN khabar.

Yoindia ka rehta hai mausam sadaa bahaar.
Yoindia baRhati hai sab ke diloN meN pyaar.

Khilte haiN roz is meN naye rang o boo ke phool.
Jamti nahiN yahaN ke nazaaroN pe aake dhool.

KaTta hai sab ka waqt yahaN par khushi ke saath.
BaRhte haiN sab ke dekho jidhar dosti ko haath.

Har shakhs khush mizaaj hai or khush khayaal hai.
Goyaa wo apne aap meN apni misaal hai.

Kuchh ikhtilaaf e mazhab o millat nahiN yahaN.
Har shakhs boltaa hai yahaN pyaar ki zubaN.

Yoindia ka ho gayaa, jo aa gayaa idhar.
Jaata nahiN kahiN bhi wo phir is ko chhoR kar.

Kyaa kyaa bayaN karegaa koii iski shaan meN.
Charchaa hai iske naam ka saare jahaan meN.

Haider thi teri nazm jo Yoindia ke naam.
Yoindia ne tujh ko diyaa hai baRa muqaam.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuch door hamaare sath chalo by kalpit1234 in Shayri-E-Dard
Kuch door hamaare saat chalo............. by Pooja in Ghazals « 1 2  All »
wo huwe hamaare............ by BIHARIBABU in Shayri for Dard -e- Judai
MOVED: special poems for special one... by Celmira in English
~For Someone Very Special in Yoindia~ by sunny_bunny in User Support and Suggestion Forum
tamanna.pt
Guest
«Reply #1 on: July 06, 2010, 06:22:53 AM »
Reply with quote

  Bahut khoob Ghulam haider ji, Bahut aasan se lafzo me aapne hum sab k dilon ki baat keh di. icon_thumleft
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: July 06, 2010, 11:56:06 AM »
Reply with quote
  Bahut khoob Ghulam haider ji, Bahut aasan se lafzo me aapne hum sab k dilon ki baat keh di. icon_thumleft

Shukriya Tamanna Ji, Nazm ki pazeeraayi ke liye. Raat Mera bohot dil kar raha tha ke kuchh yoindia ke liye bhi likhoN, so ye nazm ho gayi. Bohot 2 shukriya Tamanna ji.
 Hamesh khush raheN.
     Haider
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #3 on: July 06, 2010, 12:58:57 PM »
Reply with quote
Yoindia hamaare diloN ki pukaar hai.
Yoindia se pyaar hameN be shumaar hai.

Rakhti hai apni saare zamaane pe ye nazar.
Har haadise ki deti hai laake hameN khabar.

Yoindia ka rehta hai mausam sadaa bahaar.
Yoindia baRhati hai sab ke diloN meN pyaar.

Khilte haiN roz is meN naye rang o boo ke phool.
Jamti nahiN yahaN ke nazaaroN pe aake dhool.

KaTta hai sab ka waqt yahaN par khushi ke saath.
BaRhte haiN sab ke dekho jidhar dosti ko haath.

Har shakhs khush mizaaj hai or khush khayaal hai.
Goyaa wo apne aap meN apni misaal hai.

Kuchh ikhtilaaf e mazhab o millat nahiN yahaN.
Har shakhs boltaa hai yahaN pyaar ki zubaN.

Yoindia ka ho gayaa, jo aa gayaa idhar.
Jaata nahiN kahiN bhi wo phir is ko chhoR kar.

Kyaa kyaa bayaN karegaa koii iski shaan meN.
Charchaa hai iske naam ka saare jahaan meN.

Haider thi teri nazm jo Yoindia ke naam.
Yoindia ne tujh ko diyaa hai baRa muqaam.

bahut khoob haidar sahab
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: July 06, 2010, 07:06:42 PM »
Reply with quote
Shukriya Aadil Bhai !
Mujhe laga tha ke yoindia ke chaahne waale is nazm ko bohot pasand farmayeNge, Lekin mujhe iHsaas ho raha hai ke jo log ise paRh rahe haiN ye un ko pasand nahiN aa rahi hai.
Aap ka bohot 2 shukriyaa ke aap ne is ko apna qeemati waqt diya.
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #5 on: July 07, 2010, 02:40:00 PM »
Reply with quote
Kya kahne Haider sb. Bahut lajawab nazm likhi hai apne. Shairy ho to aisi, yoindia ka pura naksha kheinch diya apne. Hazaron daad hazir hain.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: July 07, 2010, 02:48:35 PM »
Reply with quote
Kya kahne Haider sb. Bahut lajawab nazm likhi hai apne. Shairy ho to aisi, yoindia ka pura naksha kheinch diya apne. Hazaron daad hazir hain.
Adeeb saahib, nawaazish hai aap ki.
Hoshiyaar aur samajhdaar insaan wohi hai jo kisi shai ke baare meN kuchh na kuchh nazar rakhta ho. Aap ne nazm paRhne ka haq adaa kiya hai.
intihayi shukr guzaar hoN aap ka. Aate rahiye Yoindia par
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #7 on: July 08, 2010, 07:39:36 AM »
Reply with quote
bahot khoob haider sahib ,,izhaar-e-mohabat bahot umda hai,aapki likhi yeh nazam "yoindia"ke liye ek nayaab tohfe se kam nahi..daad hazir hai janaab qubool karin...bahot khoob
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: July 08, 2010, 11:04:00 AM »
Reply with quote
bahot khoob haider sahib ,,izhaar-e-mohabat bahot umda hai,aapki likhi yeh nazam "yoindia"ke liye ek nayaab tohfe se kam nahi..daad hazir hai janaab qubool karin...bahot khoob
Ye to Yoindia ka mujh par haq tha. Lekin maiN wasf ka haq adaa na kar saka. is nazm ko pasand karne aur daad ke liye shukriya.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: July 12, 2010, 06:48:50 AM »
Reply with quote
Kamaal ki takhleeq hai Haider Saheb. Yoindia ke tamaam manaazir badi khoobsurati se aapne pesh kiye hain. Ek murassa nazm ke liye daad hazir hai.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: July 12, 2010, 06:56:41 AM »
Reply with quote
Bahut Khoooooooob Haidar Saheb.. Applause



**~** Mann **~**
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #11 on: July 12, 2010, 07:21:23 AM »
Reply with quote
Kamaal ki takhleeq hai Haider Saheb. Yoindia ke tamaam manaazir badi khoobsurati se aapne pesh kiye hain. Ek murassa nazm ke liye daad hazir hai.
Aap ki daad bohot qeemati hai, Intihaayi shukr guzaar hoN.
Allah (A.W J.) aap ko shaad o aabaad rakhe.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: July 12, 2010, 07:22:57 AM »
Reply with quote
Bahut Khoooooooob Haidar Saheb.. Applause



**~** Mann **~**
Pasand karne ke liye shukriya.
Hamesha khush raheN. Mukhlis : Haider
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:56:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer