YuN aaj roshanee kee gunahgaar ho gaye.......................Mamta Bajpai

by mamta bajpai on June 16, 2011, 03:21:32 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1148 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
YuN aaj roshanee ke gunahgaar ho gaye
kaise kaheN andhere mere yaar ho gaye

dhadkan bhee ajnabee hai ye saaNseN bhee ajnabee
kis se kaheN ye haal sazaawaar ho gaye

bas tum se dil lagaane kee ghustaakhiyaaN hee keeN
haaye ye kyaa sitam keh khataawaar ho gaye

ud.tee phiree hawaa me khushee kee taraNg me
par kat gaye udaanoN se laachaar ho gaye

naadaaniyoN kee teree ajab daastaaN hai ye
humko mitaa ke humse wafaadaar ho gaye

Mamta Bajpai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MAI BE WAFA MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
SAR UTHANE KA HUNAR JAAN GAYE---------------MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri
BAATEN.....MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
berukhi..............................mamta bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri
Jaa b jaa Heer see .........Mamta Bajpai by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: June 16, 2011, 04:04:07 PM »
Reply with quote

Mamta Ji,

Wah...Waah...Wah..Waah kya baat hai
Bahut khoob..har she'r laajwaab hai..

Daad qubool karen. Dher saaree shubkaamnaayen.
 
Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: June 16, 2011, 04:48:45 PM »
Reply with quote
YuN aaj roshanee ke gunahgaar ho gaye
kaise kaheN andhere mere yaar ho gaye

dhadkan bhee ajnabee hai ye saaNseN bhee ajnabee
kis se kaheN ye haal sazaawaar ho gaye

bas tum se dil lagaane kee ghustaakhiyaaN hee keeN
haaye ye kyaa sitam keh khataawaar ho gaye

ud.tee phiree hawaa me khushee kee taraNg me
par kat gaye udaanoN se laachaar ho gaye

naadaaniyoN kee teree ajab daastaaN hai ye
humko mitaa ke humse wafaadaar ho gaye

Mamta Bajpai


Bahut Bahut Aur bahut Khoob mamtaji..

Aapki lekhni be-misaal Hai..Humesha Ki tarah lajawaab!!!

Aakhri Do sher Ke Liye Hazaaro Daad..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: June 16, 2011, 05:30:11 PM »
Reply with quote
khub
dekha hai jabse uska masoom sa chehra
khuda to chod uske talabgaar ho gaye

aayege shayed wo hamara haal chaal puchane
yehi soch acche khase hum bimaar ho gaye

dukha hai jase uska dil hamare karan
khud ki nazero mei hum gunahgaar ho gaye

dekha hai jabse dusmano ne hame unke saath
dusmani chod kar wo sab hamare yaar ho gaye


YuN aaj roshanee ke gunahgaar ho gaye
kaise kaheN andhere mere yaar ho gaye

dhadkan bhee ajnabee hai ye saaNseN bhee ajnabee
kis se kaheN ye haal sazaawaar ho gaye

bas tum se dil lagaane kee ghustaakhiyaaN hee keeN
haaye ye kyaa sitam keh khataawaar ho gaye

ud.tee phiree hawaa me khushee kee taraNg me
par kat gaye udaanoN se laachaar ho gaye

naadaaniyoN kee teree ajab daastaaN hai ye
humko mitaa ke humse wafaadaar ho gaye

Mamta Bajpai

Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: June 16, 2011, 07:58:28 PM »
Reply with quote
"Udanon se lachar hogaye"

"Humko mita kay humse wafadar hogaye"


Wah Wah Wah..
Kya baat hai Mamta jee..
Dil se daad iss shandaar kalam kay liye..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: June 16, 2011, 09:35:35 PM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Mamta ji.khoobsurat peshkash. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
manjum
Guest
«Reply #6 on: June 17, 2011, 03:42:18 AM »
Reply with quote
wah.... bahut bahut khub mamtaji... bahut khub....

 Applause Applause Applause
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #7 on: June 17, 2011, 04:08:33 AM »
Reply with quote
boht khoob mamta ji
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #8 on: June 17, 2011, 08:01:17 AM »
Reply with quote
YuN aaj roshanee ke gunahgaar ho gaye
kaise kaheN andhere mere yaar ho gaye


Matle Ke Saath Ghazal Ki Rawaangi Bahut Asardaar Lagi Hume ... Mamta Ji!

behad dilkash rahii peshkash ... dilee mubaaraqbaad aur daad qubuul kareN .. !
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #9 on: June 17, 2011, 10:49:19 AM »
Reply with quote
kya khoob kaha mamta diii... maza a agayaa...

jaaan nikaaal li....


hazaron he nazniii nigahoo me magar na jane tumse dil laga baithe
qurban tha tum par sab mera ek dil baki tha jo ganwa baithe....
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #10 on: June 19, 2011, 09:50:32 AM »
Reply with quote
mamta maa…
pranaam.
aapki ye peshkash bht bht aur bht shandaar hai…
kuch sheir tou behad se bhi jada lajawaab hain…
bahot khusi hoti hai aapke kalaamo ko parhkar…
ab aap mujhe aasirwad dijiye jaldi se…aapko bta du ki maine apni service join kar li hai Usual Smile

aap hamesha khus rahen
muskurati rahen
Usual SmileUsual Smile aise Usual SmileUsual Smile
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #11 on: June 19, 2011, 09:53:53 AM »
Reply with quote
YuN aaj roshanee ke gunahgaar ho gaye
kaise kaheN andhere mere yaar ho gaye

dhadkan bhee ajnabee hai ye saaNseN bhee ajnabee
kis se kaheN ye haal sazaawaar ho gaye

bas tum se dil lagaane kee ghustaakhiyaaN hee keeN
haaye ye kyaa sitam keh khataawaar ho gaye

ud.tee phiree hawaa me khushee kee taraNg me
par kat gaye udaanoN se laachaar ho gaye

naadaaniyoN kee teree ajab daastaaN hai ye
humko mitaa ke humse wafaadaar ho gaye

Mamta Bajpai



GUD ONE MB
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:27:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer