Zakhmon Ke Nishan Na gaye

by riyaz106 on March 31, 2010, 05:19:19 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3621 times)
riyaz106
Guest
Reply with quote
             GHAZAL
Wo jagah kaun si jahan na gaye
Hum tujhe dhoondne kahan na gaye
Kar ke laalach yun phans gaye panchhi
Phir kabhi soo-e-aasman na gaye
               (soo-e-aasman=aasman ki taraf)
Zakhm to bhar gaye mere lekin
Aaj tak zakhmon ke nishaan na gaye
Khwab mein bhi na paayenge manzil
Leke rehbar jo kaarwan na gaye

Riyaz Ashna

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: March 31, 2010, 06:10:15 PM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai Riyaz ji...!!! Bahut pyari ghazal hai...!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: March 31, 2010, 06:16:43 PM »
Reply with quote
Aapka bahut bahut shukriya Kapil ji. Pasand farmane ke liye aapka mashkoor hun.
Bahut khoob likha hai Riyaz ji...!!! Bahut pyari ghazal hai...!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #3 on: March 31, 2010, 07:23:28 PM »
Reply with quote
naaaaaaaaaaaaaaice composition riyaz sb Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
drpandey
Guest
«Reply #4 on: March 31, 2010, 08:05:16 PM »
Reply with quote
             GHAZAL
Wo jagah kaun si jahan na gaye
Hum tujhe dhoondne kahan na gaye
Kar ke laalach yun phans gaye panchhi
Phir kabhi soo-e-aasman na gaye
               (soo-e-aasman=aasman ki taraf)
Zakhm to bhar gaye mere lekin
Aaj tak zakhmon ke nishaan na gaye
Khwab mein bhi na paayenge manzil
Leke rehbar jo kaarwan na gaye

Riyaz Ashna

Bahut khoob!! Riyaz Sahab, Wah!! Wah!! behtareen ghazal, aaghaz se anjaam tak purkashish...khumar-e-ishq bhi aur jadeed kaifiyat bhi...

Tujhko ham dhoondne kahan-kahan na gaye,
Dashto-sahra to gaye kooye-qualba.n na gaye.
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #5 on: March 31, 2010, 08:32:15 PM »
Reply with quote
bhoot khoob janab ..kya khoob kaha
             GHAZAL
Zakhm to bhar gaye mere lekin
Aaj tak zakhmon ke nishaan na gaye
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: March 31, 2010, 08:55:23 PM »
Reply with quote
Wah Riyaz bhai bahut hi khoobsurat gazal pesh kiya aapne,Pandey ji aapne bhi bahut khoob likha,lovely work. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
neelgold
Guest
«Reply #7 on: March 31, 2010, 10:28:15 PM »
Reply with quote
Vry vll said bhut hi acha likha hai Good work !!!!!!!!!!!!!! Applause Applause Applause
             GHAZAL
Wo jagah kaun si jahan na gaye
Hum tujhe dhoondne kahan na gaye
Kar ke laalach yun phans gaye panchhi
Phir kabhi soo-e-aasman na gaye
               (soo-e-aasman=aasman ki taraf)
Zakhm to bhar gaye mere lekin
Aaj tak zakhmon ke nishaan na gaye
Khwab mein bhi na paayenge manzil
Leke rehbar jo kaarwan na gaye

Riyaz Ashna

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #8 on: April 01, 2010, 05:48:57 AM »
Reply with quote
Aapko dili shukriya Khamosh ji. Zarranawazi hai aapki ke meri ye koshish aapko pasand aai.
naaaaaaaaaaaaaaice composition riyaz sb Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: April 01, 2010, 09:35:45 AM »
Reply with quote
Mashallah Bohat Achche Riyaz Bhai,.

Bohat Dino Baad Kuch Achcha Pardhne Ko Milaa,.

Nice Work


Ab Ke Kuch Yun In Zakhmon Se Dosti Ki Hai Maine,.
Ke Zakhm Na Bhi Mile, To Puraane Zakhmo Ko Hare Rakhte Hain,.

Roshni Ki Chahat Mein Jab Ghar Jalaa Liya Apna,.
Us Din Se Hum  Apni Nigaahon Mein Andhere Rakhte Hain,.

-Azeem-
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #10 on: April 01, 2010, 10:17:29 AM »
Reply with quote
Pandey ji aapka behad shukriya ke aapko meri ye koshish pasand aai. Aapne jo hausla afzaai ki uska bhi shukriya.
Bahut khoob!! Riyaz Sahab, Wah!! Wah!! behtareen ghazal, aaghaz se anjaam tak purkashish...khumar-e-ishq bhi aur jadeed kaifiyat bhi...

Tujhko ham dhoondne kahan-kahan na gaye,
Dashto-sahra to gaye kooye-qualba.n na gaye.

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #11 on: April 01, 2010, 11:09:16 AM »
Reply with quote
Ghouri Sb. aapne meri ghazal ko pasand farmaya, aapka bahut bahut shukriya.
bhoot khoob janab ..kya khoob kaha
             GHAZAL
Zakhm to bhar gaye mere lekin
Aaj tak zakhmon ke nishaan na gaye

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #12 on: April 01, 2010, 03:01:53 PM »
Reply with quote
Madhu didi aapka bahut bahut dil se shukria.
Wah Riyaz bhai bahut hi khoobsurat gazal pesh kiya aapne,Pandey ji aapne bhi bahut khoob likha,lovely work. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: April 01, 2010, 06:59:01 PM »
Reply with quote
Tahe dil se bahut bahut shukriya Neel ji ke aapko meri ye koshish achhi lagi.
Vry vll said bhut hi acha likha hai Good work !!!!!!!!!!!!!! Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #14 on: April 02, 2010, 06:41:13 AM »
Reply with quote
Aapka behad shukriya Azeem bhai. Aapne meri ye ghazal pasand ki aapki zarranawazi hai.
Mashallah Bohat Achche Riyaz Bhai,.
Bohat Dino Baad Kuch Achcha Pardhne Ko Milaa,.
Nice Work

Ab Ke Kuch Yun In Zakhmon Se Dosti Ki Hai Maine,.
Ke Zakhm Na Bhi Mile, To Puraane Zakhmo Ko Hare Rakhte Hain,.

Roshni Ki Chahat Mein Jab Ghar Jalaa Liya Apna,.
Us Din Se Hum  Apni Nigaahon Mein Andhere Rakhte Hain,.

-Azeem-
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:13:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer