ZAR HAMARA , ZAMEE.N HAMARI HAI

by F.H.SIDDIQUI on June 11, 2011, 03:38:25 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1107 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Zar hamara , Zamee.n hamaree hai,
Phir bhi unn ki ijaara-daari hai

Daur-e-Jamhooriyat, tere Qurbaa.n ,
Kal jo Haakim thha, ab Bhikaari hai

Ab Gulo.n  ka koi  Muqaam  nahe.n ,
Sirf  Kaanto.n  ki  Aabyaari  hai

Aaj  bhi  Aaftab-e-Mashriq  per ,
Dekho, Maghrib ka khauff Taari hai

Jaisa Chaahe hamei.n tamaasha dikha,
Tuu hi Bandar , tu hi Madaari hai

Kuchh na bolo , bane raho sab ke ,
Buss issi mei.n to Hoshyaari hai

Yeh bhi roothhe hai.n, Wo bhi Ukhde hue,
Dekhei.n ab kaun kiss pe bhaari hai

Kum nahee.n koi bhi kisi se 'Hasan' ,
Ye Bichaara , na  wo  Bichaari hai





 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyar ki zamee pe aaj ashk saja liye by friendsforever in Shayeri for Dard -e- Bewafai
zamee par gira diya by aftab alam in Shayri for Dard -e- Judai
aasmaa se zamee pe !!! by sarfira in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Zamee'n se aasmaa'n hona by AnjAAn!!! in Ghazals « 1 2  All »
ta-le pairon ke zamee rahne do,,,,,,sunil by sunildehgawani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: June 11, 2011, 04:26:49 AM »
Reply with quote
her sher is gazel ka bhari hai
aur gazel sach mei bahut pyari hai
Zar hamara , Zamee.n hamaree hai,
Phir bhi unn ki ijaara-daari hai

Daur-e-Jamhooriyat, tere Qurbaa.n ,
Kal jo Haakim thha, ab Bhikaari hai

Ab Gulo.n  ka koi  Muqaam  nahe.n ,
Sirf  Kaanto.n  ki  Aabyaari  hai

Aaj  bhi  Aaftab-e-Mashriq  per ,
Dekho, Maghrib ka khauff Taari hai

Jaisa Chaahe hamei.n tamaasha dikha,
Tuu hi Bandar , tu hi Madaari hai

Kuchh na bolo , bane raho sab ke ,
Buss issi mei.n to Hoshyaari hai

Yeh bhi roothhe hai.n, Wo bhi Ukhde hue,
Dekhei.n ab kaun kiss pe bhaari hai

Kum nahee.n koi bhi kisi se 'Hasan' ,
Ye Bichaara , na  wo  Bichaari hai





 
Zar hamara , Zamee.n hamaree hai,
Phir bhi unn ki ijaara-daari hai

Daur-e-Jamhooriyat, tere Qurbaa.n ,
Kal jo Haakim thha, ab Bhikaari hai

Ab Gulo.n  ka koi  Muqaam  nahe.n ,
Sirf  Kaanto.n  ki  Aabyaari  hai

Aaj  bhi  Aaftab-e-Mashriq  per ,
Dekho, Maghrib ka khauff Taari hai

Jaisa Chaahe hamei.n tamaasha dikha,
Tuu hi Bandar , tu hi Madaari hai

Kuchh na bolo , bane raho sab ke ,
Buss issi mei.n to Hoshyaari hai

Yeh bhi roothhe hai.n, Wo bhi Ukhde hue,
Dekhei.n ab kaun kiss pe bhaari hai

Kum nahee.n koi bhi kisi se 'Hasan' ,
Ye Bichaara , na  wo  Bichaari hai





 
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: June 11, 2011, 05:40:02 AM »
Reply with quote
Zar hamara , Zamee.n hamaree hai,
Phir bhi unn ki ijaara-daari hai

Daur-e-Jamhooriyat, tere Qurbaa.n ,
Kal jo Haakim thha, ab Bhikaari hai

Ab Gulo.n  ka koi  Muqaam  nahe.n ,
Sirf  Kaanto.n  ki  Aabyaari  hai

Aaj  bhi  Aaftab-e-Mashriq  per ,
Dekho, Maghrib ka khauff Taari hai

Jaisa Chaahe hamei.n tamaasha dikha,
Tuu hi Bandar , tu hi Madaari hai

Kuchh na bolo , bane raho sab ke ,
Buss issi mei.n to Hoshyaari hai

Yeh bhi roothhe hai.n, Wo bhi Ukhde hue,
Dekhei.n ab kaun kiss pe bhaari hai

Kum nahee.n koi bhi kisi se 'Hasan' ,
Ye Bichaara , na  wo  Bichaari hai





 


bahut hi practical zindagi ko dikhaya hai aapne
Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: June 11, 2011, 08:49:38 AM »
Reply with quote
Manoj ji,
Aise manzoom tabsire ke liye,
khaksaar aap ka abhaari hai
                    -'Hasan'
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: June 11, 2011, 08:56:12 AM »
Reply with quote
Adil saheb,Maujooda Aalami aur qaumi pasmanzar mei.n kuchh talkh haqeeqato.n ko ashaar mei.n bayaan karne ki koshish kee hai.Aap ne saraaha, isske liye shukraguzaar hoo.n. Hasan
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #5 on: June 11, 2011, 12:16:02 PM »
Reply with quote
Zar hamara , Zamee.n hamaree hai,
Phir bhi unn ki ijaara-daari hai

Daur-e-Jamhooriyat, tere Qurbaa.n ,
Kal jo Haakim thha, ab Bhikaari hai

Ab Gulo.n  ka koi  Muqaam  nahe.n ,
Sirf  Kaanto.n  ki  Aabyaari  hai

Aaj  bhi  Aaftab-e-Mashriq  per ,
Dekho, Maghrib ka khauff Taari hai

Jaisa Chaahe hamei.n tamaasha dikha,
Tuu hi Bandar , tu hi Madaari hai

Kuchh na bolo , bane raho sab ke ,
Buss issi mei.n to Hoshyaari hai

Yeh bhi roothhe hai.n, Wo bhi Ukhde hue,
Dekhei.n ab kaun kiss pe bhaari hai

Kum nahee.n koi bhi kisi se 'Hasan' ,
Ye Bichaara , na  wo  Bichaari hai


Aaj Ke haalaat Ka manzar bayaan karte hue .. bahut khoobsurat ashaar likhe hai ... fikR o khayaal ke saath saaf bayaani aur adaayegi bhi behad asardaar rahi .. Hasan Sahab !

dil se mubaaraqbaad qubuul kareN ... aise hi behtreen kalaam se hume ru-ba-ru karaate rahe aage bhi ... khush rahen

duaaon ke saath ... !
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: June 11, 2011, 06:05:33 PM »
Reply with quote
Anshumali ji,Bahut mamnoon hoo.n ki aap ne itne khoobsurat alfaaz mei.n himmat afzai kee.Apni mohabbat yuu.nhi qayem rakhhei.n ye iltija hai. Hasan
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #7 on: June 11, 2011, 08:06:36 PM »
Reply with quote
welcome
Jo lagaa meine wahi likha
Manoj ji,
Aise manzoom tabsire ke liye,
khaksaar aap ka abhaari hai
                    -'Hasan'
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: June 12, 2011, 04:27:31 AM »
Reply with quote
Shihab ji,Aap ki pur khuloos daad ke liye bahut shukriya.Khush rahiye.  Hasan
Logged
khujli
Guest
«Reply #9 on: June 29, 2011, 08:36:57 AM »
Reply with quote
Zar hamara , Zamee.n hamaree hai,
Phir bhi unn ki ijaara-daari hai

Daur-e-Jamhooriyat, tere Qurbaa.n ,
Kal jo Haakim thha, ab Bhikaari hai

Ab Gulo.n  ka koi  Muqaam  nahe.n ,
Sirf  Kaanto.n  ki  Aabyaari  hai

Aaj  bhi  Aaftab-e-Mashriq  per ,
Dekho, Maghrib ka khauff Taari hai

Jaisa Chaahe hamei.n tamaasha dikha,
Tuu hi Bandar , tu hi Madaari hai

Kuchh na bolo , bane raho sab ke ,
Buss issi mei.n to Hoshyaari hai

Yeh bhi roothhe hai.n, Wo bhi Ukhde hue,
Dekhei.n ab kaun kiss pe bhaari hai

Kum nahee.n koi bhi kisi se 'Hasan' ,
Ye Bichaara , na  wo  Bichaari hai





 


 Applause Applause Applause Applause icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: June 29, 2011, 12:50:22 PM »
Reply with quote
 
K ji,

Thankyou !

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:37:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer