Zaroori Tha

by Shaanu on June 11, 2014, 08:25:00 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3122 times)
Shaanu
New Member


Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 hours and 49 minutes.
Posts: 29
Member Since: May 2014


View Profile
Reply with quote
Lafz kitne hi tere pairo se lipte honge,
Tune jab aakhiri khat mera jalaya hoga,
Tune jab phool kitaabo se nikale honge,
Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga,
.
Teri aankho ke dariya ka utarna bhi zaroori tha,
Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha,
Zaroori tha ke hum dono tawafe arzoo karte,
Magar phir arzoo-o ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
.
Batao yaad hai tumko woh jab dil ko churaya tha,
Churayi cheez ko tumne khuda ka ghar banaya tha,
Woh jab kehte the mera naam tum tasbeeh me padhte ho,
Mohabbat ki namazo ko qaza karne se darte ho,
Magar ab yaad aata hai woh baate thi mehez baate,
Kahi baato hi baato me mukarna bhi zaroori tha,
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha,
.
Wahi hai soorate apni, wahi main hoon wahin tum ho,
Magar khoya huya hoon main, magar tum bhi kahi gum ho,
Mohabbat me daga ki thi jo kaafir the so kaafir hai,
Mili hai manzile phir bhi musaafir the, musaafir hai,
Tere dil ke nikaale hum kahaa bhatke, kahaa pahunche,
Magar bhatke toh yaad aaya bhatakna bhi zaroori tha,
Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
.
Zaroori tha ke hum dono tawafe arzoo karte,
Magar phir arzoo-o ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankho ke dariya ka utarna bhi zaroori tha.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zaroori to naheen by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ye zaroori to nahi... by sanya310 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
YEH ZAROORI TO NAHI.......... by ISHU in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Zaroori Hay... by faisal314 in Ghazals
Zaroori Hai by Prateek Mardia in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: June 11, 2014, 10:16:15 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
wah waah shaanu ji
welcome to yoindia...
wav
wav
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #2 on: June 11, 2014, 10:42:45 PM »
Reply with quote
nice sharing and nice song welcome to yoindia
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: June 11, 2014, 10:50:25 PM »
Reply with quote
waah
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #4 on: June 12, 2014, 01:28:38 AM »
Reply with quote
Lafz kitne hi tere pairo se lipte honge,
Tune jab aakhiri khat mera jalaya hoga,
Tune jab phool kitaabo se nikale honge,
Dene waala bhi tujhe yaad toh aaya hoga,
.
Teri aankho ke dariya ka utarna bhi zaroori tha,
Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha,
Zaroori tha ke hum dono tawafe arzoo karte,
Magar phir arzoo-o ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
.
Batao yaad hai tumko woh jab dil ko churaya tha,
Churayi cheez ko tumne khuda ka ghar banaya tha,
Woh jab kehte the mera naam tum tasbeeh me padhte ho,
Mohabbat ki namazo ko qaza karne se darte ho,
Magar ab yaad aata hai woh baate thi mehez baate,
Kahi baato hi baato me mukarna bhi zaroori tha,
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha,
.
Wahi hai soorate apni, wahi main hoon wahin tum ho,
Magar khoya huya hoon main, magar tum bhi kahi gum ho,
Mohabbat me daga ki thi jo kaafir the so kaafir hai,
Mili hai manzile phir bhi musaafir the, musaafir hai,
Tere dil ke nikaale hum kahaa bhatke, kahaa pahunche,
Magar bhatke toh yaad aaya bhatakna bhi zaroori tha,
Mohabbat bhi zaroori thi, bichadna bhi zaroori tha
Teri aankhon ke dariya ka utarna bhi zaroori tha
.
Zaroori tha ke hum dono tawafe arzoo karte,
Magar phir arzoo-o ka bikharna bhi zaroori tha
Teri aankho ke dariya ka utarna bhi zaroori tha.

wonderful,sir
Logged
sanchit
Guest
«Reply #5 on: June 12, 2014, 06:43:08 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bahut khoobsurat...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:04:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.085 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer