ZID -Asma Zehra

by asma zehra on December 06, 2008, 05:33:17 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2412 times)
asma zehra
Guest
Reply with quote

Zid patthar ki zid maujon ki
kis zid ka hai maan bada
patthar choor hota nahin
maujein thak thamti nahin

Roz seena chauda kar
patthar khada ho jaata hai
roz lahron ko bikharta dekh
sagar ka dil dahalta hai

Jaane kitne jangon mein
shaheed ho yeh ret bani
jaane kitne ashkon se
namkeen hua hai yeh pani

Dono ka kissa ajab
ek roz shor machaata hai
ek khamosh reh kar sadiyon se
chunauti deta jaata hai.


Asma Zehra
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
JO CHAHO KEH LO - Asma Zehra by asma zehra in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Asma-UL-Husna,. Allah's 99 Name,. by Azeem Azaad in Shayari-e-Parastish
Baad-e-fanaa - asma zehra by asma zehra in Miscellaneous Shayri
asma me ek tara hai.......... by pawan16 in Share:Love Poetry
Asma se ishq beimani ho jati hai.. by nashwani in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
jasbirsingh
Guest
«Reply #1 on: December 06, 2008, 08:03:41 AM »
Reply with quote
bahut hi pyara likha hai azma. bahut hi sunder.


Jasbir Singh
hira_company@yahoo.com
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: December 06, 2008, 08:04:55 AM »
Reply with quote
Very nice Zehra Ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 07, 2008, 01:05:44 PM »
Reply with quote

Zid patthar ki zid maujon ki
kis zid ka hai maan bada
patthar choor hota nahin
maujein thak thamti nahin

Roz seena chauda kar
patthar khada ho jaata hai
roz lahron ko bikharta dekh
sagar ka dil dahalta hai

Jaane kitne jangon mein
shaheed ho yeh ret bani
jaane kitne ashkon se
namkeen hua hai yeh pani

Dono ka kissa ajab
ek roz shor machaata hai
ek khamosh reh kar sadiyon se
chunauti deta jaata hai.


Asma Zehra

Bohat Badhiya,.
Asma Ji,.

Logged
taheer_khaja
Guest
«Reply #4 on: December 07, 2008, 05:57:02 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #5 on: December 07, 2008, 06:49:26 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Aasma ji Applause Applause Applause
Bahoot Khoob Applause Applause Applause
Logged
asma zehra
Guest
«Reply #6 on: December 12, 2008, 04:02:16 PM »
Reply with quote
Thank you pankshivam ji, taheer khajaji, Jaanasheenji, Rajesh Harishji and jasbirsinghji.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #7 on: December 12, 2008, 04:19:02 PM »
Reply with quote
Thank you pankshivam ji, taheer khajaji, Jaanasheenji, Rajesh Harishji and jasbirsinghji.

welcome ASMA

HAMARA BHI KUCH KEHNA HAI
ZID KI RAAH MEH NA HAMEY REHNA HAI
ZID SEY KABHI NA KUCH HASIL HUA
ZID MEH JOH ADA WOHI KHUSHIYOH KA KATIL HUA


------------------JASBIR SINGH-------------



PATHAR ZID PAR ADA REHTA HAI
BEECH SAMANDAR BHI TANA REHTA HAI
SHAAN NA KABHI KAM HOTI ISKI
HAR KISI KI RAAH MEH KHADA REHTA HAI


AISA APNA HAAL NA KARNA BANDEY
PATHAR SA BILKUL NA BANNNA BANDEY
JAB GHOR MUSIBAT PADTI HAI
BEECH PATHER KEY CHOT BAJTI HAI


TAB NA YEH ADA REHTA HAI
CHIKNA CHOOR HO, MITTI MEH SADA REHTA HAI
SHAAN TAB ISKI KAHA GOOM HO JATI HAI
JOH ZID PAR RAHA WOHI SADAK PEH PADA REHTA HAI


MAUJOH KI ZID BHI KUCH ISI TARAH
EK PAL JAMEEN AUR EK PAL AASMAAH


DONO SEY TUM BACH KEY REHNA MERE DOST
DONO HI BAHUT TANG KARTEY HAI


ZID NA PATHAR KI, NA MAUJOH KI ACCHI
DIL MEH RAKHO PYAR, YEH HI SABSEY SACCHI






JASBIR SINGH
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: December 12, 2008, 04:40:27 PM »
Reply with quote
Nice Jas Ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #9 on: December 12, 2008, 06:02:38 PM »
Reply with quote
Nice Jas Ji

Thanks Rajesh

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 13, 2008, 11:56:35 AM »
Reply with quote
Aurat,.

Iske Jaise Naek Aur Badd Koi Nahi,.
Iski Mohabbat Aur Nafrat Ki Hadd Nahi,.

_______________-Daag Dahelvi-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: December 13, 2008, 12:01:28 PM »
Reply with quote
good one asma, lil bro wah kaya lines likhi hai.. sahi kaha apne,,
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: December 14, 2008, 03:22:27 PM »
Reply with quote
Shukriya Didi jaan,./
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #13 on: April 14, 2009, 06:29:39 AM »
Reply with quote

Zid patthar ki zid maujon ki
kis zid ka hai maan bada
patthar choor hota nahin
maujein thak thamti nahin

Roz seena chauda kar
patthar khada ho jaata hai
roz lahron ko bikharta dekh
sagar ka dil dahalta hai

Jaane kitne jangon mein
shaheed ho yeh ret bani
jaane kitne ashkon se
namkeen hua hai yeh pani

Dono ka kissa ajab
ek roz shor machaata hai
ek khamosh reh kar sadiyon se
chunauti deta jaata hai.


Asma Zehra

Allah Allah..Zehra aapki Zid..K aage Kisi b Shayar k Comment ki  Zid..kaafi Hadd Taqq Zid Rahegi..
Wallah Kya Likhte Ho zehra..Koi lafz Nahi Milta aapki Taarif Karne Ko..
Nazmein Taraanein Gazalein..Harr Harr Lafz Sahih Man'o Mein Sahih Jagaah..Itna acha Likh lete Ho aap.
Aur Misaalein Dena To koi aapse Sikhe..waah patthar aur Maujon !!!
   
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #14 on: April 15, 2009, 08:40:54 AM »
Reply with quote


 khamosh rah kar jo baat asar dalti hai

 aawaaz deney per bhi nahin padtaa koi fraq

            VERY NICE A........2................Z
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:54:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer