Zindagi Bin Humdard, Humsafar Ke Kuch Kuch Bhi Nahee "Khwahish"

by khwaish on December 11, 2013, 07:47:59 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1402 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Iss Visheh Ko Hum Kayi Baar Roz-Aana Zindagi Mein Nazar-Andaaz bhi Kar Dete Hai Par
Yeh Visheh Aaj ke Daur Mein Aur Bhi Zyaada Dekhne Aur Padhne Ko Milta Hai
Jisse Hum "Domestic Violence & Abuse" Kehte Hai..Kal Hi Ki Baat Hai
Ek Aisa Vaakhya Padha Maine Jisse Padhkar Main bahut Der
Tak Soch Ke Samundar Mein Jaise Dooba Raha..Chaahta To Woh
Vaakhya Yahaan Likh Sakta Tha Par Nahi Mera Udesh Uss Vaakhya Ko Sirf
Padhaana Nahi balki Aise VaakykoN ko Har Ek Ki Zindagi
Se Nikaalna Hai..Sirf Itna Kehna Chahunga Ke Kisi Se Bhi Zulm Sehna
Bhi Utnaa Hi Galat Hai Jitna Ke Zulm Karna..Aur Kaash Har Insaan Ek
Aurat Ke Wajood Ko Samaj Sake.......Usse Woh Izzat De Sake Jis Ki Woh
Sahee Haqdaar Hai....Shukriya



Yeh Naa Soch Ke Tu Kisi Par Koi Ehsaan Kar Gaya
Iss Khoobsurat Rishte Ki Tu Yeh Pehchaan Kar Gaya

Uss Ke Aankh Se Tapka Ek Ek Qatra Kuch Kehta Hai..!!
Ek Dil Tha Uss Ke Paas Jiise Tu ne Be-Jaan Kar Gaya

Duniya Kisi Ke Pyaar Mein Jannat Se Kuch Kam Nahi
Pyaar,Mohabbat Ko Tu,Mehaz Jaise Koi Samaan Kar Gaya

Dard Jab Teri Hi Ataa Hai To Woh Gila Bhi Kisse KareN
Ek Haste-Khelte Pariwaar Ko Tu Khud Viraan Kar Gaya

Aurat Ke Wajood Ko Kabhi Samajh Kar To Dekh Ehh Nadaan
Teri Khaatir Jo Apna Sab kuch Pal Bhar MeN Qurbaan Kar Gaya

Kehne Ko To Maraasim, Hote Hai Sab Bahut Gehre..!!!!
Ek Ghar Ko Aaj Phir Jaise Chaar Deewari Makaaan Kar Gaya

Kya Yeh Hoti Hai Insaaniyat,Kya Yeh Hi Hai Mardaangi
Waah Re Insaan,Insaan Phir Aaj Khud Ko Haiwaan Kar Gaya

"Khwahish" Zindagi Bin Humdard,Humsafar Ke Kuch Bhi Nahee
Jo Yeh Naa Samjhe, Woh Apni Zindagi Ka Hi Nuksaan Kar Gaya


            ~~~~~Khwahish~~~~~
Logged
laaiba
Guest
«Reply #1 on: December 11, 2013, 08:19:18 PM »
Reply with quote
aik aisee post jis men tarteeb b hai our bikhre khyalat bhi unko yukja karne ki koshish khoob rahee lekin likhne wale ke jazbat itne purkhaloos hain ke ya topic itna vast hai ke dariya koh kooze main band karne ki koshish ki gayee, our kaamyab b rahe hain khwahish ji,...............
 bohat c daad,................
khaloos e dil se jazbat ki pehchaan kar gayaa
woh shakhs aa.j mujhkoh toh hairaa.n kar gayaa
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: December 11, 2013, 08:40:05 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Umda kalaam umda soch aur behtareen adaayegi poori ghazal ki...har sher dil ko chhoo gaya... hazaron daaaaaad qubool kare... khaas yeh ashaar behad khoob rahe..

Duniya Kisi Ke Pyaar Mein Jannat Se Kuch Kam Nahi
Pyaar,Mohabbat Ko Tu,Mehaz Jaise Koi Samaan Kar Gaya

Aurat Ke Wajood Ko Kabhi Samajh Kar To Dekh Ehh Nadaan
Teri Khaatir Jo Apna Sab kuch Pal Bhar MeN Qurbaan Kar Gaya

yeh ashaar bahut pasand aaye.. Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 11, 2013, 08:55:37 PM »
Reply with quote
aik aisee post jis men tarteeb b hai our bikhre khyalat bhi unko yukja karne ki koshish khoob rahee lekin likhne wale ke jazbat itne purkhaloos hain ke ya topic itna vast hai ke dariya koh kooze main band karne ki koshish ki gayee, our kaamyab b rahe hain khwahish ji,...............
 bohat c daad,................
khaloos e dil se jazbat ki pehchaan kar gayaa
woh shakhs aa.j mujhkoh toh hairaa.n kar gayaa


Ji Laaiba Ji..Bilkul Sach Pehchaana Aapne..Yeh Topic Hi itna Vast hai Ke Chaaho To Aur bhi kayi jazbaat Utaare Jaa Sakte The LafzoN Mein..Aapne Apna Waqt Diya...Iss Kadar Saraaha..Aapka Bahut bahut Shukriya Laaiba Ji....Yuhi Humesha Apna Saath Dijiyega icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #4 on: December 11, 2013, 08:57:02 PM »
Reply with quote
Wahhhhhhhhhhhh!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! Thumbs UP Thumbs UP
Bahot hi achhaa Kalam Hai..
icon_salut icon_salut
Logged
suman59
Guest
«Reply #5 on: December 11, 2013, 08:58:06 PM »
Reply with quote
Quote
Kya Yeh Hoti Hai Insaaniyat,Kya Yeh Hi Hai Mardaangi
Waah Re Insaan,Insaan Phir Aaj Khud Ko Haiwaan Kar Gaya

bahut tanz hai is kavita mein. bahut khoob Clapping Smiley Clapping Smiley

rau de nahi sakti.... wait karna padega aap.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: December 11, 2013, 10:07:08 PM »
Reply with quote
behad dil ko chhoo lene waalee peshkash dil se daad qubool karen
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #7 on: December 11, 2013, 10:58:15 PM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah bahut khoob, waaqai meN aise logoN ke liye sakht qaanoon aur sakht kaarwaai ki zaroorat hai desh meN.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: December 11, 2013, 11:16:05 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Umda kalaam umda soch aur behtareen adaayegi poori ghazal ki...har sher dil ko chhoo gaya... hazaron daaaaaad qubool kare... khaas yeh ashaar behad khoob rahe..

Duniya Kisi Ke Pyaar Mein Jannat Se Kuch Kam Nahi
Pyaar,Mohabbat Ko Tu,Mehaz Jaise Koi Samaan Kar Gaya

Aurat Ke Wajood Ko Kabhi Samajh Kar To Dekh Ehh Nadaan
Teri Khaatir Jo Apna Sab kuch Pal Bhar MeN Qurbaan Kar Gaya

yeh ashaar bahut pasand aaye.. Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP


Thankyou Sooooooooooooooooooooo Much Aqsh Ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #9 on: December 12, 2013, 12:21:27 AM »
Reply with quote
Aurat Ke Wajood Ko Kabhi Samajh Kar To Dekh Ehh Nadaan
Teri Khaatir Jo Apna Sab kuch Pal Bhar MeN Qurbaan Kar Gaya

Kehne Ko To Maraasim, Hote Hai Sab Bahut Gehre..!!!!
Ek Ghar Ko Aaj Phir Jaise Chaar Deewari Makaaan Kar Gaya

Kya Yeh Hoti Hai Insaaniyat,Kya Yeh Hi Hai Mardaangi
Waah Re Insaan,Insaan Phir Aaj Khud Ko Haiwaan Kar Gaya

"Khwahish" Zindagi Bin Humdard,Humsafar Ke Kuch Bhi Nahee
Jo Yeh Naa Samjhe, Woh Apni Zindagi Ka Hi Nuksaan Kar Gaya

 Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause
as usual khwahish ji bahut 2 khooooooooooooooooob
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 12, 2013, 12:42:15 AM »
Reply with quote
Wahhhhhhhhhhhh!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! Thumbs UP Thumbs UP
Bahot hi achhaa Kalam Hai..
icon_salut icon_salut


Bahut Bahut Shukriya Saman Ji icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #11 on: December 12, 2013, 01:47:45 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause bhut khub
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: December 12, 2013, 03:03:59 PM »
Reply with quote
Khwahish ji , Bahut achha lagta hai jab aap kisi social issue ya kisi khaas  maqsad ko le kar likhte hain . Bahut baa-maqsad , khubsurat kalaam hai aur aaj ke eik aham mas'le par likha hai . Bahut bahut mubarakbad aur daad . Likhte rahye , shayeri ka yeh shoba shayed aap hi ki khusoosyat hai .
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: December 12, 2013, 03:42:22 PM »
Reply with quote
bahut tanz hai is kavita mein. bahut khoob Clapping Smiley Clapping Smiley

rau de nahi sakti.... wait karna padega aap.


Aapne Apna Waqt Diya Aapka Bahut bahut Shukriya Suman ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #14 on: December 12, 2013, 06:08:45 PM »
Reply with quote
वाह....बहुत खूब.....

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:04:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer