रमजान के महीने मे छत पर ना आया करो.!! @Advo.RavinderRavi'Sagar'

by Advo.RavinderaRavi on July 14, 2013, 08:11:50 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2179 times)
Advo.RavinderaRavi
Guest
Reply with quote
रमजान के महीने मे छत पर ना आया करो.!
कोई रोज़ेदार रोज़ा छोड़ देगा महताब जानकार.!!

वक़्त-बेवक़्त अपने घर से बाहर ना निकला करो.!
कोई जान लूटा देगा तुझे अपनी जान जानकार.!!

छलकते जाम के पैमाने आँखो के काबू मे रखो.!
कोई प्यास भुझा लेगा तुझे मैखाना जानकार.!!

यूँ छिप-छिप कर झरोखो से जो देखा करोगे.!
कोई खुदा से माँग लेगा तुझे वरदान जानकार.!!

यूँ होंठो पर ना बिखेरो तबस्सुम की कहकशां.!
कोई अपना मान लेगा तुझे तेरी हाँ जानकार.!!

Ramjaan ke mahine me chat par na aaya karo.!
Koyi Rozedaar Roza chod dega Mehtaab jankar.!!

Waqt-Bewaqt apne ghar se bahar na nikla karo.!
Koyi jaan luta dega tujhe apni jaan jankar.!!

Chalkte jaam ke paimane aankho ke kabu me rakho.!
Koyi Pyaas bhujha lega tujhe maikhaana jankar.!!

Yun chip-chip kar jharokho se jo dekha karoge.!
Koyi Khuda se maang lega tujhe Vardaan jankar.!!

Yun Hontho par na bikhero tabassum ki kehkashan.!
Koyi apna maan lega tujhe teri Haan jankar.!!
Logged
nashwani
Guest
«Reply #1 on: July 14, 2013, 10:41:52 PM »
Reply with quote
waah waah waah kya baat hai ravi jee..behad umda..happy9
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #2 on: July 14, 2013, 10:44:54 PM »
Reply with quote

रमजान के महीने मे छत पर ना आया करो.!
कोई रोज़ेदार रोज़ा खोल देगा महताब जानकार.!!

वक़्त-बेवक़्त अपने घर से बाहर ना निकला करो.!
कोई जान लूटा देगा तुझे अपनी जान जानकार.!!

छलकते जाम के पैमाने आँखो के काबू मे रखो.!
कोई प्यास भुझा लेगा तुझे मैखाना जानकार.!!

यूँ छिप-छिप कर झरोखो से जो देखा करोगे.!
कोई खुदा से माँग लेगा तुझे वरदान जानकार.!!

यूँ होंठो पर ना बिखेरो तबस्सुम की कहकशां.!
कोई अपना मान लेगा तुझे तेरी हाँ जानकार.!!

Ramjaan ke mahine me chat par na aaya karo.!
Koyi Rozedaar Roza khol dega Mehtaab jankar.!!

Waqt-Bewaqt apne ghar se bahar na nikla karo.!
Koyi jaan luta dega tujhe apni jaan jankar.!!

Chalkte jaam ke paimane aankho ke kabu me rakho.!
Koyi Pyaas bhujha lega tujhe maikhaana jankar.!!

Yun chip-chip kar jharokho se jo dekha karoge.!
Koyi Khuda se maang lega tujhe Vardaan jankar.!!

Yun Hontho par na bikhero tabassum ki kehkashan.!
Koyi apna maan lega tujhe teri Haan jankar.!!

ravi bhai musalmaano.n ke jazbaat ka aur mazhab ka kuch to qadr karo ab roza ramzaan namaaz ko to apne ishq mohaabt mein na shamil karo.

aur roza chaand dekh kar nahin kholte hain bhaijaan. ye karwachauth ka upwaas nahi hai ki chaand ka pratibimb dekh kar khola jata hai.

roza  roz shaam ki azaan ke saath khola jata hai.

haan ramzaan.idd.bakrid aur baaqi saare mahine chaand dekh kar hi shuru hote hain.

meri guzarish hai.bina ilm ke likhna jehaalat ka sabab banta hai

thanx

Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #3 on: July 14, 2013, 11:24:59 PM »

Please Neta na Bano jo har baat ko galt banaa dete hain,Mujhe bhi ptaa hai Roza kab kholte hain Aur Jis Tarha Se Aapne Apna Dusra Gyaan Diya Hai Wo Bhi Galt Hai,Hum Yahan Bahas Krne Nahin Hain So Please Shayari ko SAMZHIYE Aur Netagiri na Kariye Please,Please....
Logged
Sapna Pandit
Guest
«Reply #4 on: July 14, 2013, 11:50:16 PM »
Reply with quote
Please Neta na Bano jo har baat ko galt banaa dete hain,Mujhe bhi ptaa hai Roza kab kholte hain Aur Jis Tarha Se Aapne Apna Dusra Gyaan Diya Hai Wo Bhi Galt Hai,Hum Yahan Bahas Krne Nahin Hain So Please Shayari ko SAMZHIYE Aur Netagiri na Kariye Please,Please....
ravinderji apne bilkul sahi answer diya hai,kuch logo ko har side pe politics karne ki habit hoti hai.shayar ka heart to sab ko pyaar karta hai,politics nahi
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013

View Profile WWW
«Reply #5 on: July 15, 2013, 12:03:35 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Shuruti
Guest
«Reply #6 on: July 15, 2013, 12:38:58 AM »
Reply with quote
Please Neta na Bano jo har baat ko galt banaa dete hain,Mujhe bhi ptaa hai Roza kab kholte hain Aur Jis Tarha Se Aapne Apna Dusra Gyaan Diya Hai Wo Bhi Galt Hai,Hum Yahan Bahas Krne Nahin Hain So Please Shayari ko SAMZHIYE Aur Netagiri na Kariye Please,Please....
good reply ravinderaji
& nice poerty too
Logged
atul dutt
Guest
«Reply #7 on: July 15, 2013, 01:22:30 AM »
Reply with quote
 wave love9
Logged
Sapna Pandit
Guest
«Reply #8 on: July 15, 2013, 01:41:35 AM »
Reply with quote
kon hai ye khamosh awaaz?kya janta hai karwachauth ke bare me?kitni gandi soch hai iski?
Logged
AreK Rurkavi
Guest
«Reply #9 on: July 15, 2013, 02:33:51 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause gorgeous sir
Logged
albelamai
Guest
«Reply #10 on: July 15, 2013, 03:07:45 PM »
Reply with quote
Awesome Ravindra Sir

Keep writing..
I liked the replies from you, Sapna and shuruti.

there are many who want to dictate on the terms of relegion.
not tolerable.
Forget the negative comments. Let's not discuss religion but truth is. the site is dominated by a special section including moderators.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #11 on: July 15, 2013, 03:53:38 PM »
Reply with quote
shuru ki do lines yaani dono misre yaani pehla sher yoindia par ab tak padhe gaye meri sabse pasandeeda sheron me hain.
agar aapne ise khud likha hai to bahut bahut badhai baaki main yehi request karunga aur shayron se ki pls shayari me mazhabi rang na gholen i mean shayari ko shayari ke istar par samjhen aur apne tasavvur ko aur abaad karen jaise Ravi ji ne kiya hai.

yun hi likhte rahen.
Logged
srishti raj chintak
Maqbool Shayar
****

Rau: 6
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 11 hours and 35 minutes.
Posts: 597
Member Since: Feb 2013

View Profile
«Reply #12 on: July 15, 2013, 05:39:31 PM »
Reply with quote
यो इंडिया एक हवाई दुनिया है. यहाँ कुछ भी  हवाई हो सकता है. यहाँ सबकी पहचान, जान-पहचान हवाई है इसलिए इस हवाई दुनिया के हवाई दोस्तो इस हवाई दुनिया की हवा को समझकर इसका हवाई आनन्द लो.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #13 on: July 15, 2013, 09:12:45 PM »
Reply with quote
shuru ki do lines yaani dono misre yaani pehla sher yoindia par ab tak padhe gaye meri sabse pasandeeda sheron me hain.
agar aapne ise khud likha hai to bahut bahut badhai baaki main yehi request karunga aur shayron se ki pls shayari me mazhabi rang na gholen i mean shayari ko shayari ke istar par samjhen aur apne tasavvur ko aur abaad karen jaise Ravi ji ne kiya hai.

yun hi likhte rahen.
Yes,It's My Own Creation.Hosla Bhadane Ke Liye Aap Ka Bahut-Bahut Shuqriya,Warna Main To Yahaan Likhna Hi Chodne Ki Soch Raha Tha.Thanks Again.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #14 on: July 16, 2013, 12:20:32 AM »
Reply with quote
यो इंडिया एक हवाई दुनिया है. यहाँ कुछ भी  हवाई हो सकता है. यहाँ सबकी पहचान, जान-पहचान हवाई है इसलिए इस हवाई दुनिया के हवाई दोस्तो इस हवाई दुनिया की हवा को समझकर इसका हवाई आनन्द लो.
सलाह के लिए शुक़रिया जी.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:29:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer