Dhan Dhan Shri Guru Arjan Dev Ji..(Plz Do Read)

by khwaish on June 15, 2009, 08:19:19 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 21940 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote


Jidhe Sees The Kadhi Si Kalash Jhoolde,
Garam Reth Te Kharche Puwareya Si..
Kai Pehar Angiyaaran Di Sej Baike,
Shaantmai Te Purne Paareya Si..
Khaa Ke Teg De Vich Ubaaleya Nu,
Phir Vi Satnaam-Waheguru Gaareya Si..
Seena Tapda Jag Da,
Taarne Nu,Tan Aapna Saad Vikhareya Si..
Kehna Sauka Te Suuna Vi bahut Sauka,
Aukhi Gal Hai Aman Kamaun Wali,
Eh Ta Aatma Hi Keval Rabb Di Si,
Tati Tavi Te Sukhmani Goun Wali...


On The 16nth June Of Every Year Since 1606,The Sikhs Have Commemorated The marytrdom Of Their First Marytr,The Fifth Guru.
Dhan Dhan Shri Guru Arjan dev Ji..

16-06-1606 Se Leke Aaj 16-06-2009 Tak,Duniya ka Har Sikh Iss Din Ko Apne Dil ke bahut Kareeb Maanta hai..Guruji Ko Uss Waqt Ki Hukumat Jo ki Baadshah jahangir Ke haath Mein Thi..Yeh Saza Sunai Gayi Thi Ke Guruji ko Asaan Maut Naa Ho..Inhe Tadpaya Jaaye...

Pehla Din:Guruji ko Kuch Bhi Naa Khaane Ko Naa peene Ko Diya Jaaye Aur Naa Hi Raat Ko Sone Diya Jaaye..Par Guruji ko Inn Sab Cheezo se Kuch lagaau Naa Tha,Woh Apne waheguru simran Mein leen the..

Phir Dusre Din:Guruji Ko Ek Bade Teg Mein Bithaya Gaya,Jo Ki Laal Rang Ka Tha,Neeche Aag lagai Gayi,paani Ubalne Laga,Dheere-Dheere Pani Bhi Lal Rang Ka Hone Laga, Par Guruji ke Chehre Par Koi Shikayat Yaa Koi Maayusi Naa Thi..Unki Aankhein Band Thi Aur Woh Bas Apne Waheguru Simran Mein Leen the...

Phir Teesre Din: Guruji ko Garam Tave Par bithakar,Yeh Hukum Diya Gaya Ke Inke Sees Par Jab Tak Garam Reth Daali Jaaye,Jab tak Yeh Aakhri Saans Nahi Le Lete..

Yeh Dekh kar Sahib Miya Meer,Jo Ki Khud Bahut Taakatwar Aur Unki Khud ki Bahut badi Fauj Thi,Guruji Ki Bahut izzat Kiya Karte the,Aakar Guruji Se Kehne Lage,Ke Yeh sabr Ka imtehaan Aakhir Kyon?? Mujhse Yeh Sab Nahi dekha Jaa Raha, Main Duniya Ka Har Hakeem Aapke Aage Khada Kar dunga..Aur Iss Hukumat Se Bagawaat bhi Kar Lunga..Mujhe Sirf Aapka Ek Ishaara Chahiye..Guru Ji Ne Uss Waqt Apne Mukh Se Yeh baat kahin Thi..

Tera Kiya Meetha Laage,
Har Nanak Naam Padarath Maange..

Guruji Ne Kahan, Ke Yeh jo Bhi Ho Raha Hai,Waheguru Ki Marzi Se Ho Raha Hai,Jis Mein Waheguru Ki Raza Ho,Usse Maana Hi Har insaan Ka Pehla Farz hai..Uska Yeh Kiya Bhi Mujhe Bahut Mitha Lagta Hai..

Guruji Ke Tan Mein Maas Ke Sirf Kuch tukde Baaki Reh gaye the,Jab Jaakar Jahangir Ne Guruji ko Pucha Ke Aakhri Saans Lene Se Pehle Koi Khwaish hai To Kahe..Guruji Ne Ishaara Kiya Ke Woh Raavi nadi Mein Apni Aakhri Saans Dena Chahte Hai..Jahangir Ne Apne Sipahiyon kao Kahan,Ke Guruji Ko Uthakar Uss Nadi Mein daal De...Guruji Uss Nadi Ke Gehrai Tak pahunche Aur Phir Woh Jyoti-Jyoth Samaye..Uss Din ke baad,Sikh ithihaas Mein Yeh Din Hum Shaheedi Purab Ke Naam Se Jaante Hai..Aur Guru Arjan Dev ji Ko SHAHHEDO KE SARTAJ ke naam Se Yaad Karte hai..

Iss Din,Humein Humare Guru Ka Hukum Tha Ke unki Yaad mein Kayi Bhi maatam Naa Manaya Jaaye,balki Thandi Chabeel Lagayi Jaaye,Jahan Har Pyaase Ko Paani Aur Lassi Di Jaaye..Uss Din Se,Har Gurduware Ka Baahar,Har Sikh ke Ghar Par Thandi Lassi Ki seva ki Jaati hai..

Guruji Ko Yeh Saza,Bina Koi Zulm,Naa Hi Koi Khaas Dushmani Ke liye Di Gayi Thi..Bas Unka Kasoor Yeh tha Ke Woh Langar Ki Seva(Free Kitchen) Chalate the,Har Gareeb insaan Waha Par Pet Bhar Ke Khaata Tha..Jo Uss Waqt Ki Hukumat Ko Pasand Naa Tha..Kyonki Har Insaan Chaahe Woh Hindu Ho Ya Musalman Ho Guruji Ki Dil Se Izzat Karta Tha..

Waheguru Ji Ka Khalsa
Waheguru Ji Ki Fateh

Logged
shab
Guest
«Reply #1 on: June 15, 2009, 08:35:36 PM »
Reply with quote
              NICE SHARING KHWAISH JI
Logged
Sammual
Guest
«Reply #2 on: June 15, 2009, 09:43:58 PM »
Reply with quote


Jidhe Sees The Kadhi Si Kalash Jhoolde,
Garam Reth Te Kharche Puwareya Si..
Kai Pehar Angiyaaran Di Sej Baike,
Shaantmai Te Purne Paareya Si..
Khaa Ke Teg De Vich Ubaaleya Nu,
Phir Vi Satnaam-Waheguru Gaareya Si..
Seena Tapda Jag Da,
Taarne Nu,Tan Aapna Saad Vikhareya Si..
Kehna Sauka Te Suuna Vi bahut Sauka,
Aukhi Gal Hai Aman Kamaun Wali,
Eh Ta Aatma Hi Keval Rabb Di Si,
Tati Tavi Te Sukhmani Goun Wali...


On The 16nth June Of Every Year Since 1606,The Sikhs Have Commemorated The marytrdom Of Their First Marytr,The Fifth Guru.
Guru Arjan dev Ji..

16-06-1606 Se Leke Aaj 16-06-2009 Tak,Duniya ka Har Sikh Iss Din Ko Apne Dil ke bahut Kareeb Maanta hai..Guruji Ko Uss Waqt Ki Hukumat Jo ki Baadshah jahangir Ke haath Mein Thi..Yeh Saza Sunai Gayi Thi Ke Guruji ko Asaan Maut Naa Ho..Inhe Tadpaya Jaaye...

Pehla Din:Guruji ko Kuch Bhi Naa Khaane Ko Naa peene Ko Diya Jaaye Aur Naa Hi Raat Ko Sone Diya Jaaye..Par Guruji Inn Sab Cheezo se Kuch lagaau Naa Tha,Woh Apne waheguru simran Mein leen the..

Phir Dusre Din:Guruji Ko Ek Bade Teg Mein Bithaya Gaya,Jo Ki Laal Rang Ka Tha,Neeche Aag lagai Gayi,paani Ubalne Laga,Dheere-Dheere Pani Bhi Lal Rang Ka Hone Laga, Par Guruji ke Chehre Par Koi Shikayat Yaa Koi Maayusi Naa Thi..Unki Aankhein Band Thi Aur Woh Bas Apne Waheguru Simran Mein Leen the...

Phir Teesre Din: Guruji ko Garam Tave Par bithakar,Yeh Hukum Diya Gaya Ke Inke Sees Par Jab Tak Garam Reth Daali Jaaye,Jab tak Yeh Aakhri Saans Nahi Le Lete..

Yeh Dekh kar Sahib Miya Meer,Jo Ki Khud Bahut Taakatwar Aur Unki Khud ki Bahut badi Fauj Thi,Guruji Ki Bahut izzat Kiya Karte the,Aakar Guruji Se Kehne Lage,Ke Yeh sabr Ka imtehaan Aakhir Kyon?? Mujhse Yeh Sab Nahi dekha Jaa Raha, Main Duniya Ka Har Hakeem Aapke Aage Khada Kar dunga..Aur Iss Hukumat Se Bagawaat bhi Kar Lunga..Mujhe Sirf Aapka Ek Ishaara Chahiye..Guru Ji Ne Uss Waqt Apne Mukh Se Yeh baat kahin Thi..

Tera Kiya Meetha Laage,
Har Nanak Naam Padarath Maange..

Guruji Ne Kahan, Ke Yeh jo Bhi Ho Raha Hai,Waheguru Ki Marzi Se Ho Raha Hai,Jis Mein Waheguru Ki Raza Ho,Usse Maana Hi Har insaan Ka Pehla Farz hai..Uska Yeh Kiya Bhi Mujhe Bahut Mitha Lagta Hai..

Guruji Ke Tan Mein Maas Ke Sirf Kuch tukde Baaki Reh gaye the,Jab Jaakar Jahangir Ne Guruji ko Pucha Ke Aakhri Saans Lene Se Pehle Koi Khwaish hai To Kahe..Guruji Ne Ishaara Kiya Ke Woh Raavi nadi Mein Apni Aakhri Saans Dena Chahte Hai..Jahangir Ne Apne Sipahiyon kao Kahan,Ke Guruji Ko Uthakar Uss Nadi Mein daal De...Guruji Uss Nadi Ke Gehrai Tak pahunche Aur Phir Woh Jyoti-Jyoth Samaye..Uss Din ke baad,Sikh ithihaas Mein Yeh Din Hum Shaheedi Purab Ke Naam Se Jaante Hai..Aur Guru Arjan Dev ji Ko SHAHHEDO KE SARTAJ ke naam Se Yaad Karte hai..

Iss Din,Humein Humare Guru Ka Hukum Tha Ke unki Yaad mein Kayi Bhi maatam Naa Manaya Jaaye,balki Thandi Chabeel Lagayi Jaaye,Jahan Har Pyaase Ko Paani Aur Lassi Di Jaaye..Uss Din Se,Har Gurduware Ka Baahar,Har Sikh ke Ghar Par Thandi Lassi Ki seva ki Jaati hai..

Guruji Ko Yeh Saza,Bina Koi Zulm,Naa Hi Koi Khaas Dushmani Ke liye Di Gayi Thi..Bas Unka Zulm Yeh tha Ke Woh Langar Ki Seva(Free Kitchen) Chalate the,Har Gareeb insaan Waha Par Pet Bhar Ke Khaata Tha..Jo Uss Waqt Ki Hukumat Ko Pasand Naa Tha..Kyonki Har Insaan Chaahe Woh Hindu Ho Ya Musalman Ho Guruji Ki Dil Se Izzat Karta Tha..

Waheguru Ji Ka Khalsa
Waheguru Ji Ki Fateh





Thanks For Sharing Khwaish Ji

Waheguru Ji Ka Khalsa
Waheguru Ji Ki Fateh
Logged
shab
Guest
«Reply #3 on: June 15, 2009, 10:18:09 PM »
Reply with quote
   NICE SHARING,KHWAISH JI
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: June 16, 2009, 02:47:02 AM »
Reply with quote
Padhke bahut achha laga Khwaish Ji. Dilko sukun sa mila aur hausla bhi. Shukriya for such an inspiration.

Waaheguru ji sabko khush rakhe aur harek musibat se ladne ka hausla bhi de...

Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: June 16, 2009, 07:56:59 AM »
Reply with quote
Khwaish Dost,

Very nice post  Applause Applause

Guru Arjan dev Ji ki shahadat ka qissa aapne hum sab tak pahunchaya.

Waah-e-Guru sab ko sabr den aur musibaton se ladne ke hausla den ki insaan kabhi sachchi raah se na bhatke aur humesha sach ki jeet ho.

Thanks for Sharing this information with us.
Logged
shab
Guest
«Reply #6 on: June 16, 2009, 08:46:30 AM »
Reply with quote
   NICE CREATION POOJA JI
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: June 16, 2009, 09:13:43 AM »
Reply with quote
Bahut bahut Shkriyan Khwaish ji....  icon_salut

Guru Arjan Dev ji......jo matr 18 varsh ki aayu me sikho k paachve guru bane.



 
Guru ji ko garam tave par bithaya gya aur unke sees par garam reth dali gyi



Guru ji manavta k premi the
Ek baar khuch bhaktjan lahore se unke darshno k liye aa rahe the.Shaam dhalne par unhone amratsar k bahr ek gaav me pdav dala. Guru ji ko jab is baat ki khabar mili to wo apni patni sahit svaym hi un logo k pass pahuch gaye.Unhone sabko bhojan krwaya aur sab bhakto ki saaru raat seva ki.
parantu kisi ko ye aabhas nahi hone diya k wo hi Guru Arjan Dev h.




Subah hote hi Guru ji bhakto k sath Amratsar pahuche.Harmindar sahihab(golden temple)pahuchte hi Guru ji ne bhakton se kha-
"aap sab darshan kar aaye tab tak mai aapke jutoon ki rakhwali karta hu.
Andar jaate hi bhakton ko pta chala k jo unki seva kar rhe the wo hi Guru Arjan Dev h.Sunte hi sab Guru ji k darshno k liye daud pade.

43 varsh ki aayu me Guru ji shahhed ho gye.Jis nadi me unhe dala gya wha Guru ji ki yaad me gurudwara bnaya gya jise "Dehra Sahib"kehte h.




Guru ji ko hum sabka koti-koti naman









Logged
Rajbir
Guest
«Reply #8 on: June 16, 2009, 12:00:54 PM »
Reply with quote
Dear Khwaish bro and Popat,

Thank you so much for sharing the life of our Guru Ji with us, ignorant human beings.

May WaheGuru guide us through His noble teachings and guidance!
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: June 16, 2009, 12:33:36 PM »
Reply with quote
Thanks Pops for the nice sharing with US !!

May we always remain on the righteous path in our life !!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: June 16, 2009, 12:36:14 PM »
Reply with quote


khwaish ji/poppoetry ji!
Aap dono ney 'itihaas' ban chukey zulm-o-sitam key shikaar ho kar barhee hee bahaaduree sey 'SHAHEED' huye SADGURU SANT SHREE ARJUN DEV JI jaisey 'MAHAAN AMAR SHAHEED' kee 'PUNYA-TITHI' par jo apney-apney 'UDGAAR' prakat kiye hain, 'saadhuwaad' key paatra hain!
khwaish ji ney jo jaankaariyaan deen hain un ney aankhoun ko to nam kiyaa hi hai, zulm-o-sitam key khilaaf jee-jaan sey larhney key jazbey ko bhi, bakhoobee aur ziyaadah paaindah kar diyaa hai! 'KOTISHAH DHANYAWAAD!'
Waheguru Ji da Khalsa!
Waheguru Ji di Fatah!!
                          - abd bundeli
Logged
mistufer
Guest
«Reply #11 on: June 16, 2009, 12:53:15 PM »
Reply with quote


Jidhe Sees The Kadhi Si Kalash Jhoolde,
Garam Reth Te Kharche Puwareya Si..
Kai Pehar Angiyaaran Di Sej Baike,
Shaantmai Te Purne Paareya Si..
Khaa Ke Teg De Vich Ubaaleya Nu,
Phir Vi Satnaam-Waheguru Gaareya Si..
Seena Tapda Jag Da,
Taarne Nu,Tan Aapna Saad Vikhareya Si..
Kehna Sauka Te Suuna Vi bahut Sauka,
Aukhi Gal Hai Aman Kamaun Wali,
Eh Ta Aatma Hi Keval Rabb Di Si,
Tati Tavi Te Sukhmani Goun Wali...


On The 16nth June Of Every Year Since 1606,The Sikhs Have Commemorated The marytrdom Of Their First Marytr,The Fifth Guru.
Guru Arjan dev Ji..

16-06-1606 Se Leke Aaj 16-06-2009 Tak,Duniya ka Har Sikh Iss Din Ko Apne Dil ke bahut Kareeb Maanta hai..Guruji Ko Uss Waqt Ki Hukumat Jo ki Baadshah jahangir Ke haath Mein Thi..Yeh Saza Sunai Gayi Thi Ke Guruji ko Asaan Maut Naa Ho..Inhe Tadpaya Jaaye...

Pehla Din:Guruji ko Kuch Bhi Naa Khaane Ko Naa peene Ko Diya Jaaye Aur Naa Hi Raat Ko Sone Diya Jaaye..Par Guruji Inn Sab Cheezo se Kuch lagaau Naa Tha,Woh Apne waheguru simran Mein leen the..

Phir Dusre Din:Guruji Ko Ek Bade Teg Mein Bithaya Gaya,Jo Ki Laal Rang Ka Tha,Neeche Aag lagai Gayi,paani Ubalne Laga,Dheere-Dheere Pani Bhi Lal Rang Ka Hone Laga, Par Guruji ke Chehre Par Koi Shikayat Yaa Koi Maayusi Naa Thi..Unki Aankhein Band Thi Aur Woh Bas Apne Waheguru Simran Mein Leen the...

Phir Teesre Din: Guruji ko Garam Tave Par bithakar,Yeh Hukum Diya Gaya Ke Inke Sees Par Jab Tak Garam Reth Daali Jaaye,Jab tak Yeh Aakhri Saans Nahi Le Lete..

Yeh Dekh kar Sahib Miya Meer,Jo Ki Khud Bahut Taakatwar Aur Unki Khud ki Bahut badi Fauj Thi,Guruji Ki Bahut izzat Kiya Karte the,Aakar Guruji Se Kehne Lage,Ke Yeh sabr Ka imtehaan Aakhir Kyon?? Mujhse Yeh Sab Nahi dekha Jaa Raha, Main Duniya Ka Har Hakeem Aapke Aage Khada Kar dunga..Aur Iss Hukumat Se Bagawaat bhi Kar Lunga..Mujhe Sirf Aapka Ek Ishaara Chahiye..Guru Ji Ne Uss Waqt Apne Mukh Se Yeh baat kahin Thi..

Tera Kiya Meetha Laage,
Har Nanak Naam Padarath Maange..

Guruji Ne Kahan, Ke Yeh jo Bhi Ho Raha Hai,Waheguru Ki Marzi Se Ho Raha Hai,Jis Mein Waheguru Ki Raza Ho,Usse Maana Hi Har insaan Ka Pehla Farz hai..Uska Yeh Kiya Bhi Mujhe Bahut Mitha Lagta Hai..

Guruji Ke Tan Mein Maas Ke Sirf Kuch tukde Baaki Reh gaye the,Jab Jaakar Jahangir Ne Guruji ko Pucha Ke Aakhri Saans Lene Se Pehle Koi Khwaish hai To Kahe..Guruji Ne Ishaara Kiya Ke Woh Raavi nadi Mein Apni Aakhri Saans Dena Chahte Hai..Jahangir Ne Apne Sipahiyon kao Kahan,Ke Guruji Ko Uthakar Uss Nadi Mein daal De...Guruji Uss Nadi Ke Gehrai Tak pahunche Aur Phir Woh Jyoti-Jyoth Samaye..Uss Din ke baad,Sikh ithihaas Mein Yeh Din Hum Shaheedi Purab Ke Naam Se Jaante Hai..Aur Guru Arjan Dev ji Ko SHAHHEDO KE SARTAJ ke naam Se Yaad Karte hai..

Iss Din,Humein Humare Guru Ka Hukum Tha Ke unki Yaad mein Kayi Bhi maatam Naa Manaya Jaaye,balki Thandi Chabeel Lagayi Jaaye,Jahan Har Pyaase Ko Paani Aur Lassi Di Jaaye..Uss Din Se,Har Gurduware Ka Baahar,Har Sikh ke Ghar Par Thandi Lassi Ki seva ki Jaati hai..

Guruji Ko Yeh Saza,Bina Koi Zulm,Naa Hi Koi Khaas Dushmani Ke liye Di Gayi Thi..Bas Unka Zulm Yeh tha Ke Woh Langar Ki Seva(Free Kitchen) Chalate the,Har Gareeb insaan Waha Par Pet Bhar Ke Khaata Tha..Jo Uss Waqt Ki Hukumat Ko Pasand Naa Tha..Kyonki Har Insaan Chaahe Woh Hindu Ho Ya Musalman Ho Guruji Ki Dil Se Izzat Karta Tha..

Waheguru Ji Ka Khalsa
Waheguru Ji Ki Fateh



khwaish ji
sach mere paas shabd nahi kaise aapka abhar manu
muje guru arjan dev ji ke bare mein unpar huye zulm ke bare mein pahli baar padha. unka dharya aor bhakti sach mein ek misaal hai.

aapki likhi nazm bahut dilko choo gayi.
hunhi likhte rahiyega, taki jo nahi jante guruon ke bare mein vo jan jayein, aor unka maan samaam karein.
god bless u
nira
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: June 16, 2009, 04:12:40 PM »
Reply with quote
              NICE SHARING KHWAISH JI

Bahut Bahut Shukriya Shab Ji..Jo Aap Iss Thread Mein Aaye aur Iss Thread Ko aapna Apna  waqt diya..teh dil se shukriya Aapka..

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: June 16, 2009, 04:15:51 PM »
Reply with quote
   NICE SHARING,KHWAISH JI

Thanks A Lot Once Again Shab Ji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: June 16, 2009, 04:21:39 PM »
Reply with quote


Thanks For Sharing Khwaish Ji

Waheguru Ji Ka Khalsa
Waheguru Ji Ki Fateh


Waheguru Ji Ka Khalsa
Waheguru Ji ki Fateh

Thankyou Soooooooo Much sammual,For Giving Your time To this Thread..
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:47:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer