AAJ HI KE DIN ........................HASAN

by F.H.SIDDIQUI on January 26, 2012, 05:55:51 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1361 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote

( Wishing  Happy  Republic  Day  to  All )
..............................................

Aaya  26  January  ka  din ,
Aaj  hi  Sun  50 mein  Humne,
Khud  pe  naafiz  kiya  thha  eik  Dastoor
Apne  aur  apni  Zindagi  ke liye
Aaj  hi  Humne  khaayeeN  theeN  QasmeiN
Mulk  meiN  subko  hogi  Azaadi
Sub  masaavi  Huqooq  paayeinge
Koi  Mazhab  ho  koi  zaat  bhi  ho
Honge  Haqdaar  sub  barabar  kay
Har  zariiye  ke  har  asaasay  kay
Khatm  ho  jaaye gi  Ghareebi  abb
Khaayeinge  Dono  waqt  Roti  sabb
Khatm  abb  hoga  daur  nafrat  kaa
Chaar  soo  hoga  shor  Ulfat  kaa
Koi  Aaqa  , koi Ghulaam  naheeN
Abb  Videshi  koi  nizaam  naheeN
Desh  mein  apne , Apna  raaj  hai  abb
Sar  pe  Jamhooriyat  ka  Taaj  hai abb


Aaj  62  baras  ke  baad  bhi  kyuuN ?
Zulmatein  pahli  hee  si  taari  haiN !
Abb bhi  laalay  pade  haiN  jeene  mein
Nafratein  pal  rahi  haiN  Seenay  mein
Muflisi  doobi hai paseene  meiN
Roz  daakay  padeiN  Khazeenay  mein

Apni  daulat  pe  aur  asaasoN  per
Qabza  hai  sirf  chand  logon  ka
Poonjiwaala  hai  koi  Neta hai
Sone  ke  Anday  roz  seta  hai

Aayeen  Tabdeeliyaan  bahut  lekin
Chaahte  thhe  jo  hum , wahi  na  huwa
Zahniyat  apni  hum  badal  na  sakay
Aisa  lagta  hai  kuchh  sahi  na  huwa

Aao  phir Aaj ye  qasam  khaayeiN
Hum  ye  saara  nizaam  badleinge
Phir  Chaman  mein  bahaar  aayegi
Subha  aur  iski  shaam  badleinge
Phir  khushi  ka  khumaar   chhayega
Saaqi  badleinge , Jaam  badleinge
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
REHEARSAL .........................Hasan by F.H.SIDDIQUI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
...AUR BHI NAMKEEN ......................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
SANAM TARAASH HI LEINGE ........ HASAN. by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
WOH .............................................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
AASHIQ ' HASAN ' BHI HAI MAANA HUA .................. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #1 on: January 26, 2012, 06:57:49 AM »
Reply with quote
Mashaallah Hasan saheb aapne badi achchi nazm kahi hai Dili Mubarak baad qubool fermayeiN
Khuda hafiz
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #2 on: January 26, 2012, 07:54:45 AM »
Reply with quote
bht bht khoob hasan saheb...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: January 26, 2012, 08:04:28 AM »
Reply with quote
Siddiqui Sahaab Aadaab!


Badi khoob nazm se nawaaza hai janab ..
behad khoob sabhi ban ke khayaal behad khoob
rahe .. aur aapke jazba bhi damdar raha .. Usual Smile

Humari dili daad O mubarakbad kabul kijiye..

Likhate rahiye shaad O aabaad rahiye.. Usual Smile
Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: January 26, 2012, 09:34:53 AM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai Hasan Sir
Applause Applause
hum bhi sab kuch badalne ka armaan rakhte hai..
ek sach kahne se nahi hichkitchaunga, hum jaise hi log kah ke mukar jaate hai..
VATAN aur Vachan par marne vaale hai hi kitne..
phir bhi mujhme titahri jaisi himmat hai..
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: January 26, 2012, 04:46:42 PM »
Reply with quote
Bahot achhi nazm likhi hai Hasan sahab. Peechhey mud ke dekhte hain to afsos hota hai ke abhi tak kuchh baton mein mulk hi kalat bahot zyada nahi badli hai. Is nazm ne kuch sochne par majboor kar diya. Dili daad pesh karta hun.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: January 27, 2012, 04:14:57 AM »
Reply with quote
Hasan saheb is shaandaar nazm par hazaaron daad aur meree duaaen
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: January 30, 2012, 02:11:21 PM »
Reply with quote
Sadiq  saheb , Bahut mashkoor  hoon ki aap ne nazm pasand ki aur Hausla afzai ki. Nazm ke baare mein zyada ilm nahiin . Hamesha darta hoon ki kuchh ghalti na ho jaaye. Ghaltiyaan hone peraapki rahnumai ka taalib hoon. Khair andesh, Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: February 01, 2012, 12:34:54 PM »
Reply with quote
bht bht khoob hasan saheb...
Manzil  e  ishq  ji , Bahut  shukriya . Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: February 01, 2012, 12:37:34 PM »
Reply with quote
Siddiqui Sahaab Aadaab!


Badi khoob nazm se nawaaza hai janab ..
behad khoob sabhi ban ke khayaal behad khoob
rahe .. aur aapke jazba bhi damdar raha .. Usual Smile

Humari dili daad O mubarakbad kabul kijiye..

Likhate rahiye shaad O aabaad rahiye.. Usual Smile
Khuda Hafez.. Usual Smile

Parwaaz saheb, bahut mashkoor hoon aap ne nazm padhi aur nacheez  ki hausla afzai ki.Ghareeb parwari karte rahiyega. Hasan
Logged
khujli
Guest
«Reply #10 on: February 01, 2012, 12:52:47 PM »
Reply with quote

( Wishing  Happy  Republic  Day  to  All )
..............................................

Aaya  26  January  ka  din ,
Aaj  hi  Sun  50 mein  Humne,
Khud  pe  naafiz  kiya  thha  eik  Dastoor
Apne  aur  apni  Zindagi  ke liye
Aaj  hi  Humne  khaayeeN  theeN  QasmeiN
Mulk  meiN  subko  hogi  Azaadi
Sub  masaavi  Huqooq  paayeinge
Koi  Mazhab  ho  koi  zaat  bhi  ho
Honge  Haqdaar  sub  barabar  kay
Har  zariiye  ke  har  asaasay  kay
Khatm  ho  jaaye gi  Ghareebi  abb
Khaayeinge  Dono  waqt  Roti  sabb
Khatm  abb  hoga  daur  nafrat  kaa
Chaar  soo  hoga  shor  Ulfat  kaa
Koi  Aaqa  , koi Ghulaam  naheeN
Abb  Videshi  koi  nizaam  naheeN
Desh  mein  apne , Apna  raaj  hai  abb
Sar  pe  Jamhooriyat  ka  Taaj  hai abb


Aaj  62  baras  ke  baad  bhi  kyuuN ?
Zulmatein  pahli  hee  si  taari  haiN !
Abb bhi  laalay  pade  haiN  jeene  mein
Nafratein  pal  rahi  haiN  Seenay  mein
Muflisi  doobi hai paseene  meiN
Roz  daakay  padeiN  Khazeenay  mein

Apni  daulat  pe  aur  asaasoN  per
Qabza  hai  sirf  chand  logon  ka
Poonjiwaala  hai  koi  Neta hai
Sone  ke  Anday  roz  seta  hai

Aayeen  Tabdeeliyaan  bahut  lekin
Chaahte  thhe  jo  hum , wahi  na  huwa
Zahniyat  apni  hum  badal  na  sakay
Aisa  lagta  hai  kuchh  sahi  na  huwa

Aao  phir Aaj ye  qasam  khaayeiN
Hum  ye  saara  nizaam  badleinge
Phir  Chaman  mein  bahaar  aayegi
Subha  aur  iski  shaam  badleinge
Phir  khushi  ka  khumaar   chhayega
Saaqi  badleinge , Jaam  badleinge




 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 laughing4 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: February 03, 2012, 11:00:26 AM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai Hasan Sir
Applause Applause
hum bhi sab kuch badalne ka armaan rakhte hai..
ek sach kahne se nahi hichkitchaunga, hum jaise hi log kah ke mukar jaate hai..
VATAN aur Vachan par marne vaale hai hi kitne..
phir bhi mujhme titahri jaisi himmat hai..
MKV ji, Bahut bahut shukrguzaar  hoon Hausla afzai ke liye aur hamkhayaal hone ke liye. Duaaein.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: February 06, 2012, 02:06:42 PM »
Reply with quote
Bahot achhi nazm likhi hai Hasan sahab. Peechhey mud ke dekhte hain to afsos hota hai ke abhi tak kuchh baton mein mulk hi kalat bahot zyada nahi badli hai. Is nazm ne kuch sochne par majboor kar diya. Dili daad pesh karta hun.
Bahut bahut shukriya, Riyaz Ashna saheb.Nazm mein wahi kahne ki koshish ki hai jo shaayed hum sabhi ka dard hai. Hamkhayaal hone ke liye shukriya.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: February 12, 2012, 10:24:07 AM »
Reply with quote
Hasan saheb is shaandaar nazm par hazaaron daad aur meree duaaen
Saini saheb, Bahut shukrguzar hoon.Khush rahiye.Hasan
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 12:20:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.208 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer