sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
जंगे आज़ादी के दीवाने नेताजी सुभाष चन्द्र बोस की यादों को सलाम करते हुए आज भी आँखें नम हो जाती हैं |उनकी शान में कुछ मिसरे पेश कर रहा हूँ |
ओ रहनुमा वतन के तू खो गया कहाँ पर |
हैं अश्कबार आँखें तेरा नाम है ज़बां पर ||
है हमारी बदनसीबी तुझको न जान पाए |
कर तो रहे हैं दावे बसने के आसमां पर ||
करते अगर भरोसा हम तेरी बात पर तब |
ये सड़ी गली सियासत चलती नहीं यहाँ पर ||
अब भी जुनून बाकी अहले-वतन मे कुछ है |
पागल से ढूढ़तें हैं तुझको यहाँ -वहाँ पर ||
ए क़ौम के मसीहा तुझको सलाम मेरा |
हो सुकून रूह को तेरी है तू कहीँ जहाँ पर ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
Jange aazaadee ke deewaane Netaaji Subhash Chandra Bose kee yaadon ko salaam karte hue aaj bhee aankheN nam ho jaatee haiN.Unkee shaan men kuchh misre pesh kar rahaa hooN.
O rahnumaa vatan ke too kho gayaa kahaaN par. HaiN ashkbaar aankhen teraa naam hai zabaaN par.
Hai hamaaree badnaseebee tujhko n jaan paaye. Kar to rahe haiN daawe basne ke aasmaaN par.
Karte agar bharosaa ham teree baat par tab. Ye sadee galee siyaasat chaltee naheeN yahaaN par.
Ab bhee junoon baaqee ahle-vatan men kuchh hai. Paagal se dhoodhteN haiN tujhko yahaaN-vahaaN par.
E kqaum ke maseehaa tujhko salaam meraa. Ho sukoon rooh ko teree hai too kaheen jahaan par.
Dr. Surendra Saini
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #1 on: January 23, 2012, 06:03:16 AM » |
|
जंगे आज़ादी के दीवाने नेताजी सुभाष चन्द्र बोस की यादों को सलाम करते हुए आज भी आँखें नम हो जाती हैं |उनकी शान में कुछ मिसरे पेश कर रहा हूँ |
ओ रहनुमा वतन के तू खो गया कहाँ पर |
हैं अश्कबार आँखें तेरा नाम है ज़बां पर ||
है हमारी बदनसीबी तुझको न जान पाए |
कर तो रहे हैं दावे बसने के आसमां पर ||
करते अगर भरोसा हम तेरी बात पर तब |
ये सड़ी गली सियासत चलती नहीं यहाँ पर ||
अब भी जुनून बाकी अहले-वतन मे कुछ है |
पागल से ढूढ़तें हैं तुझको यहाँ -वहाँ पर ||
ए क़ौम के मसीहा तुझको सलाम मेरा |
हो सुकून रूह को तेरी है तू कहीँ जहाँ पर ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
Jange aazaadee ke deewaane Netaaji Subhash Chandra Bose kee yaadon ko salaam karte hue aaj bhee aankheN nam ho jaatee haiN.Unkee shaan men kuchh misre pesh kar rahaa hooN.
O rahnumaa vatan ke too kho gayaa kahaaN par. HaiN ashkbaar aankhen teraa naam hai zabaaN par.
Hai hamaaree badnaseebee tujhko n jaan paaye. Kar to rahe haiN daawe basne ke aasmaaN par.
Karte agar bharosaa ham teree baat par tab. Ye sadee galee siyaasat chaltee naheeN yahaaN par.
Ab bhee junoon baaqee ahle-vatan men kuchh hai. Paagal se dhoodhteN haiN tujhko yahaaN-vahaaN par.
E kqaum ke maseehaa tujhko salaam meraa. Ho sukoon rooh ko teree hai too kaheen jahaan par.
Dr. Surendra Saini
SAINI JI IS KALAAM PE MAIN AAP KO DAAD NAHIN SHUKRIA KAHOON GAA KI AAPNE EK GREAT FREEDOM FIGHTER KO AISI SALAAMI DI HAI JINKI IDEOLOGY SE MAIN BHI ITTEFAAQ RAKHTA HOON. BAHUT KHOOB
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
F.H.SIDDIQUI
Guest
|
|
«Reply #3 on: January 23, 2012, 08:35:33 AM » |
|
Saini saheb , Main bhi Adil saheb ki tarah hi daad ke bajai SHUKRIYA kahoonga ki aap ne eik haqeeqi mujahid e aazadi ko khiraaj diya aur uss se wabasta talkh haqaaiq ki taraf ishaara kiya . Is azeem hasti ko mera bhi salaam . Hasan
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sarfira
Guest
|
|
«Reply #4 on: January 23, 2012, 09:48:05 AM » |
|
lajawaab lajawaab mai bhi daad nhi sukriya kahunga aapko Saini sahab-- Subhash ji par likhi gai aapki kalaam ki koi shaani nhi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #5 on: January 23, 2012, 03:17:45 PM » |
|
26 jan najdeek hai, neta ji ki shaan me likhi gayi is kalaam ke kya kahne.. It's a real tribute to him.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Satish Shukla
Khususi Shayar
Rau: 51
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:25 days, 6 hours and 16 minutes.
Posts: 1862 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #6 on: January 23, 2012, 05:57:58 PM » |
|
Saini Sahab,
Bahut khoob..
Mubaarakbaad qubool farmaayen.
Satish Shukla 'Raqeeb'
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #7 on: January 24, 2012, 03:59:12 AM » |
|
Adil saheb bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #8 on: January 24, 2012, 04:20:03 AM » |
|
Saini sahab apki rachna bahut achhi lagi. Ye badnasibi hai hamari ke Subhash jaise veeron ko hum bhul jate hain jinka maqsad tha sirf hamari khushali. Is kavita ke liye badhai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #9 on: January 24, 2012, 06:37:56 AM » |
|
Khwaish ji shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #10 on: January 24, 2012, 10:20:54 AM » |
|
Hasan saheb dil kee gahraaiyon se shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
saahill
Mashhur Shayar
Rau: 86
Offline
Waqt Bitaya:147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608 Member Since: Jun 2009
|
|
«Reply #11 on: January 24, 2012, 11:05:24 AM » |
|
boht acha peshkash kiya apne salute 2 u and subash ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #12 on: January 25, 2012, 05:15:13 AM » |
|
Sarfira ji shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #13 on: January 25, 2012, 09:36:07 AM » |
|
Mukesh ji bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
«Reply #14 on: January 25, 2012, 09:41:41 AM » |
|
Satish ji bahut bahut shukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|