Alvida Mah-e-December

by sherone on December 19, 2005, 08:00:09 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4160 times)
sherone
Guest
Reply with quote
Alwida aye December
Alwida!

jaa rahe ho tum
shukriyaa tumhara

Aye Maah-e-December
Alwida!

Bheega bheega yeh maah-e-December
Yadon ki meri, is main hai ab Qabar

Jin se dil main ek chain bhi hai
ik dukh bhi hai aur ik khalish bhi hai

magar aye December!
tera hai ab mujh par karam
aur meri taraf say tumhain ab
Alwida!
Aye Maah-e-December
Alwida!

parda uth gaya haqeeqat ka kuch ese is December main
dilon ki baat yoon hi to nahin aa gai labon main
Hont to dil se juda the so kanpe nahi kisi ke bhi
nafrat ka behr-e-baykaraan dekh liya laikin main ne dilon main

is nazaare ka shukriya, Alwida!
Aye Maah-e-December
Alwida!

tera mujh par ye ehsaan hai
tu nay dikhlaa diye mujh ko
sitaron ke wo jalte nasheman
k door se dekhne wali aankhain bhi
ab pehchaan gain qurbat-e-kawaakib bhi
chaand kaa daagh hai ab acha lagne laga
husn-e-Qamar main izaafa yoon hone laga
jo saaf nazar aataa hai, wo hi bas haseen hai
Ab daagh-e-Mehtaab yaqeenan chaand se bhi haseen hai

to aye mere dost!
Aye Maah-e-December
Alwida!


Log kehte hain tu tanhaiyon ki yaad dilata hai
Log kehte hain tu ghamon ko sang apne lata hai
Log ye bhi kehte hain k tujh main beqarari hai
agar esa hai meri jaan!, to tu sub maheenon par bhari hai

laikin!

log to kehte hi hain aur kehte hi rahain ge
main janta hoon ke mere liye ab tu kya hai
Door tanhaiyon ko karne wala mera maseeha hai
ghamon ki wujooh kya hai, ye tu ne hi batlaya
ghamon main pinhaan beqarari ko chain tu ne diya hai

is nawaazish par tum par main hoon ab fida
Aye Maah-e-December
Alwida!

main khush hoon ke tu ne saabit ghalat mujh ko kiya
mere ghamon aur tanhaiyon ko naabood tu ne kiya
Bataa diya mujh ko k raaz-e-hast-O-bood kya hai
k Be-dilon k haath main ye dil ik khilona hai

Tu ne bacha liyaa mujh ko us dil-e-be-dil se
Na yaqeen tha mujh ko k nafrat hai jis ko mujh se
Mera bolna jis ko door le gaya hai mujh se
jis nay padh liya dil ko mere faqat ik hurf-e-naa samajh se
Shiddat-e-gham aur badh jaata jo ye sub na hota
Thoda hairaan hi rehta main gar wo sab na hota
Dil ki munafiqat honton par aa gai jab
Mujhe ALLAH ki ye baat yaad aa gai tab:
Allah nikal laataa hai burai main se achaii ko
Quran kaafi hay iss baat ki gawahi ko
Waqt le le ga hisaab mera ab sab se

To Mere Saath Rehne Par Tumhara Shukriya
Aye Maah-e-December
Alwida!
Logged
sherone
Guest
«Reply #1 on: December 19, 2005, 01:15:29 PM »
Reply with quote
naye saal tum jab bhi aana

sab kai liye bas khushiaan lana

her charye per hansi sajana

her aangan main phool khilana

jo bichrye hain unhien milana

jo soye hain unhien jagana

jo rothye hain unhien manana

jo bholye hain unhien manzil pay lana

naye saal tum jab bhi aana

sab kai liye bas khusian lan
Logged
sherone
Guest
«Reply #2 on: December 19, 2005, 04:03:19 PM »
Reply with quote
ye sal bhi udas raha roth ker gaya
tujh se mile bagher december guzar gaya

umer-e-rawan khizan ki hawa se bhi tez thi
her lamha berg-e-zerd ki sorat bikher gaya

dil main chatakhte chatakhte wehmon ki bojh se
wo khof tha k rat ko sote main dar gaya

jo bat moatabar thi wo sir se guzar gai !
jo hurf sirseri tha wo dil main utar gaya

hum aks-e-khon-e-dil hi luta-e-phire magar
wo shaks aansu ki dhank main nikhar gaya

mosin yeah rang o roop yeah ronaq baja magar
main zinda kia rahon k mera jee bhar gaya
Logged
sherone
Guest
«Reply #3 on: December 06, 2006, 08:29:56 AM »
Reply with quote
yeah sal bhi hone ko hai ab rukhsat
ab is ko bhi khushi khushi ker do rukhsat
Logged
sherone
Guest
«Reply #4 on: December 06, 2006, 08:30:50 AM »
Reply with quote
yeah sal bhi hone ko hai ab rukhsat
ab is ko bhi khushi khushi ker do rukhsat
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: December 06, 2006, 11:18:03 AM »
Reply with quote
Very Nice ...Moving it to occasion specific poetry !!!

Ye saal bhi ab khatm hone ko  hai,
Kya khoya kya paya, batana hum ko zindagi !!
Logged
maahiya
Guest
«Reply #6 on: November 30, 2012, 05:39:10 AM »
Reply with quote
Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Saba Kehtay Hain

Janay kya daur hai kya log hain kya kehtay hain

kya qayamat hai k jin k liye ruk ruk k chalay

Ab wohi log hamain aabla-pa kehtay hain

koi batalao k ik umar ka bichara mehboob

Ittefaaqan kaheen mil jaye to kya kehtay hain ?

Ye bhi andaz-e-sukhan hai k jafa ko teri

Gamza-o-ishva-o-andaz-o-adaa kehtay hain

Jab talak door hai tu teri parastish kar lain

Hum jisay chhu na sakain us ko Khuda kahte hain ....
Logged
maahiya
Guest
«Reply #7 on: November 30, 2012, 05:39:49 AM »
Reply with quote
Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
Ke toot kar bhi mera hosla chittan ka hai,

Bura na maan meray Hurf-o-Lafz zehar sahi,
Main kia karoon ke yehi zaiqa zubaan ka hai,

Meri sanjeedgi mash'hoor hai zamanay mein,
Meri khamoshi bhi pehlu meray baaan ka hai,

Har aik ghar pe musallat hai dil ki veerani,
Tamaam shehr pe saaya meray makaan ka hai,

Bichar ke us say main sirf is ly nhi bikharta,
Wo keh gaya tha yehi waqt Imtehaan ka hai...
Logged
december
Guest
«Reply #8 on: December 11, 2012, 03:46:16 PM »
Reply with quote
chal nikal december
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:14:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer