AYE MAA TERI AZMATH KO MERA SALAAM.

by Tamanna Azeem on January 12, 2008, 01:05:04 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1129 times)
Tamanna Azeem
Guest
Reply with quote
Azal se lekar abad tak,
Godh se lekar khabar tak.
 
Har ek dukh saha tune,
Par kabhi uff na kaha tune.

Tere hone se mera wajood hai,
Isliye mera sar justajoo hai.
 
Teri aanchal ke chaon mein mera bachpan bada,
Tere saaye mein zindagi ka sabak pada.
 
Kya kuch nahi kiya meri khatir,
Zuban pe aaya na phir bhi haroof ye aakhir.

Maa rishton mein ooncha tera maqam,
Aye Maa teri azmat ko mera salaam.
 
Beta beta kahte huye Maa kabhi thakti nahi,
Dukh ho ke sukh yeh aankh kabhi chookti nahi.
 
Sukoon hi sukoon hai teri godh mein,
Deen wa duniya ki daulat hai teri godh mein.
 
Yahi ek awwaz yeh rahmani ha,
Jo bahraa duniya ko ab batani hai.

Ooncha bol na koi Maa se bole,
Ghum ho ke khushi na Maa ka adab bhoole.
 
Dekhna maa ko ehsaas-e-tanhai na ho,
Zara si bhool se hasher mein ruswai na ho.
 
Mim se Mohammed S**** Aala Walahi Wa Sallam,
Mim se Mehboob.Maa naam Mim se, Mim se matloob.
 
Teri mamta ne pahna mohabbat ka paighaam,
Aye Maa teri azmat ko mera salaam.
 
Mere aaqa ne jo tujhe rutba diya,
Rang azmat ka tera dobala kardiya.
 
Maa kahne se dil ko sukoon milta hai,
Dare firdaus tere paun tale khilta hai.
 
Maa ki awaaz mein ek mitaas hai,
Bujao is mitaas se jisko bhi pyaas hai.
 
Kaun jaane kab tak tumhare khareeb hai,
Saath hai Maa ka to tumhara naseeb hai.
 
Yeh rishta kitna gahra hai,
Tumhare sar Maa ka sahraa hai.
 
Roze mahshar kuch bhi anjaam mera,
Faqt Maa ke qadmon mein ho eqtetaam mera.
 
Tere huzoor kahan tak likhu,
Aye Maa Teri Azmat ko mera Salaam.



-Not Mine.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Sharab Ko Mera Salaam by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Aap sabko mera Salaam by just_asim in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Sabk mera Salaam by roshan20 in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
*Mera Salaam* by Roja in Shairy-E-Watan
Mera Salaam Aakhiri Hai.... by Alam Qazi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Roja
Guest
«Reply #1 on: January 13, 2008, 08:07:47 AM »
Reply with quote
Nice sharing Tamanna
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: January 14, 2008, 06:52:48 PM »
Reply with quote
Nice sharing Tamanna
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: October 01, 2009, 09:22:33 AM »
Reply with quote
Really touching poem ,thanx for sharing Tamanna ji. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:56:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer