Eid ki khushiyaN manao !

by Ghulam Haider on August 11, 2013, 08:33:05 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1394 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
DooriyaN saari miTaa kar Eid ki khushiyaN manaao !
Ya’ni dil se dil milaa kar Eid ki khushiyaN manaao !
----------------------------------------------------------

Chaahta hai dekhna khush apne bandoN ko khuda,
Aaj haNs kar muskuraa kar Eid ki khushiyaN manaao !
-----------------------------------------------------------

Nafrat o bughZ’ o Hasad ki har Taraf bhaRki hai aag,
Shama’ ulfat ki jalaa kar Eid ki khushiyaN manaao !
-----------------------------------------------------------

Saare a’alam ke liye hai amn ka paighaam Eid,
Ye zamaane ko bataa kar Eid ki khushiyaN manaao !
------------------------------------------------------------

Ho na jis din ma’Siyat Allah ki wo din hai Eid,(Imam Ali)
Khud ko is qaabil banaa kar Eid ki khushiyaN manaao !
------------------------------------------------------------

Aaj Haider jis ko dekho shaad hai masroor hai,
Tum bhi apne gham bhulaa kar Eid ki khushiyaN manaao !
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #1 on: August 11, 2013, 12:31:35 PM »
Reply with quote
wha wha bhut khub
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: August 11, 2013, 02:36:45 PM »
Reply with quote
behad khoob mubarak ho
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #3 on: August 11, 2013, 02:54:30 PM »
Reply with quote
DooriyaN saari miTaa kar Eid ki khushiyaN manaao !
Ya’ni dil se dil milaa kar Eid ki khushiyaN manaao !
----------------------------------------------------------

Chaahta hai dekhna khush apne bandoN ko khuda,
Aaj haNs kar muskuraa kar Eid ki khushiyaN manaao !
-----------------------------------------------------------

Nafrat o bughZ’ o Hasad ki har Taraf bhaRki hai aag,
Shama’ ulfat ki jalaa kar Eid ki khushiyaN manaao !
-----------------------------------------------------------

Saare a’alam ke liye hai amn ka paighaam Eid,
Ye zamaane ko bataa kar Eid ki khushiyaN manaao !
------------------------------------------------------------

Ho na jis din ma’Siyat Allah ki wo din hai Eid,(Imam Ali)
Khud ko is qaabil banaa kar Eid ki khushiyaN manaao !
------------------------------------------------------------

Aaj Haider jis ko dekho shaad hai masroor hai,
Tum bhi apne gham bhulaa kar Eid ki khushiyaN manaao !


nice and many congratulations to you ,sir
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: August 11, 2013, 03:22:35 PM »
Reply with quote

Hyder Sahaab Aadaab...!


WaaH janab waaH kia kahne jee bahut khoob badi hi khoobsurat aur umdaa taqleeq ki hai aapne...

Is umdaa kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #5 on: August 11, 2013, 04:08:09 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: August 11, 2013, 06:54:35 PM »
Reply with quote
Eid mubarak ho Haider saheb aapko
bahut hi naayaab peshkash.
Logged
prashad
Guest
«Reply #7 on: August 12, 2013, 01:45:29 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
aqsh
Guest
«Reply #8 on: August 12, 2013, 08:14:47 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
aapko bhi eid ki beshumar khushiyan mubarak ho. is khoob kalam par hazaron dili daaaaaaaaaaad..
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #9 on: August 13, 2013, 11:56:33 AM »
Reply with quote
wha wha bhut khub

"RAJAN KONDAL" ji kalaam ko pasand karne aur daad se nawaazne ke liye aap ka bohot 2 shukriya. Salaamat rahiye
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #10 on: August 13, 2013, 12:00:27 PM »
Reply with quote
behad khoob mubarak ho

Bohot 2 shukriya janab "sksaini4" ji. Allah aap ko barakaat se nawaaze
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #11 on: August 13, 2013, 12:03:27 PM »
Reply with quote
nice and many congratulations to you ,sir

A'zeezm "marhoom bahayaat" tah e dil shukr-guzaar hooN. Allah aap ko shaad o aabaad rakhe.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: August 13, 2013, 12:07:26 PM »
Reply with quote

Hyder Sahaab Aadaab...!


WaaH janab waaH kia kahne jee bahut khoob badi hi khoobsurat aur umdaa taqleeq ki hai aapne...

Is umdaa kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile


Janaab "ParwaaZ" ji, hamesha ki TarH aap ne mujhe daad o dua'a se nawaza. Kalaam ko pasand kiya. Sarapa sipaas guzaar hooN. Allah aap ko har gham se door rakhe.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: August 13, 2013, 12:10:50 PM »
Reply with quote
bahut khoob

"nandbahu" ji, kalaam ko pasand karne aur daad dene ke liye mamnoon hooN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: August 13, 2013, 12:14:50 PM »
Reply with quote
Eid mubarak ho Haider saheb aapko
bahut hi naayaab peshkash.
"mkv" ji Allah sab ko is din ki khushiya aur barkateN naSeeb kare. Be hadd shukriya.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:42:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer