Eid

by admani on October 15, 2011, 02:16:16 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 843 times)
admani
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 1 hours and 45 minutes.
Posts: 213
Member Since: Oct 2006


View Profile
Reply with quote
Pehle bhi kayi eid manayien hain

Aaj phir se Eid aayi hai

Pehle khushiyaan saath laati thi

Aaj woh usay bhool kar aayi hai

 

Meri behnein mehndi se haath sajaya karti thein

Aaj bhaiyon ke khoon se hatheliyan sajayi hain

 

Rang barange kapron ki bazaar laga karti thi

Aaj sirf safaid chadar ki bazaar nazar aayi hai

 

Bachay patakhon se eid ko salaam karte thay

Aaj goliyon ki awaaz hi suni hai

 

Phoolon se log ghar sajaya karte thay

Aaj phoolon se qabrein sajayi hain

 

Chaand ki raat ko meri gali mein mela lagta tha

Aaj uss gali mein sunsaani hi chaayi hai

 

Aye Khuda, Eid mein tou khushiyan manayi jaatein hain

Aaj meri maayein, behnon ne khoon ke aansu bahaye hain

 

Ke pichle saal mere bete ne naye kapray silaye thay

Ke mere bhai ne chooriyon ka tohfa diya tha

Ke mere shohar jhumke  laya tha

Ke mere papa naye khilonay laye thay

 

Aye Khuda sirf itni iltija hai tujhse

Aaj unn maoun ke aansoun ka waasta

Aaj unn behnon ki udaasi ka waasta

Aaj unn bewaoun ke tootay huwe dil ka waasta

Aaj unn lawaris bachon ke akelepan ka waasta

 

Aaj ke diin inn pe rehm farmaana

Aaj ke din inn pe apna karam farmaana
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: October 15, 2011, 07:25:52 PM »
Reply with quote
Admani Jee Aadaab!

YO INDIA meiN aap ka isteqbal karte haiN..

 Welcome Banner

Janab aapke ahsaasoN meiN kafi gham O dard ki ghanak hai..
Achchi koshish rahi aapki ...

Allaah aapki iltejaaoN ko kabul farmaaye.. aameen

Likhate rahiye... Aate rahiye.. Khush O aabad rahiye.
Khuda Hafez... Usual Smile   

Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #2 on: October 16, 2011, 02:44:40 AM »
Reply with quote
GD
Pehle bhi kayi eid manayien hain

Aaj phir se Eid aayi hai

Pehle khushiyaan saath laati thi

Aaj woh usay bhool kar aayi hai

 

Meri behnein mehndi se haath sajaya karti thein

Aaj bhaiyon ke khoon se hatheliyan sajayi hain

 

Rang barange kapron ki bazaar laga karti thi

Aaj sirf safaid chadar ki bazaar nazar aayi hai

 

Bachay patakhon se eid ko salaam karte thay

Aaj goliyon ki awaaz hi suni hai

 

Phoolon se log ghar sajaya karte thay

Aaj phoolon se qabrein sajayi hain

 

Chaand ki raat ko meri gali mein mela lagta tha

Aaj uss gali mein sunsaani hi chaayi hai

 

Aye Khuda, Eid mein tou khushiyan manayi jaatein hain

Aaj meri maayein, behnon ne khoon ke aansu bahaye hain

 

Ke pichle saal mere bete ne naye kapray silaye thay

Ke mere bhai ne chooriyon ka tohfa diya tha

Ke mere shohar jhumke  laya tha

Ke mere papa naye khilonay laye thay

 

Aye Khuda sirf itni iltija hai tujhse

Aaj unn maoun ke aansoun ka waasta

Aaj unn behnon ki udaasi ka waasta

Aaj unn bewaoun ke tootay huwe dil ka waasta

Aaj unn lawaris bachon ke akelepan ka waasta

 

Aaj ke diin inn pe rehm farmaana

Aaj ke din inn pe apna karam farmaana

Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: October 16, 2011, 02:53:15 AM »
Reply with quote
Bahut khoob admani ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:20:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer