GHAR MERA KABHI TERA YEH BARBAAD KARE HAI...Hasan

by F.H.SIDDIQUI on July 14, 2011, 02:38:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1573 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
(...Bumm dhamaako ke pas manzar mein...)

Ghar mera, kabhi tera,yeh barbaad hai,
Fitne naye burpaa, nayee uftaad kare hai

Mashkook dilo.n ko kare,naashaad kare hai,
Phinkwaaye hai BUMM,phir wahi imdaad kare hai

Saazish ko teri jaan ke anjaan hai duniya,
Kya khoob tu saazish Bade Ustaad kare hai

Lalach mein,koi khauff se,saaish mein bhi koi,
Chup-chaap tere hukm pe bus saad  kare hai

Taaqat hai to khudd ko tu khuda jaan raha hai,
Kis zoam mein ye harkat-e-Shaddaad kare hai

Mismaar,ye jannat teri, ho jaayegi ek din,
Thookega her eik jo abhi bus daad kare hai

Ab baaz bhi aa,chain se jeene de jahaa.n ko,
Kyuu.n apni gharaz mei.n hamein barbaad kare hai



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghar Tera Bhi, Mera Bhi... by angel4u in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
KABHI ASHK HAI , KABHI AAH HAI .......................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
KABHI MANDIR, KABHI MASJID KE DAR PER.............HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3  All »
KABHI NA KABHI ............................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
YAAR MERA , MERA NAHI THA KABHI .............. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
GUMboy
Guest
«Reply #1 on: July 14, 2011, 03:13:15 PM »
Reply with quote
kaabil-e-taarif.. Bahut dardnaak lafzo se vistruut kiya bhai.. Waakai bahut khub likha..

Gharo me apne aatanki maaz kare hai,
bolo iss aatank ka kon naash kare hai...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: July 14, 2011, 06:38:24 PM »
Reply with quote
 P.S:correction-Ist line read;...barbaad kare hai4th she'er-saazish      4 saaish...Hasan
Logged
GUMboy
Guest
«Reply #3 on: July 14, 2011, 06:53:33 PM »
Reply with quote
bhai, aap modify karke shayri durust kar sakte hai..
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: July 15, 2011, 03:25:09 AM »
Reply with quote
ghazal dil ko choo gayee hasan bhai tareef ke liye mukammal alfaaz nahin mil rahe

Dr.Surendra Saini
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: July 15, 2011, 04:03:43 AM »
Reply with quote
GUMboy ji,ghazal ki dad ke liye shukriya.Correction maine aap ke she'r main nahi kiya hai.Ghazal post karne mein kuchh ghaltiyaan hui thhin jinko correct kiya hai.Hasan 
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: July 15, 2011, 04:11:38 AM »
Reply with quote
Dr. saheb, ghazal pasand farmaane ke liye shukriya.Asl shaatir dimaagh ki taraf ishaara kiya hai jo khel bhi khel raha hai aur hamdardi ka dhong bhi rach raha hai.Ummeed hai ki iss se kuchh Food for Thought milega .
Logged
GUMboy
Guest
«Reply #7 on: July 15, 2011, 04:51:35 AM »
Reply with quote
bhai, maine bhi apko apki shayri durust karne ke baare me kaha tha.. Jane do, apne ab durust kar diya hai..
Take care..
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #8 on: September 25, 2011, 07:47:28 AM »
Reply with quote
(...Bumm dhamaako ke pas manzar mein...)

Ghar mera, kabhi tera,yeh barbaad hai,
Fitne naye burpaa, nayee uftaad kare hai

Mashkook dilo.n ko kare,naashaad kare hai,
Phinkwaaye hai BUMM,phir wahi imdaad kare hai

Saazish ko teri jaan ke anjaan hai duniya,
Kya khoob tu saazish Bade Ustaad kare hai

Lalach mein,koi khauff se,saaish mein bhi koi,
Chup-chaap tere hukm pe bus saad  kare hai

Taaqat hai to khudd ko tu khuda jaan raha hai,
Kis zoam mein ye harkat-e-Shaddaad kare hai

Mismaar,ye jannat teri, ho jaayegi ek din,
Thookega her eik jo abhi bus daad kare hai

Ab baaz bhi aa,chain se jeene de jahaa.n ko,
Kyuu.n apni gharaz mei.n hamein barbaad kare hai






bahut khoob siddiqui ji.

matle mein pahle misre mein ...barbaad kare hai  choot gaya hai.


aur aakhri sher mein..meri nakara samajh ke mutabiq ..kyon apni ghazal mein hamein aabaad kare hai to kuch khull ke khyaal zaahir hogaa. aisa mujhe lagta hai. waise aap to ghazal ke maahir hain. aur behtreen khyaal ka izhaar kiya hai. daad daad aur kaafi daad
Logged
awais_007
Guest
«Reply #9 on: September 25, 2011, 08:21:21 AM »
Reply with quote
bahut khoob,, bahut achi.. Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: September 25, 2011, 09:06:03 AM »
Reply with quote
mb saheb,hausla afzai ke liye shukriya.Jeehaan,matle mein lafz 'kare' chhoot gaya thha jiska  correcion main ne post kar diya thha.Aakhri she'r mein lafz 'barbaad' hi sahi hai kyuunki jiski taraf ishaara hai woh hameiN aapas mein mashkook kar ke aur lada ke yaani divide and rule ki policy per chal ke apni gharaz yaani hum ko apne dictates per chalane ke liye majboor kar raha hai.Ghazlon mein to hum aap pyar ke rishte se bandhhe hain insha allah hamesha aabaad raheinge.Aapka eik baar phir shukriya.Hasan
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #11 on: September 25, 2011, 09:20:20 AM »
Reply with quote
mb saheb,hausla afzai ke liye shukriya.Jeehaan,matle mein lafz 'kare' chhoot gaya thha jiska  correcion main ne post kar diya thha.Aakhri she'r mein lafz 'barbaad' hi sahi hai kyuunki jiski taraf ishaara hai woh hameiN aapas mein mashkook kar ke aur lada ke yaani divide and rule ki policy per chal ke apni gharaz yaani hum ko apne dictates per chalane ke liye majboor kar raha hai.Ghazlon mein to hum aap pyar ke rishte se bandhhe hain insha allah hamesha aabaad raheinge.Aapka eik baar phir shukriya.Hasan


maaf karein ghalti meri hi thi main ne do baar padha to mujhe gharaz jo hai wo ghazal laga. iss wajh kar main se apni samjh aur pure sher ke hawale se abaad kaha. warna pura sher moqammal hai.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: September 25, 2011, 01:23:09 PM »
Reply with quote
Awais saheb.zarranawazi ke liye bahu bahut shukriya.Hasan
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #13 on: September 25, 2011, 01:35:04 PM »
Reply with quote
siddiqui sahab ...shama bandh diya,,,,,daaad kabool karen ,,,,bahur khub kaha hai
(...Bumm dhamaako ke pas manzar mein...)

Ghar mera, kabhi tera,yeh barbaad hai,
Fitne naye burpaa, nayee uftaad kare hai

Mashkook dilo.n ko kare,naashaad kare hai,
Phinkwaaye hai BUMM,phir wahi imdaad kare hai

Saazish ko teri jaan ke anjaan hai duniya,
Kya khoob tu saazish Bade Ustaad kare hai

Lalach mein,koi khauff se,saaish mein bhi koi,
Chup-chaap tere hukm pe bus saad  kare hai

Taaqat hai to khudd ko tu khuda jaan raha hai,
Kis zoam mein ye harkat-e-Shaddaad kare hai

Mismaar,ye jannat teri, ho jaayegi ek din,
Thookega her eik jo abhi bus daad kare hai

Ab baaz bhi aa,chain se jeene de jahaa.n ko,
Kyuu.n apni gharaz mei.n hamein barbaad kare hai




Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: September 25, 2011, 03:22:12 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya,sunil ji.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:38:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer