KHUDA KE NAAM--mazHur

by mazHur on July 12, 2015, 02:50:48 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 863 times)
mazHur
Guest
Reply with quote
My wife,43,passed away on 5th July 15 after getting critical burn injuries on 4th July 15 due to explosion of petrol bottle stored for the power  generator.

Like Poe's Annabel Lee she too was my Love and Soul....she will always be missed.

Here is a couplet i wrote upon her demise...

KHUDA KAY NAAM.....

KOI TOHFA BHI LETA HE WAPAS?
TU MAGAR DAY KE CHEEN LETA HE
MEINAY  MAANA KE TU KHUDA HE MAGAR
APNAY BANDOAN SE BHI TU CHOTA HE

BY mazHur
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: July 12, 2015, 04:20:21 AM »
Reply with quote
Afsosnaak waaqea hai , Allah marhooma ki maghfirat kare . Yeh sadma bahut bada aur naaqaabil e faramosh hai . Magar Khuda ki shaan mein aakhiri misre jaise alfaaz munaasib naheen . Astaghfirullah . Allah aapko sabr aur hidaayat de . Aamin 
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #2 on: July 12, 2015, 11:22:22 PM »
Reply with quote
mazHur Sahib barhaa dardnaak waaqea huaa hai aapke saath jiskaa mujhe bahut dukh hai. Iss mein khuda ko beech mein naa laayaa jaaye to achhaa hai. Main samajhtaa hoon ke khuda ko insaan ne khud banaayaa thaa apne mushkil waqat ke liye. Iss liye ussey khonaa munaasib naa hogaa. Khuda aur insaan kaa rishtaa bahut delicate hotaa hai aur woh delicate hee rehnaa chaahiye, ussey torhnaa bhi nahin chaahiye aur zayaadah mazboot bhi nahin honey denaa chaahiye. Khaaskar andhaa wishwaas to bilkul nahin honaa chaahiye.
Surindar. Nagpal
Logged
Saavan
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2015, 02:52:18 AM »
Reply with quote
Aap Udas na ho Dost..
Allah pe Bharosa rakhe...
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #4 on: July 14, 2015, 06:30:00 AM »
Reply with quote
इस दुःख की घड़ी में आप हौसला बनाये रखिये.....

Logged
mazHur
Guest
«Reply #5 on: July 15, 2015, 05:23:42 AM »
Reply with quote
Afsosnaak waaqea hai , Allah marhooma ki maghfirat kare . Yeh sadma bahut bada aur naaqaabil e faramosh hai . Magar Khuda ki shaan mein aakhiri misre jaise alfaaz munaasib naheen . Astaghfirullah . Allah aapko sabr aur hidaayat de . Aamin 

YE KAHAAN KEE DOSTI HE K BANE HEIN DOST NASEH
KOI CHARA SAAZ HOTA KOI GHUM GHUSAAR HOTA

BHAYYA ..
Mere naqis khayal mein Insaan ko khuda ne apne image mein banaya he...agar ye baat sahih he to jo traits insanoan mein paye jaate hein woh khuda mein bhi zaroor honge. App isma e tabarak taala ka mutalaya kar lein,,,,aur un ke mafhoom per ghaur karen

agar mere shikwa e khudawandi se aapki dil shikni hui he to muafi chahta hoon

khair andesh
 mazhur
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #6 on: September 07, 2015, 11:43:03 AM »
Reply with quote
ishwar unki aatma ko shanti pradaan kare aur aapko dard sehne ka haisla de...........
Logged
mazHur
Guest
«Reply #7 on: September 07, 2015, 11:40:16 PM »
Reply with quote
Aap sab dostoan ka dili shukriya
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:16:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer