maa ki yaaden

by ranjana on May 14, 2006, 03:03:10 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1861 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
MAA har pal tum saath ho mere , mujh ko yeh ehasas hai,
aaj tu bahut dur hai mujhse , par dil ke bahut pass hai,

tumhari yaado ki woh amulaye dharohar
aaj bhi mere pass hai .
jindagi ki har jung ko jeetne ke liye
apne sar par aaj bhi mujhe mehsus hota tera haath hai

kaise bhul sakti hun Maa main aapke haatho ka saneh,
jinhone mooh mein mere dala tha pehla nivala,
lekar mera haath apne haatho mein
duniya ki raha mein mera pehla kadam tha jo dala
jane anjane maaf kiya thaa meri har galti ko
har shaarat ko hans ke bhulaya thaa
duniya ho jaye chhaye kitni paraee,
par tumne mujhe kabhi parya nahi kiya tha,

aaj nahi ho tum jism se saath mere,
par apni baato se , apni amulaye yaadon se
tum har pal aaj bhi mere saath ho..........
kyuki MAA kabhi khatam nahi hoti .........
tum toh aaj bhi har pal mere hi pass ho.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dhundli yaaden by samnoj in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Bikhri yaaden... by Pundreek in Shayri for Dard -e- Judai
Delhi Ki Yaaden ... by NewYorker in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
YAADEN.................... by jay091081 in Shayri for Dard -e- Judai
Yaaden by Indu Verma in Miscellaneous Shayri
Meena is back
Guest
«Reply #1 on: May 15, 2006, 06:39:40 PM »
Reply with quote
wonderful ranjana ji...bohot hi pyara aur sacha likha hai apne! behat pasand aya mujhe!

Maa se pyara koi nahi yaha pe,
is duniya ke ane ke baad, ek ma ko hi jana hai,
Log Ishwar ko poojte hai, unse hi pate hai,
par maine Baghwan se zada tume hi mana hai!
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2006, 10:06:44 PM »
Reply with quote
ranjana... superb... simply...

baap ka diya hua saadi shaadi tak
maa ka diya hua saadi maa ban ne tak
pati ka diya hua saadi sindhoor reh ne tak...

kabhi se is dharti jan ko sehte aa raha
maa bhi vaise hi apni bachche ko sehte aa raha
agar seh nahin paya toh woh mara hua shav
maa se bad kar kya hain idhar sthaayi...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: May 17, 2006, 04:11:22 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena is back"
wonderful ranjana ji...bohot hi pyara aur sacha likha hai apne! behat pasand aya mujhe!

Maa se pyara koi nahi yaha pe,
is duniya ke ane ke baad, ek ma ko hi jana hai,
Log Ishwar ko poojte hai, unse hi pate hai,
par maine Baghwan se zada tume hi mana hai!


shukriya Meena ...........maa shabad hi ek sundar kavitaa hai ...........aapko pasand aaya accha laga........

maa duniya ka woh moti hai
jiski chamak har bache ki aankh mein hoti hai
yeh moti gum ho jaye toh dil udas ho jata hai
jindagi ki raah per bas andhara hi nazar aata hai
per maa kahi bhi rahe uski duwa har bacha paata hai..........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: May 17, 2006, 04:13:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "mrkotians"
ranjana... superb... simply...

baap ka diya hua saadi shaadi tak
maa ka diya hua saadi maa ban ne tak
pati ka diya hua saadi sindhoor reh ne tak...

kabhi se is dharti jan ko sehte aa raha
maa bhi vaise hi apni bachche ko sehte aa raha
agar seh nahin paya toh woh mara hua shav
maa se bad kar kya hain idhar sthaayi...


shukriya MK ji
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #5 on: May 17, 2006, 06:52:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
MAA har pal tum saath ho mere , mujh ko yeh ehasas hai,
aaj tu bahut dur hai mujhse , par dil ke bahut pass hai,

tumhari yaado ki woh amulaye dharohar
aaj bhi mere pass hai .
jindagi ki har jung ko jeetne ke liye
apne sar par aaj bhi mujhe mehsus hota tera haath hai

kaise bhul sakti hun Maa main aapke haatho ka saneh,
jinhone mooh mein mere dala tha pehla nivala,
lekar mera haath apne haatho mein
duniya ki raha mein mera pehla kadam tha jo dala
jane anjane maaf kiya thaa meri har galti ko
har shaarat ko hans ke bhulaya thaa
duniya ho jaye chhaye kitni paraee,
par tumne mujhe kabhi parya nahi kiya tha,

aaj nahi ho tum jism se saath mere,
par apni baato se , apni amulaye yaadon se
tum har pal aaj bhi mere saath ho..........
kyuki MAA kabhi khatam nahi hoti .........
tum toh aaj bhi har pal mere hi pass ho.........



 :cry: wah Mummy Aap ne to ekdam sahhi se :razz:
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: May 17, 2006, 08:02:47 AM »
Reply with quote
thanks shubhu ............maa har dam apne bacho ke pass hi hoti hai....... Usual Smile
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #7 on: May 17, 2006, 05:21:31 PM »
Reply with quote
bohot ache ranjana ji..well said...true feelings!!

 :D
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:46:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer