Maa

by ravneetpurohit on December 20, 2011, 12:56:18 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1137 times)
ravneetpurohit
Guest
Reply with quote
Description-
freiends
you always hear sachaa dil bolta hai
par i write smething jisme dil sach bolta hai
you can say this my new poem
or my new story but i say
truth said by my heart....

Poem-
MAA

Aaj chalne se phle soach rahi hai kalam meri,
shayad likhne se bhi dar rahi hai kalam meri,

Aaj likh nai paa raha hoon mein khuch kyu,
hatho ka hi sath choad rahi hai kalam meri,

Soacha phoocho usi se kya hua hai aaj tuje
Kyu rut gai hai tu aaj mujh hi se..

Wo boli míen to Sarth de rahi hoon kabhi se tera,
Par tere hath he choad rahe hai har bar muje.

Hatho se phooch esa kya ho gaya hai use,
Kya wo nai sun rahe hai tuje……


Míene hatho ko bola tu kyu aaj muj se lad raha hai,
Tu Kyu meri kalam ke sath aaj khel raha hai,

Hatho ne kaha kalam pakad rakhi hai meine kabhi se.
Par sabad hi nai mil rahe hai muje tujh hi se,

Tu apne sabado ko phoocho kyu chup hai,
Aaj wo kab ke..kyu gume hai sare aaj subh se.,

Meine sabdo ko bola tum kyu kuch nai kehte hantho se,
meri suni hai kalam aaj subh hi se...

Sabdo ne kaha hume kuch nai sunai de raha tere dil
Se.. hum khud betaab hai likhwane ko aaj teri kalam se.

Meine dil ko pocacha aaj kyu nai bulwata hai tu mere
Sabdo se..meri suni hai kalam aaj subh hi se…

Wo muj par hans kar reh gaya
Mein phir bola use,

Par wo kuch nai bola par na hi hansa wo is bar.
Bas dekhe ja raha tha muje bar bar.

Mein kaha tu aaj kya dekh raha hai kabhi se..
Tuje ye sobha nai deta,
zinda hone par murdapan
kabhi acha nai hota..

Dil phir hasa muj par…Aur bola

Khuch khas nai..par míen kabhi se teri himmat
Dekh raha hoon teri MAA
Par kavita likhne ki jurat dekh raha hoon.

Uske dil ko jala apne dil ko dilasa
Dene ki teri koshish dekh raha hoon..
Uske dil mein aaj bhi tere liye behisabh
Pyar dekh raha hoon.

Likh nai sakta tere jaisa beta apni
“MAA” par khuch bhi
Phir bhi míen teri aajmish dekh raha hoon,

Aaj míen duniya ke sabse baagi ladke ke
Dimag me upji ek khurapat dekh raha hoon,


Aaj mein us aurat ki kho chuki hansi dekh raha hoon,
Aaj mein uske aarmano ki aarthi le jate
Tuje hi dekh raha hoon.

Saawan gaya kab ka baras ke
Par aaj bhi har wqt barste uske
Do kor dekh raha hoon,

Aaj mein teri maa mein basa ek sansar
Dekh raha hoon.
Likh sakta hoon mein kisi par bhi likh
Nai saka mein MAA par
Phir bhi teri najayaz mang dekh raha hoon.

Aaj mein wo aanchal dekh raha hoon,
usme meila hua tera bachpan dekh raha hoon,
Aaj míen jagti bhukhi teri maa ki wo raat dekh raha Hoon,

Pass bhar pet sota tera poora parivar dekh
Raha hoon.

Nai hai mere pass waqt teri kavita ke liye…
Kynki mein aaj sachai dekh raha hoon…

Aaj mein dharti par utri bhagwan ki murt
Dekh raha hoon....bhagwan.....dekh raha hoon....

Chup hoon mein aaj, kalam se choot gaya mera hath, nishabad ho gaya mein aaj sun kar dil tere man ki bat...

Kya bolun dil tuje ab is shitani dimag ke jajbat....

Ro bhi nai sakta mein ab ankhein bhi nai manti mere arman…
Sharam se kat gaye mere kavita likhne ke wo
Aayam,
aaine mein bhi nai dekh paa raha hoon ab aaj mein apni wo aankh...

Par tu jan le ae dil mera haal..na chate hue
Bhi jarrur meine thode us aurat ke khwab..
Par nai choda míen aaj bhi uska wo sath…

Maa bina aaj bhi nai reh pata hoon,
Míen usi ka aashirwad leke aaj kisi se bhi
Lad jata hoon,
Aaj bhi míen sirf usi ko pyar karta hoon..sirf isiliye..us se pehle míen “GANGA BEH JAOON” YE khwish me roj karta hoon……
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: December 20, 2011, 02:35:48 AM »
Reply with quote
Purohit ji
accha likha hai..par bahut lamba hai..
short me koshish kijiye..log padghenge..
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: December 20, 2011, 03:39:10 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause bahut achhaa kahaa hai par gaagar men saagar bhariye
Logged
ravneetpurohit
Guest
«Reply #3 on: December 20, 2011, 01:32:04 PM »
Reply with quote
thanx for appriciation

muje MAA pe likte kam samay hua hai
'aur hath MAA pe likte wqt ruk nai paate..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:28:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.329 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer