doston aaj meri shaadi ki doosri varshganth hai aur ye kavita maine apni wife liye likhi hai ...
aap logon ke sath share karne ka dil hua..
Dil me dafan jo dard hain, kabhi inko bhi samajho tum,
Beawaz ubharati ja rahi, har aah ko samjho tum,
Kabhi jo bah nahi paaye, un ashqon ko samjho tum,
Abhi sookha hua hai jo, wo ashqon ka samandar tha…..
Mai gahri neeend me so jaun, dheeme dheeme tum aao,
Mere adharon ko choomo tum, mere maathe ko sahlao,
Mai fir chounk ke jagun, hans ke tum chitak jaao,
Kabhi mai kah nahi paaya, jo mere dil ke ander tha………
Ye nanhi “prince” ki baaten, ye uske khel ye muskaan,
Iska bhola sa chehra, wo iski pyaari si pahchan,
Mujhe kuch yaad dilate hain, mujhe peeche le jaate hain,
Abhi "sanzeeda" baitha hun, kabhi mai bhi khilandad tha,
Kabhi tha rounak-e-mahfil, abhi bilkul akela hun,
Kabhi khushiyon ka mazma tha, abhi dukhon ka mela hun,
“Moula” ne mera “maan” kuch is tarah toda,
Abhi "haara" hua hun mai, kabhi mai bhi sikander tha……..
Mujhpar uthati ungaliyon ka kya zawab dun,
In fabtiyon aur taano ka kya zawab dun,
Mujhpe hansane wale shayad jaante nahi,
Jo 'boot" sa bana baitha hun, mai bhi dhurndhar tha,
Mujhe mom kar do tum pighalna chahta hun mai,
Wo bholapan mujhe de do, machclna chahta hun mai,
Mere toote hue dil ko, sameto aur sahejo tum,
Abhi jo toota-bikhra lagata hai, kabhi pakiza mandar tha
Aao chalo sukh dukh bante,
aao chalo hisab Karen,
Ye lo rakho kuch phool mile hai,
Wo dedo mujhe, kante hain,
Ye bhi rakho ye khushiyan hain..
Wo dedo wo dukh mere hain,
Ye kali tum rakhlo,
Wo gaththar jimmedari ka mujhe de do,
Sare gile sabhi shikayat..
Chalo bhulkar baat Karen
Aao chalo hisab Karen,
Ashq gamon ke mujhe thamao,
Lo ye khushi ke aansoo saare,
lao mujhe do dard tumhaare....
apne hisse ki baicheni do
tanhai do, lachari do,
inn Do Kavitayo ke liye,Laakho Daad Haazir ho...
Bahut bahut Bahut Aur bahut Khooob Sanjeev Bro
Itne Gehre Jazbaat ke Padhte-Padhte,Yakeen maaniye Aankhein Nam Si Ho Gayi..
Bahut Hi Sache Aur bahut Hi Ache Jazbaat!!!!