Qissa Khalil ka

by ayyubsalamat on October 31, 2012, 04:11:55 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 750 times)
ayyubsalamat
Guest
Reply with quote
    *****QISSA KHUDA KE KHLEEL KA*******
Qissa main kya sunaau'n khuda ke "khaleel"{A.S} ka,
wo{A.S}  waaqei   khalil   tha Rabb-e-Jalil  ka,

jis waqt bhi khuda ne kaha “hukm hai mera”
fauran kahaa “Khalil”ne “labbaik ya khuda”

rab ne kaha kih sahra me chhoro “ayaal” ko,
bilkul na laaya dil me  kisi bhi s awaal ko.

Hukm-e-Khuda hua to na aaye qaraar mein,
jab tak na chhora 'ahl' ko ek regzaar mein..

Sahra ki dhoop me hui’n behaal ‘haajra’
bete ki pyas ke liye dauree’n jagah jagah.

chakkar lagaye maa'n ne jo bete ki pyaas me,
jaaved kardiya usey Rabb ne tawaaf mein,

aakhir Khuda ke rahem ka darya ubal padaa,
bas edi ki kharaash se chashma ubal padaa.

qurbaniyo'n se unki,ye kya kam mila hamein,
ek eri ki ragad se,ye "zam-zam" mila hamein.

phir hukm aaya Rab ka, "pisar" ko zubah karo,
bete ne sun ke yeh kahaa "Tayyaar hu chlo".

Ankho'n ko band kar ke chhuri ko chala diya,
Kholi jo Aankh to,dikhaa 'dunbah' kataa hua.

dekha jo yeh to ro pade dono "pisar"-"pidar"
sajde me Rab ke gir gaye Dono Pisar Pidar

unke tufail me mili ye "baqra-eid" hai.
qissa puraana ho ke bhi lagta jadeed hai..
...Pisar=beta     Pidar=baap...Ayyub salamat
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ye qissa..! by nishita in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 12 13 »
Qissa Koi Jaise Purana Ho Gaya Hoon by ishu_singh10 in Shayri for Khumar -e- Ishq
QISSA PURANA MUJHE AAJ BHI YAAD HAI.....soudagar by soudagar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Qissa–e-gham……”Sahal”. by sahal in Ghazals « 1 2  All »
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: October 31, 2012, 06:28:44 PM »
Reply with quote
    *****QISSA KHUDA KE KHLEEL KA*******
Qissa main kya sunaau'n khuda ke "khaleel"{A.S} ka,
wo{A.S}  waaqei   khalil   tha Rabb-e-Jalil  ka,

jis waqt bhi khuda ne kaha “hukm hai mera”
fauran kahaa “Khalil”ne “labbaik ya khuda”

rab ne kaha kih sahra me chhoro “ayaal” ko,
bilkul na laaya dil me  kisi bhi s awaal ko.

Hukm-e-Khuda hua to na aaye qaraar mein,
jab tak na chhora 'ahl' ko ek regzaar mein..

Sahra ki dhoop me hui’n behaal ‘haajra’
bete ki pyas ke liye dauree’n jagah jagah.

chakkar lagaye maa'n ne jo bete ki pyaas me,
jaaved kardiya usey Rabb ne tawaaf mein,

aakhir Khuda ke rahem ka darya ubal padaa,
bas edi ki kharaash se chashma ubal padaa.

qurbaniyo'n se unki,ye kya kam mila hamein,
ek eri ki ragad se,ye "zam-zam" mila hamein.

phir hukm aaya Rab ka, "pisar" ko zubah karo,
bete ne sun ke yeh kahaa "Tayyaar hu chlo".

Ankho'n ko band kar ke chhuri ko chala diya,
Kholi jo Aankh to,dikhaa 'dunbah' kataa hua.

dekha jo yeh to ro pade dono "pisar"-"pidar"
sajde me Rab ke gir gaye Dono Pisar Pidar

unke tufail me mili ye "baqra-eid" hai.
qissa puraana ho ke bhi lagta jadeed hai..
...Pisar=beta     Pidar=baap...Ayyub salamat
nice
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: November 01, 2012, 01:06:16 AM »
Reply with quote
good
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:58:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer