Yom-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!

by abdbundeli on August 15, 2008, 04:03:03 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1308 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
'Youm-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!
 Abd-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!

 Qoum ki barkat ho; dushman khatm houn, ho bey-naqaab;
 Dahar-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!

 Koyee dahshatgard ho paaye na, deykho, kaamyaab;
 Jashn-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!

 Titliyoun-sey kheyltey bachchey gulaaboun-sey khilain;
 Husn-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!'
 
 Ghat rahee firqaaparastee, badh raheen nazdeekiyaan;
 Zouq-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!
 
 Har taraf hain mahfilain adbee, sadaa-e-moosiqee;
 Lutf-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!

 Koyee dahshatgard, ho paaye na, dekho, kaamyaab;
 Fakhr-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!

 Kaarkhaaney badheyn, sabzey jawoun tak aabaad hon: 
 Fasl-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!

 Jaankaaree badhey! tootain mazhabee taareekiyaan!
 Nasl-e-aazaadee mubaarak ho tumhain ae dosto!!

                                      - abd bundeli / 15th August 2008



 

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Valentine Mubaarak Ho Jaanam! by Ravi_Dave in Shayri for Khumar -e- Ishq
AAP KO EID MUBAARAK HO KHAANDAAN KEY SAATH! by abdbundeli in Occassion Specific Poetry
AADAMI KEE HAR AULAAD KO EID-UL-AJHAA MUBAARAK HO! by abdbundeli in Occassion Specific Poetry
Eid Mubaarak ho Yoindia ! by deepika_divya in Occassion Specific Poetry « 1 2  All »
HOLI MUBAARAK by amit_prakash_meet in The Wishes and Celebrations
Talat
Guest
«Reply #1 on: August 15, 2008, 08:20:03 AM »
Reply with quote
Nice one Abd Ji....Yaum-e-azaadi mubarak ho !
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2 on: August 15, 2008, 09:22:47 AM »
Reply with quote
Ji vakeel babu...Same To You
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: August 16, 2008, 03:36:27 PM »
Reply with quote
Muhammed sa'b,
Mein 'vakeel' naheen hoon! LLB degree zaroor meiney haasil ki thee! Mein to padhney-padhaaney-likhney-ghoomney waalaa aadmi hoon. Peishey sey Engineering / Technology / Science kaa teacher rahaa hoon, aur dil-o-dimaag sey LITERATURE kaa 'PUJAAREE'. Literature ki hazaaroun kitaabeyn Hindi / English / Sanskrit ki padhney key baad, 1980 AD sey Urdu Literature bhi padhaa, to Urdu Shayari mein 'suggestive imagery' key bey-misaal isteymaal ney meyraa 'man moh' liyaa. Saikroun 'shayaroun' key kalaam ( ziyaadahtar 'dev-nagri' script mein) padhey, aur khasi gahraaiyoun tak un mein 'gotey' lagaaye. Shahaadat Hasan Manto ki bahut see kahaaniyaan bhi padheen, Umar Khaiyyaam ko English / Hindi tarzumoun mein padhaa. Hindi / English mein 1955 sey hi likhney lagaa thaa, baad mein Urdu(Dev-naagri lipi) mein bhi likhney lagaa. 1962 mein, eik 'maah' meiney paanchaween tak ki Urdu seekhee thee, 2003-'04 mein fir sey seekhee, aur Urdu (Farsee Script) mein bhi likhney lagaa. 2005-'06 tak 06 kitaabeyn Urdu mein bhi 'chhapwaa' deen. Aur, ab YoIndia mein koyyee 03 'maah' sey post kar rahaa hoon. Ab kisee Urdu (Farsee Script) kee Website par post karnaa shuroo karoongaa, kyoun ki, mein Urdu type kar leytaa hoon; ROMAN Script mein Urdu post karnaa mujhey 'kathin' lagtaa hai, aur deir bhi bahut lagtee hai!
            - abd bundeli                                       
Logged
syednaami
Guest
«Reply #4 on: August 16, 2008, 04:02:32 PM »
Reply with quote
Mubarkan jee Mubarkaan, wadiyan wadiyan galan chal rahi hain.
Abd saahib aur raza saahib hum aap donon se faizyaab hote hone ka sharaf yunhi milta rahe.

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: August 17, 2008, 07:31:16 AM »
Reply with quote
syednaami ji,
'faizyaab' aur 'sharaf' jaisey alfaaz kaa isteymaal kar aapney  hamain jo waqaar-o-izzat bakhshee hai, us key liye shukraguzaar hoon, janaab! Yeh aap kee, aur aap jaisoun kee bhalmansaahat aur taaleemee oonchhaayee hi hai, jo mujhey 'YoIndia' sey jurhey rahney key liye 'preyrit' kartee hai!!
                                        - abd bundeli
Logged
syednaami
Guest
«Reply #6 on: August 18, 2008, 02:57:36 PM »
Reply with quote
Tashakkur ke saath aap ka yeh andaz bahot bhaya.
Urdu aur Hindi ek saath subhanAllah.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:54:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer