AFRIDI. Mohabbat main aksar

by Afridi on September 22, 2008, 06:57:59 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 951 times)
Afridi
Guest
Magar aksar ...
Woh khud anjane main apna ye parda chaak karta hai ...
K jab meri - bohot pehle kahi hui har baat ko woh yaad rakhta hai ...
Aur unhi lafzoon main mere saamne dohra bhi deta hai ...
Youn lagta hai ...
K us ne meri kahi har baat ko yaad rakha hai ...
Woh jaise aik Sahifa ho ...
Woh mujh se ye nahin kehta ...
K us ki khuahish us ko bohot bechain rakhti hai ...
Ya shayad in dinoon woh khud se bhi chupata hai ...
Magar ...
Uski nigaahain aksar us ko nakaam karti hain ...
K saray Jame-e-ulfat k woh bhar bhar kar lutati hain ...
Woh darta hai k kahin woh kho na de mujh ko ...
K koi baat us ki mujh ko us se duur na kar de ...
Woh mujh ko soochta hai ...
Jaagta hai raat bhar woh bhi ...
Magar shayad abhi us ko mohabbat main ....
Khamooshi se hi jalna hai ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AFRIDI by Guest in Other Languages
MOHABBAT MAIN ZID.... by Farah Aziz in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat mein Aksar......Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
RAATON KO AKSAR MAIN by saahill in Love Poetry in Punjabi
MaiN moHabbat hooN moHabbat ko bachaa le koie. by Ghulam Haider in Ghazals « 1 2  All »
Afridi
Guest
«Reply #1 on: September 22, 2008, 07:21:02 AM »
Wo mujko chor k kis haal main hai, yeh kahe mujse
bhala kuch to kehe mujse, kabhi kuch to kahe mujse
main yeh sab manti hoon, kay judai meri khwahish thi
judai maar deti hai, kabhi aa kar kahay mujse
agar yeh fesla lazim hai, to phir faisla ker day
yun Q uljhan main rakha hai, kabhi aa ker kahe mujse
wo apni zeest kis tarha jiye ga, ye kahe mujse
main us ko chor k kia G sakoon gee, ye kahe mujse
Kabhi kuch to kahe mujse, kbhi aa kr kahe mujse…
 
Logged
Afridi
Guest
«Reply #2 on: September 22, 2008, 07:30:23 AM »
..............Kuch Kami C Hay.............

Sham ki sunehri banhon myn jub suraj sama jata,
To sahil ki hawa ko mehsoos krte howe or door ufaq paar aasmaan pr surkhi dekhte howe myn aksar ye socha krta tha k myn tanha nahin hoon.
Meri zindagi myn koi kami nahi hy.
Agr myn kbhi yunhi udas ho jata to apne he daman pe bheegi bheegi palken rakhe ghanton betha rehta,
Aahista aahista andhera chaa jata or meri aankhen jese roshan ho jaya kerteen.
Asman pr pehla sitara muskurata,
Chand gehri neend se bedar hota or mujhe wqt guzarne ka naya bahana mil jata,
1 ke bad 1 dher sare sitare asman pr muskurane lgte,
Chand ki chandni mere chehre pe bikhernay lagti.
Phir jb kafi rat ho jati,
To meri kitaben mera sath dene ko chali aateen,
Or myn apni kitabon myn panah le leta,
lfzon ki rida orhy myn dyr tk ye socha krta k meri zindagi mukammal hai?
Kaheen kuch kami to nahin?
Lekin phir 1 sham TUM meri zindagi myn chali ayeen.
Tum ne mujhe to mukammal kr dia.
Lekin meri zindagi adhoori reh gai,
Q K tum meri zat myn to sama chuki theen,
Lekin meri zindagi myn shamil nahi hoeyn.
Aaj b sb kuch wo he hy,
Sham ki sunehri baanhon myn suraj,
Sahil pr thandi hawa,
Door ufq paar asmaan ki surkhi or wo he meri bheegi palken.
Or ab dil ye chahta hy k TUMHARE daman myn sir jhuka k dyr tk,
Boht Der tak,
Rota rahun.
Ab mehsoos hota hy k tum bin kaheen kuch kho sa gya hy.
........................ KUCH KAMI SI HAI........................
 love9
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:16:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer