byte of feelings

by Dheeraj dave on March 21, 2014, 01:27:47 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 782 times)
Dheeraj dave
Guest
Khoon sane haatho me bhi ab phul sajaaye jayenge
mangto pe hasne wale ab khud mangte ban jayenge
ghalib teri dilli me ab ye ajab tamasha he
lalkile se murdo ke jajbaat sunaaye jayenge...
namee talaashta raha umrabhar wo meri ankho me
aur mene uske hontho ke tabassum ke liye duaa mangi.
•   
kyo itna chup chup rahte ho yaar mere kuchh bolo na
man ki man me kyo rakhte ho yaar mere kuchh bolo na
aankhe bhegi chehra rukha hontho par khamoshi kyo
andar andar kyo marte ho yaar mere kuchh bolo na..
ajeeb shaksh tha ankho se baat karta tha..
Beth kar kinaare pe ye soch raha hu
Kaun lahro sa chuukar gayee mujhko...
gunaah saare uski jubaan ne kiye he lekin
mene rihaai di uski ankho ki gawaahi lekar
Mein bura hi sahi tu bhala hi sahi
apne rishtey me ye faasla hi sahi
tujhe mubarak ho tamam khushiya
En nigaaho ke tale jaljala hi sahi..
Jajb-e-ishq utar gaya he jigar se mere
meri nigaah ab koi gunaah nahi karti...
muddaton baad tujhe jee bhar ke dekhne liye
sard raaton ka ye lamba safar he manjur mujhe
bahut chaha bahut toote bahut roye
yaar tune jo diya bahut diya mujhko.
es daur me wo har ek gunaahgar he
kisi ki mohabbat me jo wafaadar he..   

shahar ki tang galiyo se jab bhi gujarta hu
mujhko tere jism ke saanche ki yad aati he..


Badalna uski aadat he phir bhi na jane kyo
kaii bar wo badla par ye aadat nahi badlee
panja ho kamal ho chahe hatho me ho jhadu
chand chehre hi badle he bas siyasat nahi badli
Na jane kitne hi shikwe shikayat he tumse
magar sach he ab bhi mohabbat he tumse..
Hajaar khushiyaan sahi mere daman me magar
sab pe bhari he ek ranj tujhe khone ka......
Na tmhe paane ki chah na tmhe khone ka dukh
Saath mere mar gaye h ab mere jajbaat bhi....
•  Chumna tujhko agar tha jurm to deta sajaa
Chumkar tu bhi mujhe kyo hausla deta raha....   
•  Bahut maayus he wo bhi mujhe maaloom he lekin
Uski badgumaani usko kuchh kahne nahii deti...
•  mujhko mil jate he yunhi khyaalo me safar karte huae
teri ankhen teri baaten tera chehra teri jhidkan....   
•  De
•  mein tujhe kitna bhi bura bolu magar,
tujhe koi aur bura bole to bura lagta he..   
•  
mein sitaaron ki aas kyo rakhu
jameen ki dhul bhi jab mujhe nahi milti...
aj phir ankhon ne samandar ugla
aj phir bahut yaad aye tum...
Tune jana nahi jana mujhe,maine jana ke mera pyar he tu
muddato ankh meri soyee nahi,meri raato ka gunahgaar he tu.
•  Usko he ye bharam ke use mil jayenge bahut se
mujhko he ye gumaan ke koi bhi mujhsa na milega...   
•  D
Tujhko jo nahi badalni fitrat apni
mein bhi kyo badlu mizaaz apna....
apne maajee(past) se use pyar bht h shayad
saath rahkar bhi mere saath nahi rahta wo...
Phirta rahta he wo bajaaron me
ishq chahta he par farishton sa...
Maine bhi wohi paap kiya jo karta he jamana aksar
ek phool ko toda use masla or phenk dia....
Bahut huaa ab nahi rounga uski khatir
ye baat kah kahkar mein kaii bar ro diya..
Tera khayaal me rahne ki hi talab he mujhko yun bhi yar to tu roj badalti he lihaafo jese..
Meri ankhon se bikhar rahi thi syahi or usne
gaalo pe ungaliyaan pher ke ashaar likh diye...
jhtha he wo ya ke bas mera man bahlata he
nahi aaya jisne aane ke kayee taar likh diye...
Tabaah hokar mila tujhse aur milkar bhi huaa tabaah
bahut kuchh ek jesa tha tujhse milne aur bicchadne me..
Aankh bheegi honth sukhe aur gala rundha hua...
Ishq ki wo khilkhilahat jo de gayee so de gayee...
kaii bar tumhe aise hi chhua he lekin yaadon me ab bhi wo pahli chhuan wo pahli nazar baki he..
Mera sab kuchh bs ek mulakat me lootne wale
In ankho me ab bhi teri ankho ka asar baki he...
Tumse accchi he tumhari tasveer ke kaii barso se
Talkh rishto ke baad bhi khilkhila rahi he yuhi...
Akelapan udasi aur bechaini umar bhar ki.....
Mohabbat chhod jati he jab bhi humko chhod jati he.
Tu jo chahe wo hi me chahu, tu na chahe jo bhi me chahu
Meri khushiyo se nahi tu vabasta.kyu bhala phir tujhko me chahu...
Mohabbat ke sapne jitne haseen hote he
Utni hi badrang hoti he haqeeqat uski.
Chalegi saans tab talak nibhaunga me sabhi rishtey..
Thak gaya jis din kah dunga "alwida"me bhi..
mohabbat me wafadari,ye kesi baat krte ho
wafaye khwaab he pyare thagi se pyar kr ab to...
Thaga usne agar mujhko to btao kya bura kiya
mera apna tha wo aur usse mujhe umeed bhi ye thi...
Itne kandhe to janaaje ko bi nhi milte
jitne kandho ne chalaya he meri saanso ko...

bhala kahte the jise sab wo bahut bura nikla
sochta hu ab kisi bure pe daanw khelu mein...
chalo kisi faqeer ke haathon me dedo mulk mera
wo sambhal to rakhega use apne katore ki tarah.
Beparwah phir se gunaah karunga mein..
pahle mhbbat ki aur ab wafa karunga mein...
•  Bahut sun liya khudke bare me bhala mene
ab bura kaho ke kuchh to naya lage mujhko...   
•  Jisko chaha use ji bhar ke mohabbat baanti
Jism ko chheel ke use khun ki dawaa di mene
Bas yahi jurm tha kisi ka kbhi bura na kiya
Bura jisne bhi kiya mera usko duaa di mene
Tune mohabbat ki he to nibhana bhi badi shiddat se
acche jism to pa loge par sacche dil milenge mushkil se.
kyun bato-bato me ro deta he man
ishq ki majburi bhi kesi majburi he...
Ghootan jab bhi kisi ke khauf se azaad hoti he
khushi tab raj karti he or zindagi abaad hoti he...
Sudharne ke liye mera bigadna bhi jaroori tha.
jo girta hi nahi gar to mujhe chalna kaha ata......
•  Ummeedon ka bojh jab badhne lagta he
Aadmi tab bemaut marne lagta he......   
•  raat joganiya kitna royee,raat joganiya kitna royee
sahmi-sahmi rahi chandani badal sang lipti or soyee
jogi ka to kandha bheega or jogan ki puri godi
bistar bhi itna geela tha ke jaise puri duniya royee
kaii dino se chhitak rahi thi dukh ki dori akhir tooti
un ankhon se moti bikhre,en haathon ne mala poyee.......
Dhundhte kya ho o deewano
ishq wale yaha nahi rahte..
udte firte he parinde aksar
ek hi ped pe nahi rahte..
sab ye kahhte he chhod de usko
kaise chhodu ye nahi kahte...



   
 

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
feelings by Harleyboy1 in Shayri-E-Dard
feelings..............dil se dil tak by smile_deep1 in Shayri for Dard -e- Judai
feelings..............dil se dil tak by smile_deep1 in Shayri for Khumar -e- Ishq
feelings..............dil se dil tak by smile_deep1 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 10 11 »
From where does these feelings come from??!!!!!!!!!!!! by Jahangir in Chit - Chat & General Discussion
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 21, 2014, 10:02:20 PM »
 Applause Applause
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #2 on: March 22, 2014, 02:32:37 AM »
 Applause Applause Applause Applause icon_flower
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 03:48:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer