agp
Guest
|
Khuda ko kiseene dekha to nahi, Phir bhi uska ehsaas dil mein panaptha hai. Har mod pe hamein sahi raah dikhlaathe, Ek anjaan sahaare ka ehsaas jagaatha hai. MAA, un saare ehsaason ki hakikat bani** Har jindgi ka khubsurat masiha bani**
Har nanhi jaan ko mile nau mahinon ka hasin lamha, Har pal mein jaise ek nayi jindgi jee leti hai. Uske sabr mein aati hai kayi takleeph phir bhi, Nanhe kadmon ki thokar bhi hoton ki hasi ban jaathi hai. MAA, hamaare vajud se judkar saason ka hissa bani** Hamein jindgi dekar anginat khushiyon ka kissa bani**
Hamaare sau nakhre uthathe apni jaruraten bhul gayi, Hamaare kadmon ke aahat tale din aur raat ka karti hisaab. Shukrguzaar rahenge uparvaale ka yeh jindgi jo de di, Har najaara hai khushnuma, yeh rishtha hai lajawaab. MAA, hamaare har kamjor ghadiyon ki taakat bani** Dil mein dabe gumnaam ghaavon ki raahat bani**
Imthihaan ke ghere mein karte hai sawaalon ka saamna, Woh apni raaten gawakar hamaari umid banti hai. Mupht mein mili hamaari shikayat suljhaate, Duriyon ke har bahaane ko dur kar jaati hai. MAA, hamaari har neendon mein meeta sa khwab bani** Loriyon se kahani tak pyar ka ek maasum saphar bani**
Bete ki tarakki mein uske har jasbaat kiltein hai, Beti ki doli uthe tho haste huye vida karti hai. Sunepan ki khamoshi mein sannate ko hataathi hai, Naye jindgi ki dor mein pehla sujhaav banti hai. MAA, hamaari kaamyaabi mein chupi hausale ki vajah bani** Hamaari har koshish mein duvavon ki phariyaad bani**
Kitne hi labj jod lun phir bhi kam hi hogi, Taariphon ki mehphil mein uska naam mera gurur hai. Uska aanchal hi meri duniya meri jannat bhi, Jindgi ka saphar jahan bhi chale, meri har yaad mein uska bayaan jarur hai. MAA, mere jeevan ki har subah mein jindgi bani** Ajnabi si duniya ke aangan mein meri parchaayi bani**
|