rehguzar aashiyaaN hai ab mera

by zarraa on May 25, 2012, 08:46:49 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1029 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile

dil panaahoN meiN laga kab mera
rehguzar aashiyaaN hai ab mera

jee raha hooN yehi pehchaan bahaut
mar gaya naam kahaaN tab mera

kab tha sood-o-ziyaaN ka ilm mujhe
poochh bik’ne ka mat sabab mera
(sood-o-ziyaan = profit and loss)

kaam haajat jo karaaye kam hai
baagh meiN khalq ke kartab mera
(haajat = necessity, khalq = people / public)

man’ne-waaloN mujhe butt dekho
haal tum mai’kade meiN shab mera

muNh chhhupaata hooN sharm se jinse
naam yaad aaye unheiN kab mera

be-wajah de mujhe ilzaam jahaaN
yaar rootha hai be-sabab mera

kuchh to mere bhi liye chhut jaata
kab ye maine kaha ho sab mera

zauq-e-nazzara-e-zulmat ka junooN
aur badhta hai harik shab mera
(zauq = taste, nazzara = to see/admire, zulmat = darkness)

nek rakhta hooN iraade zarraa
bas bayaaN hi hai be-adab mera

- zarraa
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: May 26, 2012, 09:20:14 AM »
good
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: May 26, 2012, 10:09:07 AM »
dil panaahoN meiN laga kab mera
rehguzar aashiyaaN hai ab mera

jee raha hooN yehi pehchaan bahaut
mar gaya naam kahaaN tab mera

kab tha sood-o-ziyaaN ka ilm mujhe
poochh bik’ne ka mat sabab mera
(sood-o-ziyaan = profit and loss)

kaam haajat jo karaaye kam hai
baagh meiN khalq ke kartab mera
(haajat = necessity, khalq = people / public)

man’ne-waaloN mujhe butt dekho
haal tum mai’kade meiN shab mera

muNh chhhupaata hooN sharm se jinse
naam yaad aaye unheiN kab mera

be-wajah de mujhe ilzaam jahaaN
yaar rootha hai be-sabab mera

kuchh to mere bhi liye chhut jaata
kab ye maine kaha ho sab mera

zauq-e-nazzara-e-zulmat ka junooN
aur badhta hai harik shab mera
(zauq = taste, nazzara = to see/admire, zulmat = darkness)

nek rakhta hooN iraade zarraa
bas bayaaN hi hai be-adab mera

- zarraa

 Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower

 
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #3 on: May 27, 2012, 02:29:15 PM »
good

shukriya saini ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #4 on: May 27, 2012, 02:30:28 PM »


Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower


shukriya qalb ji

 
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:05:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer