Sisak rahi thi main..

by Shalu RV on May 30, 2011, 08:41:23 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1474 times)
Shalu RV
Guest
Sisak rahi thi main...

Us raat ko kaise bhoola du, Jis raat Sisak rahi thi main,
Tum they door, betakalluf, anjaan meri soch se,
Na samaj paaye,tumhe yaad kar kar ke tadap rahi thi main,
Bahut samjhaya is naadan dil ko, par na behla saki,
Tumhari yaad mein, Tumse milne ko us araat mein Sisak rahi thi main...

Yaad karke ye dil bahut roya, sari raat jaagi main,
phir socha kuch lamhe purane yaad kar loon,
un lamho mein tumse mil loon,Jitna chahu utna kareeb bula loon,
udaaye kuch panne apni yaadon ke,aankhein geeli kar rahi thi main,
kyunki woh sab yaad karke bhi, Us raat Sisak rahi thi main...

Yaad aaya woh pal milan ka,jab pehli baar dekh ke chehak gayi thi main,
tumhe dekhne ke baad is dunia ko dekh ke bhool gayi thi main,
vaada kar lia tha apne aap se ki rahungi ab sirf tumhari main,
aur tumhe apna bana loongi, aisa mann kar lia tha maine,
khushi se bhi aankhein jhalak jaati hai na,
bas us khushi ko yaad karke bhi Sisak rahi thi main,

Aaj bhi bahut baar dil bahut darr jata hai,
door kahin jab tumhe tumhara kaam le jata hai,
tum gum ho jaate ho apni cheezo ko banane mein,
aur main gum ho jaati hu apna vyaktitav batorne mein,
akelapan kitna chubhta hai,sirf pyar karne wala hi bayaan kar sakta hain,
likhte huye aankhein nam ho rahi hai, batana toh ahut mushkil hoga,
ki kaisi har raat beet jati hai, jab tum nahi hote,
waise hi dil udaas ho jata hai, jaise Us raat Sisak rahi thi main..

Tumse ab itna pyaar karne lagi hoon..ki tumhara pyar na mile toh...
toh Us raat Sisakne lagti hoon main..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sisak rahi hai tanhaai!! by Pooja in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3 4 »
main takdi rahi ........... by ranjana in Pain in Love : Punjabi poetry
Sisak Rahi Hai Zindagi........Rishi by Rishi Agarwal in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
<>*Khoti rahi main*<> by *KasaK*....Dil Ki in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
mein to jalti rahi rahi mitti rahi rooz parwaane by hameeda in Share: Poetry of Pain
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: May 30, 2011, 08:44:25 AM »
Sisak rahi thi main...

Us raat ko kaise bhoola du, Jis raat Sisak rahi thi main,
Tum they door, betakalluf, anjaan meri soch se,
Na samaj paaye,tumhe yaad kar kar ke tadap rahi thi main,
Bahut samjhaya is naadan dil ko, par na behla saki,
Tumhari yaad mein, Tumse milne ko us araat mein Sisak rahi thi main...

Yaad karke ye dil bahut roya, sari raat jaagi main,
phir socha kuch lamhe purane yaad kar loon,
un lamho mein tumse mil loon,Jitna chahu utna kareeb bula loon,
udaaye kuch panne apni yaadon ke,aankhein geeli kar rahi thi main,
kyunki woh sab yaad karke bhi, Us raat Sisak rahi thi main...

Yaad aaya woh pal milan ka,jab pehli baar dekh ke chehak gayi thi main,
tumhe dekhne ke baad is dunia ko dekh ke bhool gayi thi main,
vaada kar lia tha apne aap se ki rahungi ab sirf tumhari main,
aur tumhe apna bana loongi, aisa mann kar lia tha maine,
khushi se bhi aankhein jhalak jaati hai na,
bas us khushi ko yaad karke bhi Sisak rahi thi main,

Aaj bhi bahut baar dil bahut darr jata hai,
door kahin jab tumhe tumhara kaam le jata hai,
tum gum ho jaate ho apni cheezo ko banane mein,
aur main gum ho jaati hu apna vyaktitav batorne mein,
akelapan kitna chubhta hai,sirf pyar karne wala hi bayaan kar sakta hain,
likhte huye aankhein nam ho rahi hai, batana toh ahut mushkil hoga,
ki kaisi har raat beet jati hai, jab tum nahi hote,
waise hi dil udaas ho jata hai, jaise Us raat Sisak rahi thi main..

Tumse ab itna pyaar karne lagi hoon..ki tumhara pyar na mile toh...
toh Us raat Sisakne lagti hoon main..


bahut achi peshkash shalu. welcome...!


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Shalu RV
Guest
«Reply #2 on: May 30, 2011, 08:47:16 AM »
Bahut Bahut Shukriya...Likhte huye bahut zamaana ho gaya hai, apne lafz samete rakhe hai, socha ab sabke saamne apne shabdon ko bayaan kar du, kyunki akele akele likhe aur sune bahut zamana ho gaya hai.. Usual Smile
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #3 on: May 30, 2011, 08:51:11 AM »
Bahut Bahut Shukriya...Likhte huye bahut zamaana ho gaya hai, apne lafz samete rakhe hai, socha ab sabke saamne apne shabdon ko bayaan kar du, kyunki akele akele likhe aur sune bahut zamana ho gaya hai.. Usual Smile


bahut khoob . aise hi share karti rahein YO PAR APNI POEM.


 Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual SmileALL THE BEST
Logged
Shalu RV
Guest
«Reply #4 on: May 30, 2011, 08:52:13 AM »
Shukriya..!! Usual Smile
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: May 30, 2011, 12:24:53 PM »

Waah Shalu ji kya baat hai..

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
Shalu RV
Guest
«Reply #6 on: May 30, 2011, 12:26:06 PM »
Shukriya... Usual Smile
Logged
nirala
Guest
«Reply #7 on: May 30, 2011, 02:16:31 PM »
itna mat siska karo tum ee sanam
teri hi yaado me to uss raat fafak raha tha main…
doob kar unhi khayalon me
tadpaati jalati zazbaton me
uss raat fafak raha tha main…
pathar dil to nahi tha mai
na the murdon se ehsaas
kho kar guzare hue palon me ee sanam
uss raat fafak raha tha main……
gujaarta hu kaamo me gumsum ho apne din aur raat
fir bhi manta nahi dil aur machalte hain zazbat
fursat ke palon me fir janaa
uss raat fafak raha tha mai…
““
uff…kaise likh lete ho dard bhara !
welcm shalu…
achi peskash

thxn
Logged
Shalu RV
Guest
«Reply #8 on: May 31, 2011, 05:24:23 AM »
am so overwhelmed to see ..you guys liked my poem dis much...Again and Again thanks a lot for your words..specially to "Niralaji"..
Logged
nirala
Guest
«Reply #9 on: May 31, 2011, 05:41:10 AM »
am so overwhelmed to see ..you guys liked my poem dis much...Again and Again thanks a lot for your words..specially to "Niralaji"..
u r most welcm shalu……

apne nagmo se yo ko guljaar karte rahiye…

meri gujarish hai…har tarah ke post kariyega…srf dard wala nahi
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 03, 2024, 05:28:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer