~~;zindagi kaa fasaana hai;~~

by ek_tamanna on February 10, 2011, 12:45:01 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1327 times)
ek_tamanna
Guest
Mujhse bahot dur mera aasiyaana hai
Na jane kab kahan, mera thikaana hai

ban gaya hai dukh mera pyaara saathi
aansoon ke saath mujhe muskurana hai

haar chuki hu main bhi ishQ ki baazi
ab judai ke aag meiN dil jalaana hai

bada gumaan hai jinhe apne wafaa per
bas ek baar mujhe unheiN aazmaana hai

baat karne ko jo katrataa thaa mujhse
aaj kahta hai woh meraa Deewaana hai

roz bulata hai mujhe daawat mein woh
kabhi fursat se uske.. ghar aana hai

berukhi ke aag meiN jal rahi hun main
bas ehi apni zindagi kaa fasaana hai

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #1 on: February 10, 2011, 01:55:09 PM »
Mast ati sunder poem Tamanna-di.......mazaa aa gayaa....... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause  icon_flower

Di dard se shuru hui he ye aapki poem.....pehli 8 line aur aakhari 2 line.....dard kehti hain....
Ye daawat aur deewaana wali lines dard ki theme mai kaise aa gayee samjhaiyega.....kya soch raha aapka likhte waqt.....

Ye teri he nahi har naakaam mohbbat ki kahaani hai
Humne sunni naa jaane kitni naariyon ki jabaani hai





Mujhse bahot dur mera aasiyaana hai
Na jane kab kahan, mera thikaana hai

ban gaya hai dukh mera pyaara saathi
aansoon ke saath mujhe muskurana hai

haar chuki hu main bhi ishQ ki baazi
ab judai ke aag meiN dil jalaana hai

bada gumaan hai jinhe apne wafaa per
bas ek baar mujhe unheiN aazmaana hai

baat karne ko jo katrataa thaa mujhse
aaj kahta hai woh meraa Deewaana hai

roz bulata hai mujhe daawat mein woh
kabhi fursat se uske.. ghar aana hai

berukhi ke aag meiN jal rahi hun main
bas ehi apni zindagi kaa fasaana hai


Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #2 on: February 10, 2011, 02:13:06 PM »
Mast ati sunder poem Tamanna-di.......mazaa aa gayaa....... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause  icon_flower

Di dard se shuru hui he ye aapki poem.....pehli 8 line aur aakhari 2 line.....dard kehti hain....
Ye daawat aur deewaana wali lines dard ki theme mai kaise aa gayee samjhaiyega.....kya soch raha aapka likhte waqt.....

Ye teri he nahi har naakaam mohbbat ki kahaani hai
Humne sunni naa jaane kitni naariyon ki jabaani hai







dear koyal,
               mujhe achha laga yeh sawal sun kar .....kamse kam tumne tahreer ko gahrai se dekha ..........

zindagi mein kabhi kabhi kuchh hasin pal ....baad mein socho to dukh hi deta hai ......

main yahan apni haal bayaN ki hun ........

baat karne ko jo katrataa thaa mujhse
aaj kahta hai woh meraa Deewaana hai

is sher mein maine kaha mera waqt ab mere saath nahin rahi to
jo kabhi mere samne nahin aata tha , jisko maine kabhi layak nahin samjhi ...vo khud ko mera lover kahna suru kar diya hai .......

roz bulata hai mujhe daawat mein woh
kabhi fursat se uske.. ghar aana hai

uske himmat to dekho .....mujhe apne ghar dawat meiN bulata hai
gar apne gham se fursat mile to main aajaungi wahaN

kabhi kabhi sher ko rabt mein rakhne keliye kam word mein bayan kiya jata hai .......soch ke dekho to dard hai ismein

sweety mujhe yakeen hai tumhe meri jawab theek lagegi


with lots of love
Di






Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: February 10, 2011, 02:19:33 PM »
Bahut Hi Sunder Aur Dard Aur Pyar Bhara Likha Hai Tamanna JI
U Hi Likhte Rahiye Aur Humesha Khush Rahiye Applause Applause
Logged
nirala
Guest
«Reply #4 on: February 10, 2011, 02:41:14 PM »
hmm tamanna ji--kya kahne bahut khubsurat bayani aapke dard ki.
achha hai gud.
"
bada gumaan tha----
ye line achhi h bahut khub"
ek baar me dekha jaye to niche ke kuch lines pahle ke saath match nhi krte lekin theame me hain---gaur karne par bahut umda aur dard ka ehsaas hota hai.
jaisa aapne define kiya wo baat sachh h janaab:)
u r kamaal Usual Smile
aisi rachnaye milti rahe to dil aage bhi khus hota rahega.
daad hai ji hazaron.
"
thanx
"
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #5 on: February 11, 2011, 12:23:16 PM »
bht khoob tamanna ji....
Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #6 on: February 11, 2011, 12:41:09 PM »
bahut bahut sukriya ..rishi ji , nirala ji,ishQ ji
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #7 on: February 12, 2011, 01:02:46 AM »
Mujhse bahot dur mera aasiyaana hai
Na jane kab kahan, mera thikaana hai

ban gaya hai dukh mera pyaara saathi
aansoon ke saath mujhe muskurana hai

haar chuki hu main bhi ishQ ki baazi
ab judai ke aag meiN dil jalaana hai

bada gumaan hai jinhe apne wafaa per
bas ek baar mujhe unheiN aazmaana hai

baat karne ko jo katrataa thaa mujhse
aaj kahta hai woh meraa Deewaana hai

roz bulata hai mujhe daawat mein woh
kabhi fursat se uske.. ghar aana hai

berukhi ke aag meiN jal rahi hun main
bas ehi apni zindagi kaa fasaana hai



Good One ... Tamanna Ji !

Very Nice Creation ... dil se daad !
Logged
manjum
Guest
«Reply #8 on: February 14, 2011, 11:22:14 AM »
bahut khub tamannaji...

badiya
Logged
yaadein
Guest
«Reply #9 on: January 30, 2012, 06:31:28 PM »
shabdo ko badi hi khoobsurati se piroya hai.. aise hi likhte rahiye...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:32:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer