betiyaan

by kaushikbhawna008 on March 29, 2008, 05:13:44 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 4045 times)
kaushikbhawna008
Guest
har rishte ko har haal me nibhati hai betiyaan
fir b unpe tohmate lagaati hai ye duniya........


maa-baap ki dehlij par janm jab leti hai betiyaan
na jaane kyu shauk me tabdil ho jaati hain us ghar ki khushiyaan


maa-baap kyu nahi sochte kuch din mehmaan hain betiyaan
chod wo dehlij wo aangan ek din chali jaayengi betiyaan


ek roz ban maa mamta nuochawar karti hain betiyaan
har farz b-khubi anjaam deti hain betiyaan


soona ho har aangan jo naa ho ye betiyaan
bekar hai har sawaan jo jhule na ye betiyaan


na dafn karo e-maaon kokh me ye betiyaan
tumhare hi jism ka ek ansh hain ye betiyaan


band kar do e haiwaano khelna tum inki izjat se
tumhi me se kisi ki maa kisi ki bahan hain betiyann

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Betiyaan Gareeb Ki........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Betiyaan.....!!! by Talat in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
BETIYAAN by Pallavi Gupta in Share Poetry You Like
Betiyaan by Ashu dadwal in Miscellaneous Shayri
harashmahajan
Guest
«Reply #1 on: March 29, 2008, 06:24:52 AM »
har rishte ko har haal me nibhati hai betiyaan
fir b unpe tohmate lagaati hai ye duniya........


maa-baap ki dehlij par janm jab leti hai betiyaan
na jaane kyu shauk me tabdil ho jaati hain us ghar ki khushiyaan


maa-baap kyu nahi sochte kuch din mehmaan hain betiyaan
chod wo dehlij wo aangan ek din chali jaayengi betiyaan


ek roz ban maa mamta nuochawar karti hain betiyaan
har farz b-khubi anjaam deti hain betiyaan


soona ho har aangan jo naa ho ye betiyaan
bekar hai har sawaan jo jhule na ye betiyaan


na dafn karo e-maaon kokh me ye betiyaan
tumhare hi jism ka ek ansh hain ye betiyaan


band kar do e haiwaano khelna tum inki izjat se
tumhi me se kisi ki maa kisi ki bahan hain betiyann




Khoobsoorat ahsaas Bhwawna ji.....Dil ko is kader jhanjhoRh diyaa tumne ke be-saakhta hi lafz phoot padeiN haiN...Ek koshish bhawna ji....Dekhein toh

BetiyoN ka khud woh imtihaan haiN betiyaaN
MaaN baap ke ghar ki her shaan hai betiyaaN

Nibha rahi hai duniyaaN de-de ke tohmateiN
par Poore Ghar ki aaj ab shaan hai betiyaaN.

Doob gaye HaiN din woh jab shok manati duniyaN
daman lutati aaj jab janam leti HaiN betiyaaN

Angan rahe hai soona jab hoN na betiyaaN
Ghar ki tum ab dekho ab chhanv haiN betiyaaN


harash
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: March 29, 2008, 06:39:35 AM »
shukriyaa majid ji and harsh mahajan ji

Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: March 29, 2008, 11:27:27 AM »
Buhat umda aur khari baaten batlaayin hain, aapne, Kaushik jee...
Bas aankhen hain nam aur dil hai gham men dooba, sahih kaha aapne sab...
Shukriya...
Logged
rommanah
Guest
«Reply #4 on: June 08, 2008, 10:44:19 AM »
kya sonch hai aap ki
bohat ache shayar hai aap kaushikbhawana jiiii
Logged
lovely_nancy
Guest
«Reply #5 on: January 30, 2010, 12:04:40 AM »
bahut sohna likheya
gr8 work
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:49:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer