Hazrat Ali Raziallahu Ta'ala Anhu...

by HUM_DUM on October 21, 2013, 12:54:34 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 9
Print
Author  (Read 6711 times)
mkv
Guest
«Reply #45 on: October 26, 2013, 05:31:15 PM »
Agar kisi ka zaraf(character ) aazmana ho to, usko zyada izzat Do. Agar Wo aala zaraf(achga) hua to aap ko aur izzat dega
aur kam zaraf hua to khud ko AALA ZARAF samjhega.  Applause Applause Applause

Tumhare 3 Dost Hain 1. Tumhara Dost 2. Tumhare Dost
ka Dost 3. Tumhare Dushman Ka Dushman .

Tumhare 3 Dushman Hain 1.Tumhara Dushman 2.Tumhare Dushman Ka Dost 3.Tumhare Dost Ka Dushman.

Ghareeb Woh Hai Jiska Koyi Dost Na ho, aur Sabse Bada Gunah Woh Hai Jo Karne Walay Ki Naazar Mein Chota ho.

Insan 3 Cheezon Se Mehroom Rahenge. 1.Ghuse Waala Durust Faislay Se .2. Jhoota Izzat Se .3.Jald Baaz Kamyaabi Se...


Hazrat Ali (R.A)
Bahut hi aala soch..
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #46 on: October 27, 2013, 10:18:19 AM »
Bahut Shukaria MKV Jee Waqt Dene Ke Liye

ALLAH Amal Ki Taufeeq De Aameen


Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #47 on: October 27, 2013, 10:22:20 AM »
LAAKHON Ko DOST Banana Koi Bari Baat Nahin
Bari Baat To Yeh Hai Ke Aisa DOST Banaao
Jo Tab Tumhaara Saath De Jab LAAKHON
Tumharey MUKHALIF  Hon..


Hazrat Ali (R.A)
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #48 on: October 27, 2013, 10:41:55 AM »
Kisi ne Hazrat ALI {Razi Allahu Ta'ala Anhu} se poocha:
“Dost aur bhai main kya farq hai ?”

Aap ne farmaya: “Bhai sona (Gold) hai aur Dost heera Diamond) Hai. Us Aadmi ne kaha: “Aap ne bhai ko kam Qeemat aur dost Ko Qeemti cheez se kyun tashbeeh di ?”To Aap ne farmaya. Sone Mein agar darar aa jaye to us Ko pighla kar bilkul pehle jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke Heere mein Ek Baar daraar aa jaye to woh kabhi bhi Pehle jaisa nahi ban sakta...
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #49 on: October 27, 2013, 10:49:01 AM »
Hazrat Ali (Razi Allahu Anhu)
Farmate Hai ke,
Agar Rizzaq Aqal-O-Danish Se
Milta Tou Jaanwar Aur
Bewaqoof Zinda Hii Na Rehte
» Sabaq : Lihaja Aye Imanwalo!
Jo Sakhs Yeh Gumaan Karta Hai
Ke Usey Uski Aql(Mehnat-
Mashakkat) Ya Kisi Danishmand
Ke Diye Hue Khairat Ki Vajah Se
Rizzaq Nasib Ho Raha Hai Toh
Yeh Makkari Ke Sivay Kuch Bhi
Nahi Jo Wo ALLAH Ta’ala Ke Sath
Kar Raha Hai, Kyunki Rizzaq
Ataa Karne Waali Zaat Toh Sirf
ALLAH Ta’ala Ki Hii Hai..
Logged
mkv
Guest
«Reply #50 on: October 27, 2013, 11:36:21 AM »
LAAKHON Ko DOST Banana Koi Bari Baat Nahin
Bari Baat To Yeh Hai Ke Aisa DOST Banaao
Jo Tab Tumhaara Saath De Jab LAAKHON
Tumharey MUKHALIF  Hon..


Hazrat Ali (R.A)

sach baat hai...
dosti bhi pyar ka dusra naam hai..iska daayra usse bada hai.
ye bhi bas ho jati hai kee naheen jaati.
share karte rahiye..accha lagta hai.
Logged
mkv
Guest
«Reply #51 on: October 27, 2013, 11:40:57 AM »
Hazrat Ali (Razi Allahu Anhu)
Farmate Hai ke,
Agar Rizzaq Aqal-O-Danish Se
Milta Tou Jaanwar Aur
Bewaqoof Zinda Hii Na Rehte

» Sabaq : Lihaja Aye Imanwalo!
Jo Sakhs Yeh Gumaan Karta Hai
Ke Usey Uski Aql(Mehnat-
Mashakkat) Ya Kisi Danishmand
Ke Diye Hue Khairat Ki Vajah Se
Rizzaq Nasib Ho Raha Hai Toh
Yeh Makkari Ke Sivay Kuch Bhi
Nahi Jo Wo ALLAH Ta’ala Ke Sath
Kar Raha Hai
, Kyunki Rizzaq
Ataa Karne Waali Zaat Toh Sirf
ALLAH Ta’ala Ki Hii Hai..

aur is quote ko maine kayee baar padha..kamaal ka tazurba hai.
bahut bahut shukriya bhai mere


Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #52 on: October 27, 2013, 12:56:11 PM »
Bahut Shukaria Bhai Ki Aap Apna Qeemti Waqt Dekar Is Qadar Muhabbaton Ke Saath Parh Rahen Hain. Insha ALLAH Main Puri Koshish Karunga Jitne Zyada Ho Sake Share Karun. Shukari


Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #53 on: October 27, 2013, 01:29:58 PM »
Zindagi ke har mod par sulaah karna seekho. Kyun ke
jhukta wohi hai jis me jaan hoti hai. Akadna to murday ki
pehchaan hoti hai...

Hazrat Ali (R.A)
__________________________________
Dua mangte raho kyun ke mumkin aur na mumkin to sirf
hamari soch me hai, ALLAH (S.W.T) ke liye to kuch bhi na
mumkin nahi...

Hazrat Ali (R.A)
__________________________________
Apni ghaltiyon se taqdeer ko badnaam mat karo kyun ki
taqdeer to khud himmat ki mohtaaj hoti hai...

Hazrat Ali (R.A)
__________________________________
Dua dastak ki tarah hai musalsal dastak say darwaza khul
hi jata hai...

Hazrat Ali (R.A)

__________________________________
Dukh me tum kabhi bhi pachtawe ke aansu na bahao kyun
ki tum wo khush naseeb ho jise ALLAH ne aazmaish ke
qaabil samjha hai...

Hazrat Ali (R.A)

__________________________________
Jo tumhe khushi mein yaad aaye, samjho tum us se
mohabbat karte ho aur jo tumhe gham me yaad aaye to
samjho woh tum se mohabbat karta hai...

Hazrat Ali (R.A)

__________________________________
Rishton ki khoobsurti ek dosre ki baat ko bardasht karna
hai...Be-aeb insaan talash mat karo warna akele reh
jaoge...

Hazrat Ali (R.A)
__________________________________
Agar tum use na pa sako jise tum chahte ho, to usay
zaroor pa lena jo tumhe chahta hai kyun ki chahne se
chaahe jane ka ehsas zyada khoobsurat hota hai...

Hazrat Ali (R.A)
__________________________________
Shihab saheb,
 Hazrat Ali (A.S) ke nayaab aqwaal post kar ke aapne karnama e azeem anjaam diya hai,Insaan ko kuch seekhne aur usper amal karne ka mauqa aapne faraham kiya hai. Mustaqbil me bhi ayse beeshqeemat aqwaal ko diniya walo'n ke samne pesh karne ki zaroorat hai.
                        aapki Sehat aur Umr e daraz ka duago hoon.
                                   S.M.Mahzar
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #54 on: October 27, 2013, 01:56:27 PM »
Bahut Shukaria Sahab Dua Aur Waqt Dene Ke Liye
Insha ALLAH Koshish Karunga Jitna Zyada Ho Sake
Share Karuna


Shad o Aabad Rahiye


Shihab
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #55 on: October 27, 2013, 08:36:39 PM »
Jis Shaks Se Jitni Zyada Mohabbat Ho
Us Shaks Se Utni Hi Nafrat Bhi Ho Sakti Hai
Kyun Ke. Khubsoorat Sheesha Jab Toot Jata Hai
To Woh Khatarnaak Hathiyaar Ban Jata Hai..!


Hazrat Ali( Razi Allahu Taa'la Anhu
Logged
mkv
Guest
«Reply #56 on: October 27, 2013, 08:57:17 PM »
Jis Shaks Se Jitni Zyada Mohabbat Ho
Us Shaks Se Utni Hi Nafrat Bhi Ho Sakti Hai
Kyun Ke. Khubsoorat Sheesha Jab Toot Jata Hai
To Woh Khatarnaak Hathiyaar Ban Jata Hai..!


Hazrat Ali( Razi Allahu Taa'la Anhu
Kya baat kahee hai..maza aa gaya.
bahut se log shayad inkaar karen is baat se..
but very practical approach and true.


Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #57 on: October 27, 2013, 10:10:10 PM »
Haan Bhai Thodi Pechida Hai Sabko Aasani Se Samajh Nahi Aa Sakti Par Jo Samjhli Jaaye To Badi Khubsoorat Nasihat Hai Ye
Maine Pahli Baar Parha To Samajh Nahi Aaya Phir Gaur Kiya To
Dil Khush Ho Gaya Khair Bahut Shukaria Waqt Dene Ke Liye


Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
mkv
Guest
«Reply #58 on: October 28, 2013, 01:21:33 AM »
these r really amazing....really mind blowing....

but i want to ask one thing---Jo tumhe khushi mein yaad aaye, samjho tum us se
mohabbat karte ho aur jo tumhe gham me yaad aaye to
samjho woh tum se mohabbat karta hai...

kya yeh wakai me sach hai???
true..100 %
to understand it..one has to be impartial.
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #59 on: October 28, 2013, 02:20:22 PM »
Mujhay Is Duniya Se Kya Lena,
Jis Ke Halaal Mein Hisaab Aur
Haraam Mein Azab Hai.


HAZARAT ALI (R.A)
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 9
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:53:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer