!!!!----- Maalik Ke Bande HaiN -----!!!! @Advo.RavinderRavi"Sagar"

by Advo.RavinderaRavi on November 04, 2013, 02:07:22 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 789 times)
Advo.RavinderaRavi
Guest
Hum  Sab Khuda Ke Bande Hain.!
Maalik  Ne HumeiN Banaya hai.!
Ishwar ki Bemisal Krati Hain.!
Rubb  Ne HumeiN Sajaaya  Hai.!
Na
Hindu Hain  Na Musalmaan.!
Na
 Isaai Na  Sikh Na Jaini.!
UsNe To
Insaan Hi Banaya Hai.!!
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: November 04, 2013, 03:33:51 PM »
Bahut khoob Ravinder jee

Par kuch log is bhram me rahte hain ki sirf vaheen khasam khaas hain.
zindgee me sab kuch aasaani se badal jaata hai par insaan ki soch..kabhee naheen.
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #2 on: November 04, 2013, 05:53:26 PM »
Ravi bhai Salaam karta hoon aapko... bahot khooob...

Movie: Dhool Ka Phool

Tu hindu banega na musalaman banega
Insan ki aulad hai, insan banega

Achcha hai abhi tak tera kuch naam nahin hai
Tujh ko kisi mazhab se koi kaam nahin hain
Jis ilm ne insan ko taqaseem kiya hai
Us ilm ka tujh par koi ilzam nahin hai
Tu badle hue waqt ki pahechan banega
Insan ki aulad hai, insan banega
Tu hindu banega na musalaman banega

Malik ne har insan ko, insan banaya
Ham ne use hindu ya musalaman banaya
Qhudrat ne bakshi thi hamen ek hi dharti
Ham ne kahin bharat, kahin iran banaya
Jo tod de har band, wo toofan banega
Insan ki aulad hai, insan banega
Tu hindu banega na musalaman banega

Nafrat jo sikhaye, wo dharam tera nahin hai
Insaf jo ronde, wo qadam tera nahin hai
Quran na ho jisme wo mandir nahin tera
Geeta na ho jisme wo haram tera nahin hai
Tu aman ka aur sulah ka arman banega
Insan ki aulad hai, insan banega
Tu hindu banega na musalaman banega

Ye deen ke tajer, ye watan bechane waale
Insan ki laashon ke qafan bechane waale
Ye mahel may baethe hue qaatil ye lutere
Kanton se madh rooh-e-chaman bechane waale
Tu un ke liye mout ka elaan banega
Insan ki aulad hai, insan banega
Tu hindu banega na musalaman banega
Insan ki aulad hai, insan banega.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: November 04, 2013, 07:40:12 PM »
waah waah
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: November 04, 2013, 08:27:02 PM »
Ravi bhai Salaam karta hoon aapko... bahot khooob...

Movie: Dhool Ka Phool

Tu hindu banega na musalaman banega
Insan ki aulad hai, insan banega

Achcha hai abhi tak tera kuch naam nahin hai
Tujh ko kisi mazhab se koi kaam nahin hain
Jis ilm ne insan ko taqaseem kiya hai
Us ilm ka tujh par koi ilzam nahin hai
Tu badle hue waqt ki pahechan banega
Insan ki aulad hai, insan banega
Tu hindu banega na musalaman banega

Malik ne har insan ko, insan banaya
Ham ne use hindu ya musalaman banaya
Qhudrat ne bakshi thi hamen ek hi dharti
Ham ne kahin bharat, kahin iran banaya
Jo tod de har band, wo toofan banega
Insan ki aulad hai, insan banega
Tu hindu banega na musalaman banega

Nafrat jo sikhaye, wo dharam tera nahin hai
Insaf jo ronde, wo qadam tera nahin hai
Quran na ho jisme wo mandir nahin tera
Geeta na ho jisme wo haram tera nahin hai
Tu aman ka aur sulah ka arman banega
Insan ki aulad hai, insan banega
Tu hindu banega na musalaman banega

Ye deen ke tajer, ye watan bechane waale
Insan ki laashon ke qafan bechane waale
Ye mahel may baethe hue qaatil ye lutere
Kanton se madh rooh-e-chaman bechane waale
Tu un ke liye mout ka elaan banega
Insan ki aulad hai, insan banega
Tu hindu banega na musalaman banega
Insan ki aulad hai, insan banega.
iqtedar saheb
kaisa ittifaaq hai..yahi geet mere dimaag me aaya jab maine is post ko padha..
bahut accha laga aapne ise share kiya.
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #5 on: November 04, 2013, 08:54:24 PM »
Bilkul sahi farmaya aapne janab..
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #6 on: November 04, 2013, 11:29:51 PM »
bhut acha likha hai ap nay yu he likhty rahiya
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 04:06:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer