Meditation 6 : Saakshi bhaav

by @Kaash on September 22, 2013, 01:55:58 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1456 times)
@Kaash
Guest
Kya hum kabhi ye sochte hain ki hum jo bhi kaarya kar rahe hain khaana,chalna,daudna,likhna,padhna,dekhna,sochna ityaadi to hamare andar kuch vidhyamaan hai jo hamari har gatiwidhi ko witness kar raha hai athaart dekh raha hai. Ye bhi kah sakte hain ki kya hum koi bhi kaarya karte hue akarta bhaav se swayam ko kabhi dekhte hain. Yahi Saakhshi bhaav hai. Dhyaan ki kai widhiyon me sabse adhik prachlit widhi hai Saakhshi bhaav. Ise aisa naam dia gaya kyunki ye aisa bhaav hai jo hamara swaroop bhi hai. Hum adhiktar ye wichaar bhi nahi kar paate ki swayam ko hum swayam dekh rahe hain ya dekh sakte hain. Aur isi baat ka anubhav na kar paane ki wajah se hum sadaiv ek moorchhaa me rahte hain athaart jaagrat awastha me rahte hue bhi ye nahi jaan paate ki hum jaage hue hain kyunki hum har kaarya me itna talleen ho jaate hain ki swayam ko maatra karta tak seemit kar lete hain jabki akarta bhi hamare hi andar hai. Yahi akarta bhaav hamara sachha swaroop hai. Hamara sachha swaroop athart hamari aatma jab tak swayam ko pratyek karm me karta bhaav se sanlagn rakhti hai tab tak hum ashaanti ko praatp hote rahte hain kyunki aatma nirvikaar aur kriyashunya hai aur jab tak apni isi prakrati me isthit nahi hogi hum ashaant hi rahenge. Parantu jaise 2 hum apne pratyek karm ko ki ye shareer,man,budhhi,indriyon dwaara ho rahe hain mujhse nahi aur main akarta hun is bhaav ko grahan karte hain usi waqt shaanti ko praapt ho jaate hain. Hum yadi chal rahe hain to is kriya ko dekhen,yadi soch rahe hain to man ke is kaarya ko bhi akarta hoke dekhen. Isi tarah dheere 2 har kaarya me jab hum ye bhaav samahit kar lete hain chaitanyata ko praapt hote hain. Saakshee bhaav jaagran hai,ek aadhyaatmik kraanti hai jiske baad wyakti jaaga hua hi rahta hai. Kai log maatra saakshi hoke dhyaan ko uplabdh ho jate hain parantu kai nahi bhi ho pate unke liye phir dhyaan ke aur prakaar hain. 
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: September 22, 2013, 02:00:25 AM »
@Kaash jee Bahut Umda,
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: September 22, 2013, 09:02:56 AM »
waah
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:20:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer