Meditation 7 : Eeshwar akhand hai use akhand swaroop me isthit hoke hi jaana ja sakta hai

by @Kaash on September 24, 2013, 12:41:37 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 720 times)
@Kaash
Guest
Kya humne kabhi gaur kia ki hamara man dwaitwaadi hai athaart negative wa positive ke beech me hi ghoomta rahta hai. Insaan man ke is swaroop is prakrati se anbhigya ho waisa hi aachran karta hai. Manushya ka man swaroop se hi khandit hai. Man ke jitne bhi bhaav athaart emmotions hote hain wo dipolar hote hain yaani krodh hai to karuna hai prem hai to ghrina gussa hai to shaanti ityaadi. Kabhi hum gaur karen to payenge ki apne bachpan ke dost jise hum bahut maante the se bhi koi thes lagti hai to achanak hum usse hi ghrina ya nafrat shuru kar dete hain. Matlab ye ki jitni anupaat me hamare andar achha bhaav hota hai utne hi anupaat me bura bhaav bhi. Hum jise jitna maante hain usse utne hi anupaat me nafrat bhi chhupi rahti hai aur yadi waisi paristhati bane to vipreet bhaav jaagrat ho jaata hai. Aur aisa har bhaav ke saath hota hai. Man ke teen wibhaag hain ye har cheez ko vichaar,bhaav  wa karm me baant deta hai. Parantu aastitva athaart Eeshwar akhand hai aur use akhand swaroop me hi jaana ja sakta hai. Ise phir se samjhen ki jaise hum kisi train me chadhe to apne aap hi kuch log hume mitr lagne lagte hain aur kuch se hum thoda chidhne lagte hain jo humse achhe se mile unhe hum mitr aur jo bhale apne me magan rahe hum unhe bhi waise hi avoid karne lagte hain parantu hum ye nahi jaan paate ki ye hamare man ka hi khel hai, man ki prakrati hi duality hai. Man ka daman karne se bhi koi laabh nahi kyunki jin bhaavon ko hum jitna dabaate we kisi na kisi maadhyam se utna hi nikalte hain. Aam aadmi hi nahi saadhu sanyasi tak man ke is swaroop ko na samajh paane ke kaaran aur zabran bure bhaavon ka atikraman kar lene se ya to vikrut,kunthit,vikchhipt ho jaate hain athwa waisi paristhitiyan milne par apni isthati se neeche gir jaate hain. Parantu jaise hum man-budhhi ko yantra jaanke apne swaroop aatma me raman karte hain hum samta athart neutrality athaart dhyaan ko praapt hote hain. Dhyaan me hum apne akhand swaroop me hote hain aur tab Eeshwar(jo ki akhand hai) ki satta ko hum thoda mahsus kar paate hain.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: September 24, 2013, 12:52:49 AM »
Great Work @@Kaash Jee.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 11:33:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer