Meditation 8 : Vipassana

by @Kaash on September 26, 2013, 02:12:26 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 970 times)
@Kaash
Guest
Vipassana is self-transformation through self-observation. Abhi tak ki dhyaan vidhiyon me man ka atikraman karke dhyaan ko uplabdh ho jaana tha parantu vipassana me man-budhhi ka hi shudhhikaran ho jaata hai kyunki isme hum swayam ko observe karte hain. Wyakti ki aakhen bahar lagi hoti hain aur bahar dekhte rahne ke kaaran wa manovigyaan ko na samajh  paane ki wajah se bahar ki dunia hi sabkuch lagne lagti hai. Is tarah se hume lagta hai ki hum niyanta hain parantu niyantrit hum bahar ki dunia se ho rahe hote hain. Ye itni sookshmata se hota hai ki hume pata bhi nahi chalta ki hum dunia ko dekhke sochte hain swayam ko dekh rahe hain aur swayam se nirantar door hote jaate hain. Parinaam maansik ashudhhiyaan.  Vipassana or विपश्यना Dhyaan ki aisi vidhi hai jise Gautam Budhh ne 2500 saal pehle manushya jaati ko dia. Iske antargat hum naasika athaart naak ke agr bhaag par saanson ka aana jaana dekhte hain. Vipassana me hume apne senses ke prati jaagruk rahna hota hai. Jaise jaise hum saanson ka aana jaana observe karte hain hamara man concentrate hone lagta hai. Ye abhyas kabhi bhi kia ja sakta hai aur maatra aadha ghanta bhi roz karne par man ekdum vikaaron se upar uthne lagta hai kyunki satat dekhte rahne ke kaaran hum dhyaan me pravesh kar jaate hain aur jaagran ghatit hota hai. Hum ye jaan jaate hain ki senses shareer ke lie hain aur hum shareer nahi vishudhh chetan tatva hain. Is tarah se apne mool swabhaav,apni aatma me isthit hone ke baad hum apni har gatiwidhi ke prati jaage hue rahte hain. Budhh ka arth hi hota hai jaaga hua athart the awakened aur vipassana ka swayam ko dekhna athaart observe karna. Is tarah se wyakti dheere dheere apni pratyek indriya wa actions ke prati jaagruk ho jata hai yahan tak ki sote samay bhi uska man  jaaga hua hota hai aur use ye malum hota hai ki shareer so raha hai. Vipassana dhyaan ke shivir ya camps lagte rahte hain jiska vivran google ki sites se mil jaata hai. Ye atyant parinaamdaayi wa nishulk hote hain. Bharat wa Cheen me iska prachaar prasaar karne me Shri S.N.Goenka agrani logon me hain.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:48:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer