Turiyateet awastha manateet wa maayateet awastha hai

by @Kaash on September 22, 2013, 04:56:04 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 930 times)
@Kaash
Guest
Kaam,krodh,lobh,hinsa ye adhogati aur agyaani ke lakshan hain. Ye teesri wa sabse nichli shreni me aate hain. Aise manushya daya ke paatra hain kyunki manushya hote hue bhi manushyata se gir gaye. Inhe deen mazhab dharma adhyaatm se kuch lena nahi hota inse jitni gyaan ki charcha ki jaaye vyarth hai kyunki ye wishay sukh hi jiwan saar samajhte hain. Inse doosron ka sukh nahi dekha jaata aur doosron ko kasht dene ke liye kisi bhi had tak gir jaate hain. Inhe naastik kaha ja sakta hai ye taamsik prakrati wa pravatti ka lakshan hai. Doosri shreni ke manusanya aastik hote hain. Dharm ki baaton ko mahatv dete hain vrat upwaas bhi rakhte hain parantu gyaan maarg par chal nahi paate haan dhaarmik reeti riwaajon parampara ka nirwahan karke santusht ho jaate hain. Inke liye doosron ke ahit se zyaada swayam ka hit maayne rakhta hai. Ye raajsik prakrati wa pravatti ka lakshan hai.Pehli shreni ke manushya saatvik pravatti ke hote hain wa manushyata se upar uthkar bhagwat tatv tak pahuchne ki cheshta karte hain. Ye gyaan maarg par sada chalte hain aur yadi bhakti maarg chunte hain to usme bhi eeshwar ke prati ahobhaav rakhte hain. Ye saral chitt ke hote hain wa akaaran hi sabka hit karte rahte hain yahan tak ki apna ahit karne walon ka bhi hit hi chahte hain. Parantu ye bhi is triguni maaya me hi rahte hain. Parantu hume is baat ka dhyaan rakhna hoga ki satvagun hamaare me zyaada badhe athaart manushyata se upar uthne me hi jiwan ka saar hai atah sadaiv aage badhne ke liye prayaasrat hona chahiye aur glaani wa kuntha se khud ko nahi bharna chaahiye. Jaise jaise satvagun badhta hai wyakti adhyaatm ki yaatra me sudradh hota jata hai,uska ahankaar mit.ta jata hai aur wo Eeshwar ko tatva se jaanna shuru karta hai aur man-budhhi ke tal se uthke swayam ko aatma jaanna shuru karta hai. Dhyaan ke dwaara ye tureeyateet athar uprokt teeno shreni se paar nikal jaata hai. Ye turiyateet awastha hi manateet athwa mayateet awastha hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Vichar,waasna w ikchha se mukti manateet awastha ke anubhav me nihit hai by @Kaash in Quotable Phrase and Quotes
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: September 22, 2013, 04:59:05 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause
Good Work @Kaash Jee.
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: September 22, 2013, 07:04:26 PM »
nice thoughts
Logged
Dineshkumarjonty
Guest
«Reply #3 on: September 22, 2013, 07:08:23 PM »
Gooooood luck Thumbs UP
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #4 on: September 25, 2013, 07:17:25 PM »
nice suvichar
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:38:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer