Yoindia Shayariadab Result

Yoindia is a place where experienced as well new poets come together. Many people even started writing poetry from Yoindia Shayariadab itself. Recently we organized a contest for Urdu Ghazal for the month of August 2009. There were many entries, apart of few almost all submissions were good however few Ghazals got some edge over others.

You can see All Ghazal of this Contest here -->Yoindia August 2009 Ghazal Contest Submissions.

Yoindia ka August 2009 competition main kayi Ghazalein aayin, un Ghazlaon main se humne 3 behtreen Ghazlon ko chuna hai. Waise abhi Yoindian Members main kaafi gunjaish hai ki woh aur behtar kar sake, umeed hai aane wale competitions main hume aur zyada behtreen shayari ka muzahira dekhne ko milega.

Lijiye is ghazal ke muqable ka natija hazir hai. Khush qismati se, 3 ki jaga hame 4 ghazlon par iktifa karna para kyonke akhri do ghazle humpalla mili. To Iss baar 4 winners hain. In ghazlon par shayari ke saare pehluo per ghaur karne ke baad chuni gayi hain, jisme ki Ghazal ki mauzoniyat, bahr, ghazal ki shairiyat yani unke ashar kis pay eke hain aur matalib kis nahej ke hain. Aur shayar ki ghazal goyee ko bhi nazar andaaz nahin kiya jaa sakta ke who kis meyaar ka hai. Uske saath saath oosule shayari ke nukat ko bhi pasemanzer se nahin hataya gaya hai. Kyunki humara maksad Yoindia per Shayari ko ek meyaari aur ala saateh tak le jaana hai, uske liye shayari ke qawayid aur uske ajza ka hathul im kan khayal rakhna parega. Isiliye iss competition ke saath humne Ghazal kehne ke salike ko bhi bataya tha. Waise kayi aur Ghazalein bhi thi jo ki bohot hi umda aur kabile ghaur thi per kyunki har ek toh winner ho nahi sakta, chunache sirf 4 Ghazlon ko hi chuna hai.

Magar Yoindia Team unn sabhi ki shukraguzar hai jinhone apni apni Ghazal yahan iss competition mein shaamil ki. Umeed hai agle competition main hume aur zyada josh aur khuloos dekhne ko milega. Ek malaal zarur rahega ki Yoindia ke kayi Yoindia ke regular members jo Yoindia pe kaafi likhte hai, unhone apni Ghazal nahi bheji, umeed hai agli baar zyada se zyada Yoindia Shayariadab members competitions mein hissa lenge.

August 2009 Urdu Ghazal ko Jitne Walen Hain

  1. chitralsony
  2. Celmira
  3. Taasir Siddiqui and brokenbylove

Jaise ki pehle kaha, inke alawa aur bhi Ghazlen thi jo khaas thi magar hum sabhi Ghazal ko toh winner nahi keh sakte. Agar aap in logo ko jeetne ki mubarak baat dena chahte hain toh aap yahan de sakte hain:

Congratulation Thread - Result of August 2009 Urdu Poetry Contest : Yoindia Shayariadab

What these winners will get !
  • Every winner of this contest will receive recognition from Yoindia Shayariadab.
  • The first prize winner will receive framed certificate by postal mail along with a gift.
  • The second and third place winner will also receive certificate which can be downloaded from Yoindia.com.
  • Also, Every winner will receive Award Emblem which they will use in their signature.
  • Authenticity of certificate can be verified anytime by visiting this page as here we have declared the result and listed names of winners.
  • Hopefully in coming contest we will be able to offer lot more to winners as we are working on it.

Preview of the Certificate which winners will receive:

Yoindia Shayariadab Certificate

Preview of the emblem each winner will use in his/her signature at Yoindia:

August 2009 Shayariadab Winner

 

Winning Ghazals

First Place - By Chitralsony

koyi tazeer ager ho mujko suna do yaro,n
mujko ab tark e muhabat ki saza do yaro,n

zindagi jaber e musalsal ki treh bhari hai
mout ka ab mujko paighaam suna do yaro,n

mai nay jannat ko ganwaya hai khod hee
mujko dozakh mai jala do yaro,n

ger mozoun nahi hai yay safer mairay liyay
rasta koyi aur mujko batla do yaro,n

zindagi mai to singhaar ki fursat na mile
bad mernay kai maira kutba he saja do yaro,n

rait pai likhi gayi tehreer hun mai ,hina
ban kai moj e saba mujko mita do yaro,n

Second Place - By Celmira

Celmira

Third Place - By Taasir Siddiqui

Uthkar chale ho jab kabhi tum hamaare pehloo se;
Dur ho gaya hai dil phir iss jeene ki aarzoo se;

Dard ne asar chhod diya,aur hayaat muskuraa utthi,
Hue hain rubaroo jab hum tumhari guftugoo se;

Manand-e-gul lehraa rahe hain zakhm shaakh-e-hayaat par,
Aao inhe mehkaa do tum apne badan ki khushboo se;

Baat chali to phir kitne hi raaz ayaan hote gaye,
Sekdon fasaane nikle ek mukhtasar si guftugoo se;

Ahal-e-jahaan ne zulm kiya hume naam-e-sharaafat dekar,
Ek ghurbat ke siva kya paaya hai hum ne apni aabroo se;

Na shakl se na libaas se na daulat se na shaurat se,
Taasir ne paayi hai pehchhan apni zabaan-e-urdoos se;

Third place - By brokenbylove (we have two third place winner this time)

TERRI MOHABBAT
Mujhse mat puch ki kyun aankh jhuka li maine,
terri tasveer thi jo tujhse chhupa li maine,

jis pe likha tha ki tu merre muqaddar mein nhi,
apne maathe ki vo lakeer mita li maine,

har janam sabko yahan sacha pyar kahan milta hai,
terri chahat mein tou umar bita li maine,

mujhko jaane kahan ehsaas merra le jaye,
waqt ke hatho se ek nazam utha li maine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
terri yaado se har ek saans saja li maine,

jiske shero ko vo sunke bahut royi thi,
bas vahi ek ghazal sabse chhupa li maine......


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:37:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.042 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer