Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 64 65 66 67 [68] 69 70 71 72 ... 273
Print
Author  (Read 131236 times)
angel4u
Guest
«Reply #1005 on: March 27, 2007, 06:29:33 PM »

Mohabbat Mein Itne Door Nikal Jayenge Socha Na Tha,
Hum Wafa Karke Bhi Bewafa Kehlayenge Socha Na Tha,
Zamane Se Tanha Hi Takrayenge Kabhi Socha Na Tha,

Hum To Pyaar Ke Naam Se Hi Na Aashna The,
Chahat Ki Itni Badi Saza Payenge Kabhi Socha Na Tha,

Uska Har Andaz Dusron Se Juda Lagta Hai,
Uske Rang Mein Rang Jayenge Socha Na Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1006 on: March 27, 2007, 06:31:18 PM »

Kisne Kaha Tha Itni Door Jane Ke Liye,
Shama Bhi Na Jal Saki Is Parwane Ke Liye,

Saari Raat Koi Tadpata Raha Paagalon Ki Tarah,
Chirag Lekar Baitha Raha Main Us Chand Ko Dekhne Ke Liye,

Ek To Waise Hi Door Tha, Us Par Aur Door Jaane Ka Sitam,
Kahan Tak Jaogi Bhaag Kar, Koi To Aayega Manane Ke Liye,

Dhoond Le Koi To Rasta, Koi To Khat Bhej De Sitamgar,
Kasid Bhi Nahi Aya In Raahon Mein, Apna Chehra Dikhane Ke Liye,

Kitna WaQt Guzaroge Wahan, Jaise Chaman Mein Bahar Hi Nahi,
Bulbul Ro Rahi Hai Yahan, Tere Saath Ko Paane Ke Liye,

Umr Ke Us Mukaam Par Tu Khada Hai Wahan,
Ek Pal Hi Kaafi Hai, Khushiyon Ko Laane Ke Liye,

Tum Jitni Jaldi Ho Aa Jaa Apne Thikane Par Aye Sanam,
Khushi Dehleez Par Baithi Hai, Tere Daman Ko Sajane Ke Liye,

Kya Kahoon Kya Na Kahoon Tu Hi Bata Aye Jaana,
Lafz Nahi Hai Mere Paas Bas AshQ Hai Tumhe Dikhane Ke Liye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1007 on: March 27, 2007, 06:34:29 PM »

Aye Kaash Koi Aisa To Hota,
Jo Laa Deta Mere Khwaab Saare,
Jo Meri Samundar Aankhon Se
Chun Leta Azaab Saare,
Jiski Sangat Mein Mujhe Apne Hone Ka Ehsaas Hota,
Mera Har Aansu Iske Liye Ek Azaab Hota,
Par Aye Nadaan Dil Mujhe Pata Hai,
Mera Wajood Kis Mitti Se Bana Hai,
Mujhko Pata Hai,
Mere Gham Saare Mere Hai,
Ye Tanhaiyan Bhi Meri Hai,
In Samundar Aankhon Ke Azaab Bhi Mere Hai,
Mera Har Aansu Bhi Sirf Mera Hai,
Izzat Daaron Ke Is Sheher Mein,
Ye Izzat Ka Janaza Bhi Mera Hai,
Gairat Ke In Darbaanon Mein,
Ye Chhalni Wajood Bhi Mera Hai,
Rasmo Riwaj Ke Is Qafas Mein,
Qaid Ye Rooh Bhi Meri Hai,
Mera Har Khwaab Sheesha Hai,
Aur Ye Insaan Patthar Saare,
Aye Kash Koi Aisa To Hota,
Jo Laadeta Mere Khwaab Saare,
Jo Meri Samundar Aankhon Se,
Chun Leta Azaab Saare...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1008 on: March 27, 2007, 06:35:41 PM »

Jee Chahta Hai Tere Naam Ek Kitaab Likhun,
Is Kitaab Ka Tere Naam Intisab Likhun,

Tujhe Sharminda Karne Ke Liye Main Is Mein,
Tera Aur Mera Be-Baak Hisaab Likhun,

Main Soch Soch Kar Pagal Sa Ho Gaya Hoon,
Jhele Hai Jo Tere Gam Maine, Kaise Wo Azaab Likhun,

Degi Meri Zindagi Ko Andhere Wohi,
Khwahish Thi Jise Main Aftaab Likhun,

Jo Diye Hai Tune Kaanto Ke Bistar Mujhe,
Bahut Mushkil Hai Kaanto Ko Gulaab Likhun,

Mujhse MunafaQat Na Ho Sakegi Dilki Baat Mein,
Dukhon Ke Samundar Ko Main Kaise Sarab Likhun,

Ajab Qarb Mein Mubtila Kar Diya Tune Mujhe,
Samajh Nahi Aata Tere Khat Ka Kya Jawab Likhun,

Lafz To Sab Hi Mita Diye Hai Mere Aansuon Ne,
Apni Kahani Ab Main Kaise Teh-E-Aab Likhun,

Ek Ek Lafz Yaad Hai Mujhe Teri Guftugu Ka,
Khwahish Hai Teri Har Baat Ko Khitab Likhun,

Jiski Tabeer Bhi Na Mil Saki Mujhko Aye Jaana,
Main Apni Kitab Mein Kaise Wo Khwaab Likhun,

Laakhon Chehron Se Haseen Banaya Tujhe Khudane Magar,
Jo Mera Nahi Us Chehre Ko Kaise Mahtaab Likhun,

Yak Tarfa Faisla Sunaya Adalat-E-Uzma Ne,
Main Is Jajj Ko Kaise Izzat-E-Mab Likhun,

Har Baat To Dil Ki Keh Dali Hai,
Isse Zyada Aur Kya Main Janab Likhun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1009 on: March 27, 2007, 06:37:01 PM »

Is Dilki Raahon Mein,
Apno Mein Sapno Mein,

Palkon Ki Chilman Mein,
AshQon Ke Aansu Mein,

Muskurate Hothon Mein,
Har Haseen Chehre Mein,

Har Lamhe Yaadon Mein,
Khoobsurat Mausam Mein,

Phootti Kaliyon Mein,
Khilte Phoolon Mein,

Suraj Ki Kirno Mein,
Dhoop Mein Saaye Mein,

Kadakte Badal Mein,
Baarish Ki Boondon Mein,

Dhalti Shamon Mein,
Tanha Raaton Mein,

Raat Ki Tariki Mein,
Chanda Ki Roshni Mein,

Taaron Ki Jhilmil Mein,
Khushboo Mein Saanso Mein,

Un Kahi Baaton Mein,
Pyar Se Mohabbat Mein,

Dhoonda Jahan Mein,
Paya Tujhko Aankhon Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1010 on: March 27, 2007, 06:38:48 PM »

In Aankhon Mein Jaane Kya Raaz Hai Chhupe,
Jaane Kaise Kaise In Mein Andaaz Hai Chhupe,

Shokhiya Bhi Hai Aur Hai Shararatein,
Jaane Kaise Kaise In Mein Khwaab Hai Chhupe,

Sanwar Jaati Hoon Jab Dekhta Hai Wo Mujhe,
Jaane Kaise Kaise In Mein Jazbaat Hai Chhupe,

Sikhaya Hai Inhone Mujhe Khwaab Dekhna,
Jaane Kaise Kaise In Mein Sarab Hai Chhupe,

Ilaahi In Aankhon Ko Door Na Karna Mujhse,
Meri Zindagi Ke Saare In Mein Jawab Hai Chhupe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1011 on: March 27, 2007, 06:42:09 PM »

AashiQui Be-Dili Se Mushkil Hai,
Phir Mohabbat Usi Se Mushkil Hai,

IshQ Aagaz Hi Se Mushkil Hai,
Sabr Karna Abhi Se Mushkil Hai,

Hum Aasan Hai Aur Hamare Liye,
Dushmani Dosti Se Mushkil Hai,

Jisko Sab Bewafa Samajhte Ho,
Bewafayi Usi Se Mushkil Hai,

Ek Dusre Se Sahel Na Jaan,
Har Koi Har Kisi Se Mushkil Hai,

Tu Baa-Zid Hai To Jaa Magar,
Waapsi Us Gali Se Mushkil Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1012 on: March 27, 2007, 06:53:52 PM »

Meri Mohabbat Se To Kuch Dost Bhi Jal Jaate Hai,
Dushmano Se Bhi Age Hi Nikal Jaate Hai,

Gair To Gair Hai Garon Se Gila Kya Karna,
Kya Kahein Unko Jo Teer Apno Se Chal Jaate Hai,

Aasteeno Ko Bacha Kar To Bahut Rakhte Hai,
Phir Bhi Kuch Saanp Jo Anjane Mein Pal Jaate Hai,

Aap Is Shakhs Ko Patthar Bhi Nahi Keh Sakte,
Gehrayi-E-IshQ Se Patthar Bhi Pighal Jaate Hai,

Apne Haathon Mein Liye Phirti Hai Duniya Sooraj,
Ek Hum Hai Ke Charagon Se Behal Jaate Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1013 on: March 27, 2007, 06:55:56 PM »

Kisko Qaatil Main Kahun Kisko Masiha Samjhun,
Sab Yahan Dost Hi Baithe Hai Kise Kya Samjhun,

Wo Bhi Kya Din The Ke Har Wahem YaQeen Hota Tha,
Ab HaQeeQat Nazar Aaye To Use Kya Samjhun,

Dil Jo Toota To Kayi Haath Dua Ko Uthe,
Aise Mahol Mein Ab Kisko Paraya Samjhun,

Zulm Ye Hai Ke Hai YaQtaa Teri Begana-Ravi,
Lutf Ye Hai Ke Main Ab Tak Tujhe Apna Samjhun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1014 on: March 27, 2007, 06:57:18 PM »

Ret Se Butt Na Bana Aye Mere Achhe Fankaar,

Ek Lamhe Ko Theher Main Tujhe Pattahr Laa Dun,
Main Tere Saamne Ambar Laga Dun Lekin,
Kaunse Rang Ka Pathar Tere Kaam Aayega,
Surkh Patthar Jise Dil Kehti Hai Bedil Duniya,
Ya Wo Pathrayi Hui Aankh Ka Neela Patthar,
Jis Mein Sadiyon Ke Tahayyur Ke Pade Ho Dore,

Kya Tujhe Rooh Ke Pathar Ki Zaroorat Hogi,
Jispe HaQ Baat Bhi Pathar Ki Tarah Girati Hai,
Ek Wo Patthar Hai Jise Kehte Hai Tehzib-E-Safed,
Uske Mar Mar Mein Siyah Khoon Jhalak Jaata Hai,
Ek Insaaf Ka Patthar Bhi To Hota Hai Magar,
Haath Mein Tesha-E-Zar Ho To Wo Haath Aata Hai,

Jitne Mayaar Hai Is Daur Ke Sab Pathar Hai,
Sher Bhi RaQs Bhi Tasveer-O-Gina Bhi Patthar,
Mere Ilhaam Tera Zehen-E-Rasa Bhi Patthar,
Is Zamane Mein Har Fan Ka Nishaan Patthar Hai,
Haath Patthar Hai Tere Meri Zuban Pathar Hai,
Ret Se Butt Na Bana Aye Mere Achhe Fankar...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1015 on: March 27, 2007, 06:59:20 PM »

Har Baat Yahan Baat Badhane Ke Liye Hai,
Ye Umar Jo Dhoka Hai To Khaane Ke Liye Hai,

Ye Daaman-E-Hasrat Hai Wahi Khwaab-E-Gurezaan,
Jo Apne Liye Hai Na Zamane Ke Liye Hai,

Utre Hue Chehre Mein Shikayat Hai Kisiki,
Roothi Hui Rangat Hai Manane Ke Liye Hai,

Gaafil Teri Aankhon Ka MuQaddar Hai Andhera,
Ye Farsh To Raahon Mein Bichhane Ke Liye Hai,

Ghabra Na Sitam Se Na Karam Se Na Ada Se,
Har Mod Yahan Raah Dikhane Ke Liye Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1016 on: March 27, 2007, 07:03:19 PM »

Phir Daaman-E-Ummid Wo Phoolon Se Bhar Gaya,
Jaadu Bhari Nigaah Se Jaadu Saa Kar Gaya,

Bas Dekhte Hi Dekhte Duniya Badal Gayi,
Kuch Sochte Hi Sochte Chehra Utar Gaya,

Betaab BeQaraar Tha Pehle Hi Dil Bahut,
Phir Aap Ka Aana Aur Bhi Betaab Kar Gaya,

Ek Bekhudhi Ka Naam Mohabbat Hai Doston,
Chahat Mein Kisko Hosh Hai Kya Kya Guzar Gaya,

Kuch Bhi Pata Nahi Hai Mohabbat Mein Aye Dost,
Kab Raat Subah Ban Gayi Kab Din Guzar Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1017 on: March 27, 2007, 07:05:27 PM »

Aap Jinke Kareeb Hote Hai,
Wo Bade Khushnaseeb Hote Hai,

Jab Tabiyat Kisipe Aati Hai,
Maut Ke Din Kareeb Hote Hai,

Mujhse Milna Phir Aapka Milna,
Aap Kisko Naseeb Hote Hai,

Zulm Seh Kar Jo Uff Nahi Karte,
Unke Dil Bhi Ajeeb Hote Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1018 on: March 27, 2007, 07:13:25 PM »

Sun Li Jo KHUDA Ne Dua Wo Tum To Nahi Ho,
Darwaze Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho,

Simti Hui Sharmayi Hui Raat Ki Raani,
Soyi Hui Kaliyon Ki Ada Tum To Nahi Ho,

Mehsoos Kiya Tumko To Geeli Hui Palkein,
Bheege Hue Mausam Ki Ada Tum To Nahi Ho,

In Ajnabee Raahon Mein Nahi Koi Bhi Mera,
Kisne Mujhe Yun Apna Kaha Tum To Nahi Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1019 on: March 27, 2007, 07:16:37 PM »

Ek Saza Aur Aseeron Ko Suna Di Jaye,
Yaani Ab Jurm-E-Aseeri Ki Saza Di Jaye,

Uski Khwahish Hai Ke Ab Log Na Hanse Na Roye,
Behisi WaQt Ki Awaz Bana Di Jaye,

Dasht-E-Nadeeda Ki TahQeeQ Zaroori Hai Magar,
Pehle Jo Aag Lagi Hai Wo Bujha Di Jaye,

Sirf Jalna Hi Nahi Humko Bhadakna Bhi To Hai,
IshQ Ki Aag Ko Laazim Hai Hawa Di Jaye,

Sirf Suraj Ka Nikalna Hai Agar Subah To Phir,
Ek Shab Aur Meri Shab Se Mila Di Jaye,

Aur Ek Saza Sitam Kiya Hai Usne Ijaad,
Usko Is Baar Zara Khulke Dua Di Jaye...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 64 65 66 67 [68] 69 70 71 72 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 12:48:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer