Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 65 66 67 68 [69] 70 71 72 73 ... 273
Print
Author  (Read 133006 times)
angel4u
Guest
«Reply #1020 on: March 27, 2007, 07:22:25 PM »

Tumne Dil Ki Baat Keh Di Aaj Ye Achha Hua,
Hum Tumhe Achha Samajhte The Bada Dhoka Hua,

Jab Bhi Humne Kuch Kaha Uska Asar Ulta Hua,
Aap Shayad Bhulte Hai Baraha Aisa Hua,

Aapki Aankhon Mein Ye Aansu Kahan Se Aagaye,
Hum To Deewane Hai Magar Aapko Ye Kya Hua,

Aap Kisise Kya Kahein Hum Apni Daastan,
Bas KHUDA Ka Shukr Hai Jo Bhi Hua Achha Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1021 on: March 27, 2007, 07:24:11 PM »

Paa-Ba-Gil Sab Hai Rihayi Ki Kare Tadabir Kaun,
Dast-Basta Sheher Mein Khole Meri Zanjeer Kaun,

Mera Sar Haazir Hai Lekin Mera Munsif Dekh Le,
Kar Raha Ha Imere Fard-E-Jurm Ki Taharir Kaun,

Aaj Darwazon Pe Dastak Jaani Pehchani Si Hai,
Aaj Mere Naam Lata Hai Meri Taazir Kaun,

Neend Jab Khwabon Se Pyaari Ho To Aise Ahad Mein,
Khwaab Dekhe Kaun Aur Khwabon Ko De Taabir Kaun,

Ret Abhi Pichhle Makano Ki Na Waapas Aayi Thi,
Phir Lab-E-Saahil Gharaunda Kar Gaya Taamir Kaun,

Saare Rishte Hijraton Mein Saath Dete Hai To Phir,
Sheher Se Jaate Hue Hota Hai Daamangeer Kaun,

Meri Chadar To Chhini Thi Shaam Ki Tanhayi Ne,
Beridayi Ko Meri Phir De Gaya Tashaheer Kaun,

Dushamno Ke Sath Mere Dost Bhi Aazaad Hai,
Dekhna Hai Khichta Hai Mujhpe Pehla Teer Kaun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1022 on: March 27, 2007, 07:26:18 PM »

Sharmate Hue Wo Tera Paas Aana,
Wo Nazre Milana Milake Jhukana,

Lajate Hue Teri Palkon Ka Pehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Saawan Ki Baatein Pahadon Ka Jharna,
Un Geele Se Kapdon Mein Tera Aahein Bharna,

Saagar Si Aankhon Mein Main Utra Tha Gehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Chhoti Si Baat Pe Tera Rooth Jaana,
Bichhadte Hue Tera Haath Chhut Jana,

Tere AshQon Mein Bujhta Wo Suraj Sunehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra,

Wo Meethe Se Hothon Se Meethi Si Baatein,
Mohabbat Ke Nagmo Se Bheegi Si Raatein,

Teri Kami Se Jalta Ye Dil Ye Sehra,
Bhule To Kaise Wo Chand Sa Chehra...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1023 on: March 27, 2007, 07:29:00 PM »

Chandni Raaton Mein,
Tanhaiyon Ke Aalam Mein
Wo Kuch Aur Yaad Aata Hai,

Ye Mausam Ka Takaza Hai,
Ya Nasha Hai Uske Pyaar Ka,
Wo Hawa Banke Badan Ko Chuke
Rooh Mein Utar Jata Hai,

Chand Ko Dekhti Hoon Jab Jab,
Sharm Si Mujhko Aati Hai,
Ye Chaand Bhi Ab To Mujhe,
Usika Chehra Dikhata Hai,

Ye Taaron Se Bhara Aasman,
Aur Bhi Mujhe Lubhata Hai,
Chanchal Si Dilki Aarzuon Ko
Andekha Paigam De Jaata Hai,

Barish Ki Boondein Jab Mere
Tan Ko Bhigo Ke Hasti Hai,
Ek Shararat Bhari Nazronse
Wo Mujhe Chhed Jaata Hai,

Sardi Ki Raaton Mein Jab Jab,
Neend Se Bezaar Hoti Hoon,
Wo Chupke Se Aake Mujhe,
Apne Seene Pe Sula Jaata Hai,

Behti Hui Ye Nadiya
Mujhe Ye Kehti Jaati Hai,
Tu Jiski Deewani Hai,
Wo Bhi Tujhe Chahta Hai,

Chandni Raaton Mein,
Wo Kuch Aur Yaad Aata Hai,
Chaand Banke Wo
Mere Dil Mein Samata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1024 on: March 27, 2007, 07:35:45 PM »

Tera Ehsaas Kuch Is Qadar Mujh Mein Samaya Hai,
Har Pal Har Samay Bas Tu Hi Nazar Aaya Hai,

Subah Ki Pehli Kiran Aur Angdayi Leti,
Apni Baahon Ke Ghere Mein,
Tujhe Khudko Chumte Paaya Hai,

Kaise Sanwarun Apne Baal,
Kaise Karun Aaj Khudko Taiyar,
Mere Kaunse Roop Ne Tumhe Lubhaya Hai,

Apni Kajar Ki Dhaar Se Chudiyon Ki Chhanak Tak,
Bindiki Chamak Se Payal Ki Jhanak Tak,
Bas Tera Hi AQs Mujhe Nazar Aaya Hai,

Tujhe Pyaar Karte Hue,
Apni Aakhein Band Rakhu Ya Khuli,
Dekhneke Liye Sheeshe Mein
Khudko Tere Sath Paya Hai,

Mere Har Khayal Mein Shaamil Hai Tu,
Har Baat Har Pal Maine Apne Wajood Mein,
Bas Teri Chahat Ko Hi Paya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1025 on: March 27, 2007, 07:37:12 PM »

Chandni Ki Baarish Mein Naha Kar,
Hum Dono Rahe Pyaar Ki Baarish Mein Khoye,
Teri Ungliyan Khelti Rahi Mere Baalon Se,
Hum Dono Raatko Shabnam Ki Oas Par Soye,

Teri Saanson Mein Tujh Mein Kho Kar Jaane Jaana,
Kal Raat Hum Bahut Der Tak Roye,

Ek Ghunt Ek Saans Mein Pee Le Mujhko,
Kya Pata Phir Ye Sama Yun Meherbaan Na Hoye,

Teri Saanson Mein Tujh Mein Khokar,
Hum Dono Rahe Pyaar Ki Baarish Mein Khoye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1026 on: March 27, 2007, 07:38:15 PM »

Wo Pari Jo Meelon Door Hai,
Jiski Yaad Se Dil Noor Hai,
Jaanta Hoon Har Soorat Wo Gair Hai,
Phir Bhi Uski Aarzu Zaroor Hai,
Mila Anjaam Na Kahani Ko
Barbaad Kar Baitha Jawani Ko,
Seene Se Lagaye Phirta Hoon,
Yaar Ki Aakhri Nishani Ko,
Wo Na Hoti To Main Kahan Hota,
Zarra Hota Na Aasman Hota,
Wohi Duniyadaari Ke Jhagde Hote,
Wohi Berozgaari Ka Saman Hota,
Aye Kash Ke Wo Ba-Wafa Hota,
Yahan Makaam Kuch Juda Hota,
Main Ro Deta Hoon Is Khayal Par,
Wo Jo Meri Hoti To Kya Hota,
Uske Gam Mein Khoye Rehte,
Khuli Aankhon Se Soye Rehte Hai,
Girte Hai Palkon Se Aansu Aise,
Ke Apna Daaman Bhigoye Rehte Hai,
Jab Kabhi Khudko Tanha Paata Hoon,
Ek Tasveer Zehen Mein Banata Hoon,
Karke Band Bhigi Palkon Ko,
Uski Yaadon Mein Doob Jaata Hoon,
Kaise Keh Doon Ke Wo Paraya Hai,
Usine To Jeena Sikhaya Hai,
Hai Usike Naam Se Ye Shayri,
Ye Kamal Usi Ne Banaya Hai,
Wo Pari To Meelon Door Hai,
Haan Uski Aarzoo Zaroor Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1027 on: March 27, 2007, 07:39:36 PM »

Duniya Mein Kaun Kisi Ko Wafa Ka Sila Deta Hai,
Dost Hokar Dushman Ki Tarah Baddua Deta Hai,

Kaun Yaad Rakhta Hai Apne Mukaddar Ki Khalish Ko,
Apni Hi Aag Mein Doosro Ko Jala Deta Hai,

Kis Kadar Haseen Hai Tera Muskurana,
Aankhon Ke Raaste Tera Dil Mein Utar Jana...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1028 on: March 27, 2007, 07:41:40 PM »

Na Itne Haseen Khwab Dekha Karo,
Hote Nahi Ye Zindagi Mein Basane Ko,
Na In Mein Jaa Kar Raha Karo,
Bhala
Khud Hi Kaho
Kahin Patjhad Ke Mausam Mein,
Koi Gulshan Mehekte Dekha Hai???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1029 on: March 27, 2007, 07:43:08 PM »

Bheed Mein Ek Ajnabi Ka Saamna Achha Laga,
Sabse Chhup Kar Wo Kisika Dekhna Achha Laga,

Sarmayi Aankhon Ke Neeche Phool Se Khilne Lageae,
Kehte Kehte Kuch Kisika Sochna Achha Laga,

Baat To Kucb Bhi Nahi Thi Lekin, Uska Ekdam
Haath Ko Hothon Pe Rakh Kar Rokna Achha Laga,

Chaay Mein Chini Milana Us Ghadi Bhaya Bahut,
Zair Lab Wo Muskurata "Shukriya" Achha Laga,

Dil Mein Kitne Ahad Bandhe The Bhulane Ke Usse,
Wo Mila To Sab Irade Todna Achha Laga,

Be-Irada Lams Ki Wo Hansi Pyaari Lagi,
Kam Tawajjo Wo Aankh Ka Dekhna Achha Laga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1030 on: March 27, 2007, 07:45:03 PM »

Humse Badal Gaya Wo Nigahein To Kya Hua,
Zinda Hai Kitne Log Mohabbat Kiye Bagair,

Guzre Dino Mein Jo Kabhi Goonje The Kehkahe,
Ab Apne Ikhtiyar Mein Wo Bhi Nahi Rahe,

Kismat Mein Reh Gayi Hai Jo Aah To Kya Hua,
Sadma Ye Jhelna Hai Shikayat Kiye Bagair,

Wo Samne Bhi Ho To Na Kholenge Hum Zubaan,
Likhi Hai Uske Chehre Pe Apni Hi Daastan,

Usko Taras Gayi Hai Baahein To Kya Hua,
Wo Laut Jaaye Hum Pe Inaayat Kiye Bagair,

Pehle Qareeb Tha Koi Ab Dooriyan Bhi Hai,
Insaan Ke Naseeb Mein Majbooriyan Bhi Hai,

Apni Badal Chuka Hai Wo Raahein To Kya Hua,
Hum Chup Rahenge Usko Malaamat Kiye Bagair...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1031 on: March 27, 2007, 07:46:20 PM »

Kuch Kehne Ko Jee Chahta Hai,
Aaj Rone Ko Jee Chahta Hai,

Jaagte Mein Sab Dekh Liya Yaaron,
Ab Sone Jo Jee Chahta Hai,

Teri Aankh Mein Apna AQs Dekh Kar,
Kajal Hone Ko Jee Chahta Hai,

Chandni Dekhkar Hamein Bhi
Chaand Hone Ko Jee Chahta Hai,

Subah Se Bahut Hans Liya Kya,
Aankh Bhigone Ko Jee Chahta Hai,

Wo Bahut Pyara Hai Magar Ab
Juda Hone Ko Jee Chahta Hai,

Tere Daag-E-Dil Dekhkar Mohsin Apne
Daag Dhone Ko Jee Chahta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1032 on: March 27, 2007, 07:49:15 PM »

Dekha Hua Sa Kuch Hai To Socha Hua Sa Kuch,
Har WaQt Mere Saath Hai Uljha Hua Sa Kuch,

Hota Hai Yun Bhi Raasta Khulta Nahi Kahin,
Jangal Sa Phail Jaata Hi Khoya Hua Sa Kuch,

Saahil Ki Geeli Ret Par Bachhon Ke Khel Sa,
Har Lamha Mujh Mein Banta Bikharta Hua Kuch,

Fursat Ne Aaj Ghar Ko Sajaya Kuch Is Tarah,
Har Shay Mein Muskurata Hai Rota Hua Sa Kuch,

Dhundhli Si Ek Yaad Kisi Qabr Ka Diya,
Aur Mere Aas Paas Chamakta Hua Sa Kuch...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1033 on: March 27, 2007, 07:51:08 PM »

Aankhon Se Khamosh Rahe,
Ek Dooje Se Hum Bichhad Chale,
Jo Aajse Bilkul Bichhad Gaye,
Ab Jeevan Hoga Zindaan Sa,
Ab Yaadein Roz Satayengi,
Ab Saansein Ruk Ruk Aayegi,
Ab Raatko Der Se Soyenge,
Ab Neend Se Uth Uth Royenge,
Par Zabt Hai Ab Laazim Chanda,
Is Lamhe AshQ Bahao Mat,
Tum Dilko Aur Jalao Mat,
Ye Zakhm-E-Wafa Chup Chap Sahein,
Aankhon Se Kaho Khamosh Rahein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1034 on: March 27, 2007, 07:53:41 PM »

Safar Mein Dhoop Hogi Jo Chal Sako To Chalo,
Sabhi Hai Bheed Mein Tum Bhi Nikal Sako To Chalo,

Idhar Udhar Kayi Manzil Hai Chal Sako To Chalo,
Bane Banaye Hai Saanche Jo Dhal Sako To Dhalo,

Kisike Waaste Raahein Kahan Badalti Hai,
Tum Apne Aapko Khud Hi Badal Sako To Chalo,

Yahan Kisiko Koi Raasta Nahi Deta,
Mujhe Gira Ke Agar Tum Sambhal Sako To Chalo,

Yehi Hai Zindagi Kuch Khwaab, Chand Ummidein,
Inhi Khilono Se Tum Bhi Behal Sako To Chalo,

Har Ek Safar Ko Hai Mehfooz Raaston Ki Talash,
Hifazaton Ki Rawayat Badal Sako To Chalo,

Kahin Nahi Koi Suraj, Dhuan Dhuan Hai Fiza,
Khud Apne Aap Se Bahar Nikal Sako To Chalo...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 65 66 67 68 [69] 70 71 72 73 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 09, 2025, 06:42:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer