Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 66 67 68 69 [70] 71 72 73 74 ... 273
Print
Author  (Read 133007 times)
angel4u
Guest
«Reply #1035 on: March 27, 2007, 07:55:43 PM »

Ek Rangeen Jhijhak Ek Saadaa Payaam,
Kaise Bhulun Kisika Wo Pehla Salaam,

Phool Rukhsaar Ke Rasmasane Lage,
Haath Utha Qadam Dagmagane Lage,

Rang Sa Haal-O-Had Se Chhalakne Laga,
Sar Se Rangeen Aanchal Dhalakne Laga,

Ajnabiyat Nigahein Churane Lagi,
Dil Dhadakne Laga Lehar Aane Lagi,

Saans Mein Ek Gulaabi Giraah Pad Gayi,
Honth Thartharaye Simte Nazar Gad Gayi,

Reh Gaya Umar Bhar Ke Liye Ye Hijaab,
Kyon Na Sambhala Hua De Saka Main Jawaab,

Kyon Main BeQasd, Be-Azm, Bewaasta,
Doosri Simt Ghabra Ke Takne Laga...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1036 on: March 27, 2007, 07:57:25 PM »

Uski Aankhon Mein Ek Saya Hai,
Chot Kha Kar Jo Muskuraya Hai,

Yaad Ban Kar Jo Rach Gaya Khoon Mein,
Usko Sach Much Bahut Behlaya Hai,

Log Kyon Aa Gaye Mitane Ko,
Humne Kab Sheher-E-Dil Basaya Hai,

Soch Lo Neend Rooth Jayegi,
Khwaab Aankhon Mein Kyon Sajaya Hai,

Humne Di Hai Duwayein Usko,
Dilko Jis Jisne Bhi Dukhaya Hai,

Jaane Wala To Khair Kya Aata,
Haan Magar Dard Laut Aaya Hai,

Usne Har Baar Hi Fareb Diya,
Barha Humne Aazmaya Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1037 on: March 27, 2007, 07:59:41 PM »

Mera Ek Khwaab Hai Jise Khona Bhi Nahi Hai,
Taabir Ke Dhaage Mein Pirona Bhi Nahi Hai,

Waabasta Mujhse To Hai Bhi Ke Nahi Hai,
Gar Tu Nahi Mujh Mein Tera Hona Bhi Nahi Hai,

Ye IshQ-O-Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajab Hai,
Paaya Nahi Jise Use Khona Bhi Nahi Hai,

QAMAR Jiski Khatir Tera Ye Haal Hua Hai,
Usne Tere Mar Jane Pe Rona Bhi Nahi Hai...
* * * * *
Logged
tanha_kamal
Guest
«Reply #1038 on: March 27, 2007, 08:36:49 PM »
ANGEL, I LOVE YOU..SUCH A NICE COLLECTION..JUZ CANT STOP READING IT..ULIM8..!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1039 on: March 28, 2007, 05:56:01 PM »
Thanks kamal... sad5
Logged
Anique
Guest
«Reply #1040 on: March 29, 2007, 02:36:55 PM »
oye huzi i love u too han :D dont 4get me pehle meinne offer ki thi :D:D:D acha sunu kam hai tum se raat ko ao to buzz karna ok..?
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1041 on: March 29, 2007, 05:15:19 PM »
oye anique, iska kya matlab?? sad5




Khamoshi Mein Shor Tha, Maine Suna Kuch Bhi Nahi,
Usne Sab Kuch Keh Diya, Lekin Kaha Kuch Bhi Nahi,

Tujhko Kya Malum Aye Dost Tere Bagair,
Mera Jeewan Kat Gaya, Aur Main Jiya Kuch Bhi Nahi,

HuQum Ye Hum Ko Mila Uske Siwa Kuch Maangiye,
Uth Gaye Dast-E-Dua Lab Pe Kuch Bhi Nahi,

Pyaar Se Dekha Mujhe Jab Hai Usne,
Dil Dhadak Utha Mera, Usne Kaha Kuch Bhi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1042 on: March 29, 2007, 05:16:47 PM »

Tere Khayalaat Ki Dhool Rahun, Ye Bhi Nahi Mumkin,
Tere Khayalaat Ka Mubehem Sa Khwaab Rahun, Ye Bhi Nahi Mumkin,

Tujhe Paa Kar Main Le Jaun Kahin Door Is Toofan Se,
Aur Pagalpan Se Rahun Gaafil, Ye Bhi Nahi Mumkin,

HaQeeQat Se Daudu Main Kis Tarah Har Roz,
Tujhe Apna Bhi Na Kahun, Ye Bhi Nahi Mumkin,

Main Phansa Daldal Mein Hoon Kuch Is Tarahse,
Alag Tujhse Rahun, Ye Bhi Nahi Mumkin,

Bata Zara Tu Mujhe Tadbeer Zinda Rehne Ki,
Tere Bagair Rahun Maut Se Door, Ye Bhi Nahi Mumkin...
* * * * *
Logged
Talat
Guest
«Reply #1043 on: March 29, 2007, 10:45:36 PM »
Nice ones Angel Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1044 on: March 30, 2007, 05:25:39 PM »
Thanks A Lot Talat Ji...
Logged
tanha_kamal
Guest
«Reply #1045 on: March 30, 2007, 06:20:04 PM »
i love this thread man...where do u get all these from..??  Puzzled !
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1046 on: March 31, 2007, 05:46:58 PM »
Thats all in my collection.

Thanks for liking. Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1047 on: April 01, 2007, 05:04:34 PM »

Wo Meri Tamam Wafao Ka Sila Kuch Is Tarah Se Deta Hai,
Baat Kar Ke Kuch Aisi Mujhe Meri Hi Nazron Mein Gira Deta Hai,

Khayal Rakhta Hai Wo Mera Kuch Is Tarahse,
Ke Zubaan Ke Nishtar Se Mujhe Maar Deta Hai,

Wo Teri Baat Phaans Ban Kar Atak Jaati Hai Mere Dil Mein,
Wo Kabhi Kabhi Bin Maut Mujhe Maar Deta Hai,

Banti Hai Phir Meri Zaat Hi Shikwe Shikayaton Ka Mehwar,
Yun Lagta Hai Wo Mujhe Mere Hone Ki Saza Deta Hai,

Najaane Kaise Sehta Hai Wo Mere Wajood Ko,
Mujhe Apne Upar Bojh Qarar Deta Hai,

Bhool Jaati Hoon Main Bahut Jald Apne Upar Honewali Zyadtiyon Ko,
Wo Jab Ek Baar Mujhe Dekhkar Muskura Deta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1048 on: April 01, 2007, 05:05:48 PM »

Ye Na Samjho Bichhdi Hoon To Bhul Gayi Hoon,
Teri Dosti Ki Khushbu Mere Hathon Mein Aaj Bhi Hai,

Mohabbat Se Badh Kar Mujhe AQeedat Hai Dost Tumse,
Yun MaQaam Tera Buland Sab Doston Mein Aaj Bhi Hai,

Tu Wo Hai Jo Barson Ki Talash Ka Samar Hai,
Tumhe Sochna Meri Yaadon Mein Aaj Bhi Hai,

Ye Aur Baat Hai Ke Majbooriyon Ne Nibhane Na Di Dosti,
Warna Shaamil Sachhayi Meri Wafaon Mein Aaj Bhi Hai,

Mera Har Sher Meri Chahaton Ki Gawahi Dega,
Chahaton Ki Khushbu Un Lafzon Mein Aaj Bhi Hai,

"Har Lamha Zindagi Mein Mohababt Naseeb Hoon Tujhe,
Shaamil Tu Meri Duwaon Mein Aaj Bhi Hai..."
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1049 on: April 01, 2007, 05:06:42 PM »

Ab Ke Yun Dilko Saza Di Humne,
Uski Har Baat Bhual Di Humne,

Ek Ek Phool Bahut Yaad Aaya,
Shah-E-Gul Jab Wo Jala Di Humne,

Koi Baat To Hai Us Mein,
Har Khushi Jispe Luta Di Humne...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 66 67 68 69 [70] 71 72 73 74 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 09, 2025, 07:00:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer