Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 273
Print
Author  (Read 132776 times)
angel4u
Guest
«Reply #105 on: November 30, 2006, 08:03:07 PM »
Khamoshiyon ko jane kya samajh gaya hia,
wo shakhs jo mujh ko patthar samajh gaya hai,

in uthti nigahon mein kuch sawal bhi to the,
kuch kehkashayein jo mere supard kar gaya hia,

main ulfat ke parwanon se jo mili thi,
dil mein ek baar phir ro gaya hia,

main jo samajhti thi rona hia naseeb apna,
wo samjha kar mujhko khud rooth gaya hai,

is jaan par raakh sitam aur bhi ujdenge,
is zindagi se to ab dil bhi uth gaya hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #106 on: December 01, 2006, 08:06:33 PM »
Thanks once again majid bandar.....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #107 on: December 01, 2006, 08:07:23 PM »

Dil Ki Chokhat Pe Ek Deep Jala Rakha Hai,
Tere Laut Aane Ka IMkaan Saja Rakha Hai,

Saans Tak Bhi Nahi Lete Hain Tujhe Sochte Waqt
HuM Ne Is KaaM Ko Bhi Kal Pe Utha Rakha Hai
Rooth Jaate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho
HuM Ne Yah Soch Ke Hi TuM Ko Khafa Rakha Hai

TuM Jise Rota Hua Chhod Gaye The Ek Din
HuM Ne Us ShaaM Ko Seene Se Laga Rakha Hai
Chin Lene Nahi Deta Ye Kisi Tor Mujhe
Teri Yaadone Jo Toofaan Utha Rakha Hai

Jaane Wale Ne Kaha Tha Ke Woh Laut Aayega Zaroor
Ek Isi Aas Pe Darwaaza Khula Rakha Hai
Tere Jaane Se Jo Ek Dhool Uthi Thi GhuM Ki
HuMne Us Dhool Ko Aankhon Mein Basa Rakha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #108 on: December 01, 2006, 08:09:26 PM »

Dil Bhi Karta Hia Yaad Chhup Ke Tujhe,
NaaM Leti Nahi Zubaan Tera,

Ye Bhi Nahi Mujhe MaluM,
Kis Mohalle Mein Hai Makaan Tera,
Kaunsi Shaakh-E-Gul Pe Raqsaan Hai,
Rashk-E-Firdaus Aashiyaan Tera,
Jaane Ki Vaadiyon Mein Thehra Hai,
Girat-E-Husn Kaaravan Tera,
Kisse Puchhunga Main Khabar Teri,
Kaun Batlayega Nishaan Tera,

Teri Ruswaiyon Se Darta Hoon,
Jab Tere Shaher Se Guzarta Hoon,

Haal-E-Dil Bhi Na Keh Saka Garche
Tu Rahi Muddaton Qareeb Mere
Kuch Teri AzMaton Ka Dar Bhi Tha,
Kuch Khayalat The Ajib Mere,
Aakhir Kaar Wo Ghadi Aayi
Baar-E-Dar Ho Gaye Raqeeb Mere,
Tu Mujhe Chhod Ke Chali Bhi Gayi,
Khair KisMat Meri Naseeb Mere,

Ab Main Kyon Tujhse Pyaar Karta Hoon,
Jab Tere Shaher Se Guzarta Hoon,

Wo ZaMana Teri Mohabbat Ka
Ek Bhuli Hui Kahani Hai,
Tere Kuche Mein UMr Bhar Na Gaye,
Saari Duniya Ki Khaak Chhani Hia,
Lazzat-E-Qarb Ho Ke ZakhM-E-Firaaq,
Jo Bhi Hai Teri Meherbaani Hia,
Kis TaManna Se Tujhko Chaha Tha,
Kis Mohabbat Se Haar Mani Hia,

Apni KisMat Pe Naaz Karta Hoon,
Jab Tere Shaher Se Guzarta Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #109 on: December 01, 2006, 08:10:48 PM »
Waqt Se Waqt Ki Kya Shikayat


Waqt Se Waqt Ki Kya Shikayat Karein,
Waqt Hi Na Raha Waqt Ki Baat Hai,

Usne Dekha Mujhe Usne Chaha Mujhe,
Usne Thukra Diya Waqt Ki Baat Hai,

Koi Mushkil Padi Koi KaaM Aa Gaya,
Zehan Mein Uske Jo Mera NaaM Aa Gaya,

Baad Muddat Ke Wo Doston Ki Tarah,
HuMse Has Ke Mila Waqt Ki Baat Hai,

Zindagi HuMse Anjaan To Ho Gayi,
Ek Rishte Ki Pehchan To Ho Gayi,

Koi Chahat Na Thi Bas Murawwat Thi,
Wo Khudko SaMjha Liya Waqt Ki Baat Hai,

Apna Rang-E-Mohabbat Hia Sabse Juda,
Koi Puchhe To Rashid Kaun Aur Kya,

Jisko Paya Nahi Usko Kho Kar Bhi Main,
Kyon Usi Ka Raha Waqt Ki Baat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #110 on: December 02, 2006, 06:45:26 PM »

Ab Ke Rutt Badli To.......

Ab Ke Rutt Badli To Khushbu Ka Safar Dekhega Kaun,
ZakhM Phoolon Ki Tarah Mehkenge Par Dekhega Kaun,

Dekhna Sab Raqs-E-BisMal Mein Magan Ho Jayenge,
Jis Taraf Se Teer Aayega Udhar Dekhega Kaun,

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat MehrooMi Ki Hai,
Log To Phal-Phool Dekhenge Shajar Dekhega Kaun,

HuM Chirag-E-Shab Hi Jab Thehre To Phir Kya Sochna,
Raat Thi Kis Ka Muqaddar Aur Shaher Dekhega Kaun,

Aa Fasil-E-Shaher Se Dekhein GaneeM-E-Shaher Ko,
Shaher Jalta Ho To Tujhko BaaM Par Dekhega Kaun..

By AhMad Faraz...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #111 on: December 02, 2006, 06:48:31 PM »

Ek Saza Aur Aseeron Ko Suna Di Jaye,
Yani Ab JurM-E-Aseere Ki Saza Di Jaye,

Uski Khwahish Hai Ke Ab Log Na Royein Aur Hasein,
Behisi Waqt Ki Awaz Bana Di Jaye,

Dasht-E-Naadidaa Ki Tahaqiq Zaroori Hai Magar,
Pehle Jo Aag Lagi Hai Wo Bujha Di Jaye,

Sirf Jalna Hi Nahi HuMko Bhadkana Bhi To Hai,
Ishq Ki Aag Ko LaaziM Hai Hawa Di Jaye,

Sirf Suraj Ka Nikalna Hai Agar Subah To Phir,
Ek Shab Aur Meri Shab Se Mila Di Jaye,

Aur Ek Takaza SitaM Usne Kiya Ijaad,
Usko Is Baar Zara Khul Ke Duwa Di Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #112 on: December 02, 2006, 06:51:34 PM »

Khoon Se Jab Jala Diya Ek Diya Bujha Hua,
Phir Mujhe De Diya Gaya Ek Diya Bujha Hua,

Ek Hi Daastan-E-Shab Ek Hi Silsila To Hai,
Ek Diya Jala Hua Ek Diya Bujha Hua,

Mujhko Nishaat Se Fuzoon RasM-E-Wafa Azeez Hai,
Mera Rafiz-E-Shab Raha Ek Diya Bujha Hua,

Dard Ki Kaayenaat Mein Mujhse Bhi Roshni Rahi,
Waise Meri Bisaat Kya Ek Diya Bujha Hua,

Sab Meri Roshni-E-Jaan Harf-E-Sukhan Mein Dhal Gayi,
Aur Main Jaise Reh Gaya Ek Diya Bujha Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #113 on: December 02, 2006, 06:55:58 PM »

Mere HuMnawa Teri Berukhi Dil-E-Mubtala Ki Shikast Hai
Isse Kis Tarah Main Kahoon Fatah Yeh Mere Aanaa Ki Shikast Hai
 
Tu Chala Gaya Mujhe Chod Kar Maine Phir Bhi Tujh Ko Sadayein Di,
Mere HuMsafer Tu Ruka Nahi Yeh Mere Sada Ki Shikast Hai

Tujhe La Ke Dil Main Bitha Diya, Tujhe Raaz Har Ek Bata Diya
Tu Ne Phir Bhi Koi Wafa Na Ki Yeh Mere Wafa Ki Shikast Hai

Main Chiraag-E-Kuhna Mijaaz Tha, Tujhe Bijliyon Ki Talab Rahi
Mujhe Andhiyone Bujha Diya Yeh Mere Ziyaa Ki Shikast Hai

Mujhe Is Tarah Na Sataoo Ge, Mujhe ZuaaM Tha Ke Na Jaoge
Mera Galt WahM-O-GuMaan Hi Meri Intehaa Ki Shikast Hai

Mujhe Tujhse Koi Gila Nahi, Tu Milla Tha Kab Ke Bichhad Gaya
Mere JurM Ki Hai Yeh Hi Saza Yeh Mere Wafa Ki Shikast Hai

Wo AleeM Hai, Wo Baseer Hai, Wo Mujeeb-U-Daawaat Hai Magar
Meri Ek Bhi Na Suni Gayi Yeh Meri Dua Ki Shikast Hai

Meri Jaan Tassaduq KhaMosh Reh, Bhala Zor Kis Ka Hawaon Par
Ke Jahan Bhi Rukh Yeh Badal Gayi Wahin Nakhuda Ki Shikast Hai
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #114 on: December 02, 2006, 06:57:25 PM »

Bana Gulab To Kaante Chubha Gaya Ek Shakhs,
Hua Charag To Ghar Hi Jala Gaya Ek Shakhs,

Main Kis Hawa Mein Udun Kis Fiza Mein Lehraun,
Dukhon Ke Jaal Har Ek Soo Bichha Gaya Ek Shakhs,

TaMaM Rang Mere Aur Sare Khwab Mere,
Fasana The Ke Fasana Bana Gaya Ek Shakhs,

Palat Sakun Bhi Na Aage Hi Badh Sakun Jis Par,
Mujhe Ye Kaunse Raaste Laga Gaya Ek Shakhs,

Mohabbatein Bhi Ajab Uski Nafratein Bhi KaMal,
Meri Hi Tarah Ka Mujh Mein SaMa Gaya Ek Shakhs,

Wo Mehtaab Tha, MarhaM Badast Aya Tha,
Magar Kuch Aur Siwa Dil Dukha Gaya Ek Shakhs,

Mohabbaton Ne Kisi Ki Bhula Rakha Tha Use,
Mile Wo ZakhaM Ke Phir Yaad Aa Gaya Ek Shakhs,

Khula Ye Raaz Ke Aayena Khana Hai Duniya,
Aur Us Mein Mujhko TaMasha Bana Gaya Ek Shakhs...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #115 on: December 02, 2006, 06:59:19 PM »

Wo Mere Haal Pe Roya Bhi Muskuraya Bhi,
Ajeeb Shakhs Hai Apna Bhi Hai Paraya Bhi,

Ye Intezaar Sehar Ka Tha Ya TuMhara Tha,
Diya Jalaya Bhi Maine Diya Bujhaya Bhi,

Main Chahta Hoon Thaher Jaye ChashM-E-Darya Mein,
Larazta Aks TuMhara Bhi Mera Saaya Bhi,

Bahut Maheen Tha Parda Larazti Palkon Ka,
Mujhe Chhupaya Bhi Tune Mujhe Dikhaya Bhi,

Beyaz Bhar Bhi Gayi Aur Phir Bhi Saada Hai,
TuMhare NaaM Ko Likha Bhi Aur Mitaya Bhi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #116 on: December 02, 2006, 07:01:41 PM »

Unko Fursat Nahi ZaMane Se,
HuMko Sapne Naye Sajane Se,

Waadi-E-Khwab Hi To Hai Ke Jahan,
Phool Khilte Hai Muskurane Se,

Aur Badh Jayegi Ye Ruswayi,
ZakhM-E-Dil Aap Ko Dikhane Se,

Dard Ke Is Bayaan Se Kya Hoga,
Kuch Bhi Haasil Nahi Sunane Se,

Tu SitaMgar Sahi Magar Phir Bhi,
Kya Milega HaMein Rulane Se,

Yaad-E-Maazi Tu Laut Ke Maat Aa,
Baaz Aa Jaa HaMein Satane Se,

Bhool Jaa HuM Khata Shuaron Ko,
Koi Jaake Kahe ZaMane Se,

Ab Tu Aajiz Hi Aa Chuke Hai HuM,
Dard Ke Bojh Ko Uthane Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #117 on: December 02, 2006, 07:03:48 PM »

Nafratein Bhi Usse, Mohababtein Bhi Usse,
Ye Dilke MaMle Bhi Hua Karte Hai Ajeeb,

Na Toot Kar Judein Na Jud Kar Kabhi Tootein,
Ye Qurbaton Ke Faasle Bhi Hua Karte Hai Ajeeb,

Use Dekhun To Na Chahun Na Dekhun To Chahun,
Ye Dilke Faisle Bhi Hua Karte Hai Ajeeb,

Wo Mile To Na Mile Wo Na Mile To Milne Ki Justajun Karun,
Ye Mohabbaton Ke IMtehaan Bhi Hua Karte Hai Ajeeb...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #118 on: December 02, 2006, 07:08:38 PM »

Dilki Ye TaManna Na Taali Jaye,
Unse Milneki Tarkeeb Nikali Jaye,

Aaj Jo Tu Nahi Hai Paas Mere,
Tasveer Khwabon Mein Bana Li Jaye,

Tere Rukh Se Utar Gaya Jo Naqaab,
Kaise Ab Hosh SaMbhale Jaye,

Sath Tere Guzarne Ke Liye,
UMr Thodi Si Bacha Li Jaye,

Main To Soya Nahi Kayi Dinse,
Nind Teri Bhi Chura Li Jaye,

Tu Jo Aaye To Leke Baahon Mein,
EID Bewaqt Mana Li Jaye,

Aaj Shab Meri TaManna Hai 'WO'
Thodi Si Ye Doori Mita Li Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #119 on: December 02, 2006, 07:09:54 PM »

Ek Raah Par Saari UMr Chale,
Ek Dooje Ko Par Na SaMajh Sake,
Jeevan Ka Safar Anjaan Safar,
Be Ronaq Be ArMaan Safar,
Jeewan Ke Kisi Bhi Dukh Sukh Mein,
Wo Mere Sath Shareek Nahi,
HuM Dono Mein Ek Jazba Hai,
Par Jazbon Mein Tehreek Nahi,
Hai Jaari Magar Anjaan Safar,
Main Sochti Hoon Ek Din Yunhi,
Wo Mujhse Juda Ho Jayega,
Pehle Main Mar Jaun Ya Shayad Wo Mar Jayega,
Phir Log Kahenge Ke Un Ka Ye Rishta Kitna Sacha Tha,
Par Kisko Khabar Sara Jeevan Mein Tanha Thi Wo Tanha Tha...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 04:16:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer