Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 67 68 69 70 [71] 72 73 74 75 ... 273
Print
Author  (Read 133008 times)
angel4u
Guest
«Reply #1050 on: April 01, 2007, 05:07:53 PM »

Aise Chup Chap Hi Mar Jaate Hai,
Kuch Log Yahan,
Jism Ki Thandi Si Tareek Syaah Qabr Ke Andar,
Na Kisi Saans Ki Awaz,
Aur Na Siski Koi,
Na Koi Aah Na Jumbish,
Na Hi Aahat Koi,
Aise Chup Chaap Hi Mar Jaate Hai,
Kuch Log Yahan,
Inko Dafnane Ki Zehmat Bhi Uthani Nahi Padti...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1051 on: April 01, 2007, 05:11:22 PM »

Chehre Pe Mere Zulf Ko Failao Kisi Din,
Kya Roz Garje Ho Baras Jao Kisi Din,

Raazon Ki Tarah Utro Mere Dil Mein Kisi Shab,
Dastak Pe Mere Haath Ki Khul Jao Kisi Din,

Pedon Ki Tarah Husn Ki Baarish Mein Naha Lun,
Badal Ki Tarah Jhoom Ke Gir Jao Kisi Din,

Khushbu Ki Tarah Guzrun Main Dil Ki Gali Se,
Phoolon Ki Tarah Mujhpe Bikhar Jao Kisi Din,

Phir Haath Ko Hairat Mile Band-E-Qaba Ki,
Phir Lutf-E-Shab-E-Wasl Ko Dohrao Kisi Din,

Guzrein Jo Mere Ghar Se To Ruk Jaayein Sitare,
Is Tarah Meri Raat Ko Chamkao Kisi Din,

Main Apni Har Ek Saans Usi Raatko De Dun,
Sar Rakh Ke Mere Seene Pe So Jao Kisi Din...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1052 on: April 01, 2007, 05:13:28 PM »

Tere Qareeb Aa Kar Badi Uljhano Mein Hoon,
Main Dushmano Mein Hoon Ke Tere Doston Mein Hoon,

Mujhse Garezpa Hai To Phir Raasta Badal,
Main Sang-E-Rooh Hoon To Kabhi Raaston Mein Hoon,

Tu Aa Chuka Hai Sata Par Kab Se Khabar Nahi
Bedard Main Abhi Unhi Gehraiyon Mein Hoon,

Aye Yaar Khush Diyaar Tujhe Kya Khabar Ke Main,
Kab Se Udaasiyon Ke Ghane Jangalon Mein Hoon,

Tu Laut Kar Bhi Ahl-E-Tamanna Ko Khush Nahi,
Main Lut Ke Bi Wafa Ke Unhi Kaaflon Mein Hoon,

Badla Na Mere Baad Bhi Mauzo-E-Guftugu,
Main Ja Chuka Hoon Phir Bhi Teri Mehfilon Mein Hoon,

Mujhse Bichhar Kar Tu Bhi Royega Umar Bhar,
Ye Soch Le Ke Main Bhi Teri Khwahishon Mein Hoon,

Tu Hans Raha Hai Mujhpe Mera Haal Dekh Kar,
Aur Phir Bhi Main Shareek Tere Kehkahon Mein Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1053 on: April 01, 2007, 05:15:15 PM »

Tu Mere Sath Chal Na Payegi,
Jab Teri Raah Meri Raah Se Milti Hi Nahi,
Phir Mera Saath Nibhane Ki Zaroorat Kya Hai,
Apni Masoom Tamannaon Ko Rehbar Na Bana,
Khwaab Phir Khwaab Hai Labon Ki HaQeeQat Hai Kya,
Ye Nayi Raah Tujhe Raas Nahi Aayegi,

Maine Maana Ke Tujhe Mujhse Mohabbat Hai Magar,
Meri Gurbat Teri Chahat Ka Sila Kya Degi,
Apni Mehroomi-E-Kismat Se Pareshan Hoon Main,
Bebasi AshQ-E-Nadamat Ke Siwa Kya Degi,
WaQt Ki Dhoop Mein Har Chiz Jhulas Jayegi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1054 on: April 01, 2007, 05:17:36 PM »

Pyaar Ne Hamein Deewana Bana Rakha Hai,
Dilki Mehfil Ko Humne Tere Naam Se Saja Rakha Hai,

Har Roz Karte Hai Ise Sajda,
Iska Naam Humne Khuda Rakha Hai,

Iski Bandagi Mein Koi Kami Na Ho,
Khudko Humne Iska Gulam Bana Rakha Hai,

Ab Hamara Dil Hi Hamara Nahi,
Isko Humne Aapke Naam Se Apne Seene Mein Amanat Ki Jagah Rakha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1055 on: April 01, 2007, 05:19:46 PM »

Tadapti Aankhon Ko Bhi Ek Sapna Chahiye,
Toota Hai Dil Isko Ab Sahara Chahiye,

Ke Ab Hai Hum Tanha Khushiyon Ki Mehfil Mein Bhi,
Ke Ab Hamein Ek Apna Chahiye,

Sadiyon Se Humne Akele Ye Chandni Raatein Guzari Hai,
Chaand Ko Chandni Hui Naseeb Ab Hamein Apna Ek Chaand Chahiye,

Door Ho Tum Mujh Se Umr Beeti Na Hua Hamara Milan,
Ab Hamein Milneka Koi Bahana Chahiye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1056 on: April 01, 2007, 05:21:26 PM »

Jo Bhi Dukh Yaad Na Tha Yaad Aaya,
Aaj Kya Janiye Humko Kya Kya Yaad Aaya,

Jis Tarah Dhund Mein Lipte The Kuch Phool,
Ek Ek NaQsh Tera Yaad Aaya,

Yaad Aaya Bichhadna Tera,
Phir Nahi Yaad Ke Kya Kya Yaad Aaya,

Ye Mohabbat Bhi Hai Kya Rog,
Jisko Bhoole Wohi Sada Yaad Aaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1057 on: April 01, 2007, 05:25:35 PM »

Ek Pal Mein Hamein Bhulne Wale,
Tere Liye Nigahein Tarasti Hai,

Sawan Bina Zindagi Mein Hamari,
Yaadein Teri Barasti Hai,

Rote Rahe Hum Tanha Akele,
Tasveerein Teri Hasti Hai,

Teri Jafayein Ban Kar Khanjar,
Dil Mein Mere Dasti Hai,

Dinke Ujale Se Bachte Rahe Par,
Raatein Judayi Ki Dasti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1058 on: April 01, 2007, 05:27:04 PM »

Jiske Sapne Har Pal Mere Dilko Churaye,
Wohi Aaj Mere Dilko Kyon Chont Pahuchaye,
Main To FaQt Ek Aansu Hoon Kabhi Khushi Mein
To Kabhi Gam Mein Har Pal Tere Saath Hoon,
Tu Kyon Bhagta Hai Jab Main Tere Paas Hoon,
Hai Agar Shikayat To Kaho Humse,
Magar Karte Ho Baatein Kyon Gairon Se,
Main To Phir Bhi Jee Lungi,
Har Dukh Seh Lungi,
Tumhe To Aadat Hai Muskurane Ki,
Ye Dard Main Kis Tarah Se Seh Lungi,
Ab Aao To Najane Ke Liye Aana,
Phir Mera Dil Dikhaneke Liye Mat Aana...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1059 on: April 01, 2007, 05:31:23 PM »

Kuch Is Tarah Likhun Nazm,
Bayan Mein Ho Tera Tazkara,
Ho Zikr Tere Shabab Ka,
Us Chaudveen Ke Chand Ka,
Jise Palkon Pe Tumne Saja Liya,
Rukh-E-Yaar Par Wo Jamal Tha,
Ke Jaise Eid Ka Hilaal Tha,
Aankhein Thi Wo Madbhari,
Ke Jaise Koi Kanwal Khila,
Haan Sanwar Gayi Kismat Meri,
Jo NaQaab Tumne Utha Liya,
Honthon Pe Tabassum Liye,
Baithi Ho Kyon Dil Thaam Ke,
Kise Dekhti Ho Jhaank Kar,
Wo Kaun Hai Mera Humshakal,
Jise Dil Mein Tumne Basa Liya,
Kahin Mujhse Na Log Puchh Le,
Aankhon Mein Tujhe Na Dhund Lein,
Dar Hai Ke Badan Se Mere
Khushboo Na Teri Soongh Le,
Kahin Ho Jaye Na Ruswaiyan,
Tere Lams Ka Jo Nishaan Tha,
Wo Labon Se Apne Mita Liya,
Raaton Ko Jaag Jaag Kar
Yaadon Mein Apni Jhaank Kar,
Likhi Hai Maine Ye Nazm,
Jo Pade Yahan Nazar-E-Karam,
Ye Arz Hai Tujhse Sanam,
Mujhse Kyon Ye Berukhi?
Tera Dard Maine Hansi Khushi,
Hai Ragon Mein Apni Racha Liya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1060 on: April 01, 2007, 05:34:48 PM »

Mera Pyar Kabhi Yaad Aaye To Laut Aana,
Beete Dino Ka Khayal Sataye To Laut Aana,

Hame Chhod Kar Kisi Aur Haath To Thaam Liya,
Kabhi Wo Haath Churaye To Laut Aana,

Jab Safar Kathan Ho Aur Wo Bhi Saath Chhod Jaye,
Aur Manzil Bhi Na Mil Paaye To Laut Aana,

Phir Duniya Ke Hajoom Mein Jab Nazar Na Aaye Koi Apna,
Aur Tanhayi Se Jo Dil Ghabraye To Laut Aana,

Udaasi Ka Samundar Phaila Ho Chaar Soo,
Naa Koi Kinara Nazar Aaye To Laut Aana,

Jab Suraj Lage Madham Aur Chaand Lage Benoor,
Koi Taara Bhi Na Timtamaye To Laut Aana,

Bewafayi Ka Jo Kabhi Tumse Khele Wo Khel,
Aur Dil Koi Chot Khaye To Laut Aana,

Guzarenge Tamam Umr Teri Raah Mein Bichha Kar Aankhein,
Mere Pyaar Ki Gehraan Ka Ehsaas Ho Jaye To Laut Aana...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1061 on: April 01, 2007, 05:55:12 PM »

Ek Jhalak Bhi Na Dekh Sakun Kaise Zamane Aaye Hai,
Dekh Lo Ek Baar Ke Hum Tumhe Manane Aaye Hai,

Apne Daman Ko Kaanto Se Bachaye Rakhna,
Ab Na Hum Aayenge Yehi Batane Aaye Hai,

Ye Judaiyon Ke Raaste Gaye Hai Bahut Door Tak,
Jo Gaya Wapas Na Aaya Yaar Tumhe Samjhane Aaye Hai,

Gila Na Karo Na Karoge Ab Shikayat Koi,
Ke Khudko Wapas Ab Hum Le Jaane Aaye Hai,

Sunkar Hamari Baatein Wo Bhage Is Tarah,
Ke Jaise Hum Unhe Mitane Aaye Hai,

Chaar Gaz Jagah De To Jagah Kabar Ki Tum,
Ke Gaanv Mein Tere Khudko Dafnane Aaye Hai,

Jal Chuka Tha Jab Aashiyana Raakh Ka Jab Dher Hoga,
Daude Aaye Aur Kehne Lage Ke Hum Tumhe Bachane Aaye Hai,

Kaisi Kaisi Nasihatein Aur Duwayein Dene Aaye The,
Par Wo Samajhte Rahe Ke Hum Unhe Gharse Beghar Karne Aaye Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1062 on: April 01, 2007, 05:58:41 PM »

Dard-E-Dil Mein Kami Na Ho Jaye,
Dosti Dushamni Na Ho Jaye,

Tum Meri Dosti Ka Dam Na Bharo,
Aasman Muddayi Na Ho Jaye,

Baitha Hoon Hamesha Rindon Mein,
Kahin Zaahid Vali Na Ho Jaye,

Apne Khu-E-Wafa Se Darata Hoon,
AashiQui Bandagi Na Ho Jaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1063 on: April 01, 2007, 06:00:07 PM »

Sawan Ki Bhigi Raaton Mein,
Hijr Ki Lambi Saaton Mein,
Jab Jab Tum Yaad Aate Ho,
Khudko Piro Deti Hoon Ashkon Mein,
Khudko Sawan Bana Deti Hoon,
Aankhonse Rawan Kajal Tale,
Main Hasti Chali Jaati Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1064 on: April 01, 2007, 06:12:12 PM »

Apne Zarf Apni Talab Apni Nazar Ki Baat Hai,
Raat Hai Lekin Mere Lab Par Seher Ki Baat Hai,

Aashiyan Ke Sath Puri Zindagi Badli Gayi,
Kam Nazar Samjhe Ke Masht-E-Bal-O-Par Ki Baat Hai,

Taa Abaad, Kitne Andhere The Jo Roshan Ho Gayi,
Shamma Ka Jalna Bazahir Raat Bhar Ki Baat Hai,

Zindagi Sadiyon Ka Hasil, Zindagi Sadiyon Ka Roop,
Zindagi Jo Chashmak-E-BarQ-O-Sharar Ki Baat Hai,

Manzil Ek Reh Roo Ka Thak Jana Hai Warna Zindagi,
Ek Musalsal Rehguzar, Payham Safar Ki Baat Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 67 68 69 70 [71] 72 73 74 75 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 09, 2025, 07:45:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]

[January 03, 2025, 08:59:41 AM]

[January 03, 2025, 06:32:16 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer