Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 68 69 70 71 [72] 73 74 75 76 ... 273
Print
Author  (Read 131457 times)
angel4u
Guest
«Reply #1065 on: April 01, 2007, 06:24:44 PM »

Mumkin Ho Aap Se To Bhula Dijiye Mujhe,
Paththar Pe Hoon Lakeer Mita Dijiye Mujhe,

Har Roz Mujhse Taaza Shikayat Hai Aapko,
Main Kya Hoon Ek Baar Bata Dijiye Mujhe,

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu,
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhe,

Ke Maine Apne Zakhm Ki Tash'heer Jaa Baja,
Main Maanti Hoon Jurm, Saza Dijiye Mujhe,

Qaim To Ho Sake Koi Rishta Gohor Ke Sath,
Gehre Samundaron Mein Baha Dijiye Mujhe,

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasne Se Fayida,
Hai Teergi To Aag Laga Dijiye Mujhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1066 on: April 01, 2007, 06:26:57 PM »

Lakhon Ki Bhid Mein Hoon,
Phir Bhi Akela Hoon,

Suraj Ki Roshni Mein Hoon,
Fir Bhi Andhera Hoon,

Dil Ka Kya Haal Kahun,
Ek Luta Hua Musafir Hoon,

Dil To Le Hi Gaye The,
Dhadkan Bhi Le Jaate,

Jo Soona Pan Diya Hai,
Usse Apne Dilse Bhar Jaate,

Ek Haseen Sa Tasavuur In
Aankhon Mein Chhod Jaate,

Aakhri Pal Mein Hi Sahi,
Hamare Humsafar Ho Jaate...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1067 on: April 01, 2007, 06:27:45 PM »

Ajab Apna Haal Hota Agar Vasl-E-Yaar Hota,
Kabhi Jaan SadQe Hoti Kabhi Dil Nisaar Hota,

Na Maza Hai Dushmani Mein Na Hai Lutf Dosti Mein,
Koi Gair Gair Hota Koi Yaar Yaar Hota,

Ye Maza Tha Dillagi Ka Ke Barabar Aag Lagti,
Na Tumhe Qaraar Hota Na Hamein Qaraar Hota,

Tere Waade Par Sitamgar Abhi Aur Sabr Karte,
Agar Apni Zindagi Ka Hamein Aitbaar Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1068 on: April 01, 2007, 06:29:49 PM »

Maine Puchha Kaise Ho,
Badle Ho Ya Waise Ho,
Roop Wahi, Andaaz Wahi,
Ya Phir Is Mein Koi Kami,
Hijr Ka Kuch Ehsaas Hoga,
Koi Tumhare Paas To Hoga,
Main Bichhda Ye Majboori Thi,
Kab Manzoor Mujhe Doori Thi,
Sath Hamara Kab Chhuta Hai,
Rooh Ka Rishta Kab Toota Hai,
Aankh Se Jo Aansu Behte Hai,
Tumko Khabar Hai Kya Kehte Hai,
Maine Kaha Aawaz Tumhari
Aaj Bhi Hai Humraaz Hamari,
Phool Wafa Ke Khil Jayenge,
Ek Din Phir Hum Mil Jayenge...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1069 on: April 01, 2007, 06:32:44 PM »

Ummeedon Ke Phool Khile Hai Aas Ki Kaliyan Chatki Hai,
Barso Baad Use Dekha To Aankhein Kisne Jhapki Hai,

Usne Apne Khat Mein Mujhko Kitne Dard Se Likha Hai,
Ab To Gaanv Aaya Karna Ab To Sadkein Pakki Hai,

Jaane Kisko Kahan Mile The Kaun Kahan Par Bichhda Tha,
Humne Aisi Saari Yaadein Nasiyaa'n Taak Pe Rakhi Hai,

Kachhe Dhaagon Ka Bandhan Ho Ya Zanjeerein Sone Ki,
Dil Jazbon Se Khali Ho To Sab Tadbeerein Kachhi Hai,

Talhiyan Baantne Walon Ko Bhi Humse Nahi Shikwa,
Kaisi Kaisi Zehrein Humne Amrit Jaanke Chakkhi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1070 on: April 01, 2007, 06:35:21 PM »

Kaati Hai Gam Ki Raat Bade Ehtiraam Se,
Aksar Bujha Liya Hai Chiragon Ko Shaam Se,

Roshan Hai Apni Bazm Aur Is Ehtimaam Se,
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Chiragon Ke Naam Se,

Muddat Hui Hai Khoon-E-Tamanna Kiye Magar,
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dil Ke Jaam Se,

Subah-E-Bahaar Humko Bulati Rahi Magar,
Hum Khelte Rahe Kisi Zulfon Ki Shaam Se,

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehraa Laga Hua,
Aahista Aye Hayaat Guzar Is MaQaam Se,

Kaati Tamaam Umar Fareb-E-Bahar Mein,
Kaante Samette Rahe Phoolon Ke Naam Se,

Ye Aur Baat Hai Ke Hum Na Sun Sake,
Awaz Usne Di Hai Hamein Har MaQaam Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1071 on: April 01, 2007, 06:37:33 PM »

Baithe Hue Dete Hai Wo Daman Se Hawayein,
Allah Kare Hum Na Kabhi Hosh Mein Aaye,

Bekhud Yun Hi Rakhengi Humein Shokh Adayein,
Jab Saamne Ho Aap To Kya Hosh Mein Aaye,

Palla Rahe Dono Ka Mohabbat Mein Barabar,
Utni Hi Wafayein Bhi Ho Jitni Jo Jafayein,

Ho Lutf-E-Inayat Ki Ek Had Bhi MuQarrar,
Rone Lage Koi Na Wo Yahan Tak Hasayein,

Aur Iske Siwa NOOH Ko Aata Nahi Kuch Bhi,
Yaaron Mein Wo Baithe Hue Toofan Uthaye...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1072 on: April 01, 2007, 06:41:51 PM »

Kahan Wo Ab Tera Koocha, Tera Makaan Kahan Raha,
Mujhe To Kuch Bhi Nahi Yaad Meri Jaan Raha,

Ye Ek Dil Ke Teri Yaad Ka Hai Madfan Jo,
Bichhadne Wale FaQt Ye Tera Nishaan Raha,

Main Jiski Ek Aah Par Tadap Si Uthti Thi,
Wo Umar Bahr Meri Takleef Se Anjaan Raha,

Jaane Wale To Kabhi Laut Kar Bhi Aayega,
Yehi Be-Sood Si Khwahish, Yehi Gumaan Raha,

Ab Aakhrash Wohi Hai Jaan Kar Gaya Hai Mujhe,
Tamam Umar Jo Azeez Az-E-Jaan Raha,

Ye Mere IshQ Ki Had Thi Ke Dam-E-Aakhir Bhi,
Tera Hi Naam Tha Lab Pe, Tera Dhyan Raha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1073 on: April 01, 2007, 06:44:18 PM »

Mujhse Mat Puchh Ke Kyon Aankh Jhuka Li Maine,
Teri Tasveer Thi Jo Tujhse Chhupa Li Maine,
Jispe Likha Tha Ke Tu Mere MuQaddar Mein Nahi,
Apne Maathe Ki Wo Tehreer Mita Li Maine,

Har Janam Sabko Yahan Sachha Pyaar Kahan Milta Hai,
Teri Chahat Mein To Umr Bita Li Maine,
Mujhko Jaane Kahan Ehsaas Mere Le Jayein,
WaQt Ke Haaton Se Ek Nazm Utha Li Maine,

Ghere Rehti Hai Mujhe Ek Anokhi Khushbu,
Teri Yaadon Se Har Ek Saans Saja Li Maine,
Jiske Sheron Ko Wo Sunke Wo Bahut Roya Tha,
Bas Wohi Ek Gazal Sabse Chhupa Li Maine...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1074 on: April 01, 2007, 06:46:18 PM »

Meri Zindgai Mein Nahi Ho,
Phir Bhi Intezaar Hai Tumhara,
Is Dilki Dhadkano Mein
Naam Hai Tumhara,

Aankhon Mein Tasveer Hai Tumahri,
Neend Mein Khwaab Hai Tumhara,

Hawaon Mein Khushbu Hai Tumhari,
Fizaon Mein Agmaan Hai Tumhari,
Hothon Par Muskurahat Hai Tumhari,
Phoolon Mein Rang Hai Tumhara,

Meri Zindagi Mein Nahi Ho,
Phir Bhi Intezaar Hai Tumhara...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1075 on: April 03, 2007, 05:13:14 PM »
Aaj Ek Anokhi Si Baat Ho Gayi,
Zindagi Se Meri MulaQaat Ho Gayi,

Zindagi Ke Milne Se Pehle Thi Main Banjar Zameen,
Aaj Is Banjar Zameen Par Bhi Barsaat Ho Gayi,

Tha Namumkin Jis Par Kabhi Pyaar Ke Phoolon Ka Khilna,
Aaj Wo Chahat Ke Asar Se Poora Gulistaan Ho Gayi,

Badli Main Zindagi Se Milne Ke Baad Kuch Is Kadar,
Ke Lafz Se Shuru Hui Thi Aur Poori Daastan Ho Gayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1076 on: April 03, 2007, 05:15:51 PM »

Is Baar Meri Saalgirah Pe Kaash,
Mujhe Tohfa Mile FaQt Kuch Shaamon Ka,
Kuch Aisi Bemisaal Shaamein Aur Lazawal Shaamein,
Jo Sada Rahein Roshan Aur Kabhi Na Pighalne Paye,
Kabhi Na Jo Bujhe Aur Kabhi Na Mitne Paayein,
Jo Meri Sehra Sehra Zindagi Ke
Be-Chirag Raaston Ko
Ujala Aisa Bakshe Jo Lazawal Ho,
Jo Aap Apni Misaal Ho,
Kuch Aisa In Mein Kamaal Ho...
* * * * *
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #1077 on: April 03, 2007, 11:59:11 PM »
Bohat khoob Angel...keep posting..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1078 on: April 04, 2007, 05:12:18 PM »
Thanks Aryaan. Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1079 on: April 04, 2007, 05:15:16 PM »

Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai,
Kabhi Nazrein Milati Hai Kabhi Nazrein Churati Hai,
Kabhi Deewana Karti Hai Kabhi Pagal,
Kabhi Naagin Se Lat Se Khelti Hai Darati Hai,
Kabhi Masoom Sa Chehra Bana Kar Sehem Jaati Hai,
Kabhi Aanchal Sametti Hai Kabhi Khud Simat Jaati Hai,
Kabhi Chalte Hi Chalte Thoda Sa Ruk Jaati Hai,
Kabhi Aabroo Churati Hai Kabhi Palkein Jhukati Hai,
Kabhi Masoom Sa Chehra Bana Kar Sehem Jaati Hai,
Kabhi Khamosh Se Khamosh Chup Si Rehti Hai,
Kabhi Chalti Hai Latak Matak Ke Chalti Hai,
Kabhi Paayal Ki Cham Cham Se Neendon Ko Udati Hai,
Kabhi Chhoti Se Chhoti Baat Pe Rooth Jaati Hai,
Kabhi Dosti Banti Hai To Saare Dukh Bantti Hai,
Kabhi Hijr Mein Akela Sa Tanha Sa Chhod Jaati Hai,
Kabhi Gairon Se Hans Hans Kar Baatein Karti Hai,
Kabhi Begana Karti Hai Kabhi Apna Banati Hai,
Isiliye Areeb Itna Mujhko Bhaati Hai,
Apni Chizon Pe Mera Naam Likhe Jaati Hai,
Aankhon Hi Aankhon Mein Dilko Har Baar Kehti Hai,
Mere Khwabon Mein Haseen Chehre Wali Anjaan Si Ladki Rehti Hai...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 68 69 70 71 [72] 73 74 75 76 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 02:52:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer