Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 69 70 71 72 [73] 74 75 76 77 ... 273
Print
Author  (Read 131521 times)
angel4u
Guest
«Reply #1080 on: April 04, 2007, 05:17:50 PM »

Besabab Tu Nahi Thi Teri Yaadein,
Teri Yaadon Se Kya Nahi Sikha Maine,

Zabt Ka Hausla Badha Lena,
Aansun Ko Kahin Chhupa Lena,

Kaampti Dolti Sadaon Ko
Chup Ki Chadar Se Dhaamp Kar Rakhna,

Besabab Bhi Kabhi Kabhi Hasna,
Jab Bhi Ho Baat Meri Talkhi Ki,

Mauzo-E-Guftugu Badal Dena,
Besabab To Nahi Teri Yaadein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1081 on: April 04, 2007, 05:20:23 PM »

Chandni Raat Ke Haathon Pe Sawar Utri Hai,
Koi Khushbu Meri Dehleez Ke Paar Utri Hai,
Ismein Kuch Rang Bhi Hai Khwaab Bhi,
Khushbuyein Bhi,
Is Khushbu Mein Kayi Dard Bhi,
Afsaane Bhi,
Mere Aanchal Pe Ummidon Ki Qataar Utri Hai,
Koi Khushbu Meri Dehleez Ke Paar Utri Hai,
Is Khushbu Se Kisi Aur Ke Dar Lipte Hai,
Mere Pairon Se Lipti To Safar Lipte Hai,
Ab Kisi Taur Palat Kar Nahi Jaane Deti,
Meri Dehleez Bulati Hai Mujhe Laut Aao,
Laut Aao, Laut Aao,
Yehi Khushbu Mujhe Wapas Nahi Aane Deti,
Ranj Aur Dard Mein Doobi Bahar Utri Hai,
Chandni Raat Ke Haathon Pe Sawar Utri Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1082 on: April 04, 2007, 05:23:34 PM »

Bada Kathin Hai Rasta Jo Aa Sako To Saath Do,
Ye Zindagi Ka Faasla Mita Sako To Saath Do,

Bade Fareb Khaoge Bade Sitam Uthaoge,
Ye Umar Bhar Ka Saath Hai Nibha Sako To Saath Do,

Jo Tum Kaho Ye Dil Kya Jaan Bhi Fida Karun,
Jo Main Kahun To Ek Nazar Luta Sako To Saath Do,

Main Ek Gareeb Be-Nawa Main Ek FaQeer Besada,
Meri Nazar Ki Ilteja Jo Paa Sako To Saath Do,

Hazaar Imtehaan Yahan Hazaar Aazmayishein,
Hazaar Dukh Hazaar Gam Utha Sako To Saath Do,

Ye Zindagi Yahan Khushi Gamon Ka Saath Hai,
Rula Sako To Saath Do, Hansa Sako To Saath Do...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1083 on: April 04, 2007, 05:32:44 PM »

Jab Meri Raah Teri Raah Se Milti Hi Nahi,
Phir Mere Sath Nibhane Ki Zaroorat Kya Hai,
Apni Masoom Tamannaon Ko Rehbar Na Banao,
Khwaab Phir Khwaab Hai Labon Ki HaQeeQat Kya Hai,
Ye Nahi Raah Tujhe Raas Na Aayegi,

Maine Maana Ke Tujhe Mujhse Mohabbat Hai Magar,
Meri Gurbat Teri Chahat Ka Sila Kya Degi,
Apni Mehroomi-E-Kismat Se Pareshan Hoon Main,
Bebasi AshQ-E-Nidamat Ke Siwa Kya Degi,
WaQt Ki Dhoop Mein Har Chiz Jhulas Jayegi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1084 on: April 04, 2007, 05:37:27 PM »

Dhuwan Utha Tha Deewane Ke Jalte Ghar Se Saari Raat,
Lekin Wo Khamosh Raha Duniay Ke Dar Se Saari Raat,

Raat Yun Jalte Dil Par Teri Yaadon Ki Barsaat Hui,
Jaise Ke Pyaase Ki Chita Par Barkha Barse Saari Raat,

Saari Raat To Sapne Dekhe Subah Ye Mehsoos Hua,
Humne Apna Sar Takraya Ek Patthar Se Saari Raat...
* * * * *
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #1085 on: April 04, 2007, 05:39:00 PM »
jab teri rah ,meri rah se milti hi nahi
bata,kayun phir sath chalne ka vaada kiya

insaan hu main,galti se koi galti bhi ho gayi agar
tumNe itna bhi kaise mujhe muh pher liye...

dard se jeena sikha tha maine,chunni thi raah
phir aapna raasta mujhse kayun bharma liya

"JEET" yeh fitrat rahi hai hamesha se husn ki
Ishq ko jab chahe,aapne hathon ka khilona bana liya
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1086 on: April 04, 2007, 05:41:16 PM »

Wo Chand Mera Humsafar Tha,
Doori Ke Ujaad Jangalon Mein,
Ab Meri Nazar Se Chup Chuka Hai,

Ek Umar Se Main Malol-E-Tanha,
Zulmaat Ki Rehgawar Mein Hoon,
Main Aage Badhun Ya Laut Jaun,

Kya Soch Ke Intezaar Mein Hoon,
Koi Bhi Nahi Jo Ye Bataye,
Main Kaun Hoon Kis Dayaar Mein Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1087 on: April 04, 2007, 05:43:12 PM »

Yunhi Dosh Par Sambhle,
Ghani Zulf Ke Doshaale,
Wahi Saanwli Si Rangat,
Wahi Nain Neend Wale,

Wahi Manpasand Qaamat,
Wahi Khushnuma Saraapa
Jo Badan Mein Neem Khwaabi,
To Lahoo Mein Ratjaga Sa,

Kisi Aur Hi Safar Mein,
Sar-E-Raah Mil Gayi Thi,
Tujhe Aur Kya Bataun,
Wo Teri Tarah Koi Thi,

Mujhe Dil Se Usne Pooja,
Use Jaan Se Maine Chaha,
Usi Humraahi Main Kahin
Aagaya Dobara,

Phir Ek Aisi Shaam Aayi
Ke Wo Shaam Aakhri Thi,
Koi Zalzala Sa Aaya,
Koi BarQ Si Giri Thi,

Ajab Aandhiyan Chali Phir,
Ke Bikhar Gaye Dil-O-Jaan,
Na Kahin Gul-E-Wafa Tha,
Na Chirag Ahd-O-Pemaan,

Wo Jahaaz Utar Gaya Tha,
Ye Jahaaz Utar Raha Tha,
Teri Aankh Mein Hai Aansu,
Mera Dil Bikhar Raha Hai,

Tu Jahan Mujhe Mili Hai,
Wo Yahin Judayi Hui Thi,
Tujhe Aur Kya Bataun,
Wo Teri Raah Koi Thi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1088 on: April 04, 2007, 05:46:02 PM »

Yun Na Mil Mujhse Khafa Ho Jaise,
Saath Chal Mauj-E-Saba Ho Jaise,

Log Yun Dekh Kar Hans Dete Hai,
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise,

IshQ Ko Shirk Ki Had Tak Na Badha,
Yun Na Mil Humse Khuda Ho Jaise,

Maut Bhi Aayi To Is Naaz Ke Saath,
Mujhpe Ehsaab Kiya Ho Jaise,

Aise Anjaan Bane Baithe Ho,
Tumko Kuch Bhi Na Pata Ho Jaise,

Hichkiyan Raat Ko Aati Hi Rahi,
Tune Phir Yaad Kiya Ho Jaise,

Zindagi Beet Rahi Hai DANISH
Ek Be-Jurm Saza Ho Jaise...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1089 on: April 04, 2007, 05:47:52 PM »

Pursish-E-Gam Ka Shukriya, Kya Tujhe Aagahi Nahi,
Tere Bagair Zindagi Dard Hai Zindagi Nahi,

Daur Tha Ek Guzar Gaya, Nasha Tha Ek Utar Gaya,
Ab Wo MuQaam Hai Jahan Shikwa-E-Berukhi Nahi,

Tere Siwa Karu Pasand Kya Teri Qaayenat Mein,
Dono Jahan Ki Nematein Qeemat-E-Bandagi Nahi,

Laakh Zamana Zulm Dhaye, WaQt Na Wo Khuda Dikhaye,
Jo Mujhe Ho YaQeen Ke Tu Haasil-E-Zindagi Nahi,

Dil Ki Shaguftagi Ke Sath Raahat-E-Maykada Gayi,
Fursat-E-Maikashi To Hai, Hasrat-E-Maikhashi Gayi,

Zakham Pe Zakham Kha Ke Jee, Apne Lahoo Ke Ghunt Pee,
Aah Na Kar Labon Ko See, IshQ Hai Dillagi Nahi,

Dekh Ke Khushk-O-Zard Phool, Dil Hai Kuch Is Tarah Malool,
Jaise Teri Khuzaan Ke Baad, Daur-E-Bahar Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1090 on: April 04, 2007, 05:48:56 PM »

Din Guzar Gaya Aitbaar Mein,
Raat Kat Gayi Intezaar Mein,

Wo Maza Kahan Wasl-E-Yaar Mein,
Lutf Jo Mila Intezaar Mein,

Unki Ek Nazar Kaam Kar Gayi,
Hosh Ab Kahan, Hoshiyaar Mein,

Mere Kaase Mein Kaayenat Hai,
Main Hoon Aapke Ikhtiyaar Mein,

Aankh To Uthi Phool Ki Taraf,
Dil Ulajh Gaya Husn-E-Khaar Mein,

Tumse Kya Kahein Kitne Gam Sahe,
Humne Bewafa Tere Pyaar Mein,

FiQr-E-Aashiyaan Har Hizaam Ki,
Aashiyaan Jala Har Bahaar Mein,

Kis Tarah Ye Gam Bhool Jaye Hum,
Wo Juda Hua Is Bahaar Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1091 on: April 04, 2007, 05:50:00 PM »

Dost Bank Ar Bhi Nahi Saath Nibhanewala,
Wahi Andaz Hai Zaalim Ka Zamanewala,

Ab Ise Log Samajhte Hai Gireftaar Mera,
Saath Nadim Hai Mujhe Gam Mein Laane Wala,

Kya Kahein Kitne Marasim The Hamare Isse,
Wo Jo Ek Shakhs Hai Muh Pher Ke Jaane Wala,

Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saari Duniya,
Aaj Tanha Hu To Koi Nahi Aane Wala,

Muntazir Kiska Hoon Tooti Hui Dehleez Pe Main,
Kaun Ayega Yahan Kaun Hai Aane Wala,

Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte,
Ha Koi Khwaab Ki Taabeer Batanewala,

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Mein Ghula Hai Itna,
Ha Wohi Mujhko Sar-E-Daar Bhi Laane Wala,

Tum TaQalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho,
Dost Hota Nahi Har Haath Milane Wala...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1092 on: April 04, 2007, 05:51:22 PM »

Ajeeb Shaam Khadi Hai Kahin Se Aa Jao,
Badi Udaas Ghadi Hai Kahin Se Aa Jao,

Kisi Se Milna So Mitle Hai Phir Bichhad Jaana,
Saza Ye Itni Badi Hai Kahin Se Aa Jao,

Bahut Kathin Hai Mere Dost Hijr Ka Mausam,
Judayi Bol Padi Hai Kahin Se Aa Jao,

Zamana Jisko Samajhta Hai Motiyon Ki Chamak,
Wo Aansun Ki Ladi Hai Kahin Se Aa Jao...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1093 on: April 04, 2007, 05:53:12 PM »

Koi Wada Nahi Hum Mein,
Na Aapas Mein Bahut Baatein,
Na Milne Mein Bahut Shokhi,
Na Aakhir-E-Shab Manajatein,
Magar Ek Ankahi Si Hai,
Jo Hum Dono Samajhte Hai,
Ajab Ek Sarkhushi Si Hai,
Jo Hum Dono Samajhte Hai,
Ye Sare Dilruba Manzar,
Talismi Chandni Raatein,
Sunehri Dhoop Ke Mausam,
Ye Sukh Ki Barsatein,
Sabhi Ek Zidd Mein Rehte Hai,
Mujhe Peham Ye Kehte Hai,
Mohabbat Yun Nahi Achhi,
Mohabbat Yun Nahi Achhi,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1094 on: April 04, 2007, 05:54:10 PM »

Suna Hai WaQt Marham Hai,
Zamanebhar Ke Zakhmon Ka,
So Ek Din Bhar Hi Jayenge,
Jo Ghaav Chhode Jaate Ho,
Magar Jab Bhi Koi Sadma,
Kahin Se Bhi Mile Mujhko,
Gamon Ki Sab Ruton Mein Tum,
Bahut Hi Yaad Aate Ho...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 69 70 71 72 [73] 74 75 76 77 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 16, 2024, 03:55:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer